Takabbur .. Aamal Zaye karne ka sabab___!!
Bani Israel me ek shakhs bada hi nek Abid aur Zahid tha. Sab logon me uski badi izzat thi aut uski neki aur parsayi ka bada charcha tha..
Usi elaqe me ek aur shakhs tha. Log usey bahut bura insaan samjhte the aur woh tha bhi aisa hi badamal badkirdaar.. Koi bhi isey achha nahi samjhta tha..
Ek din uss gunahgaar aur fasiq wa fajir ne dekha ke woh Nekukaar ek maidan me baitha hua hai.. Har tarag tez dhoop faili hui hai.. Magar Allah ke uss nek bande par ek badal ke tukde ne saye kar rakha hai..
Gunahgaar ne ye manzar dekha to apne dil me bada sharmshaar hua aur dil me ye khayaal paida hua ke iss chilchilati dhoop me jahan door door tak saya nahi hai, badal ke ek tukde ne sirf iss liye uspar saya kar rakha hai ke yeh Allah ka nek bandah hai..
Kyun na Mai bhi uske saath baith jaon.. Kya ajab ke uski barkat se Allah Taala mujhe bhi bakhs de aur meri khataon ko muaf farma de..
Ye shakhs uss Abid wa Zahid ke paas gaya aur uske saath saye me baith gaya.. Uske bauthte hi uss Abid wa Zahid ke dil me ye khayaal aya ke ye apne zamane ka baftareen gunahgaar aur puri qaum me bafnaam shakhs hai..
Uske saath to koi bhi uthna baithna pasand nahi karta.. Ye mere paas kahan abaitha.. Ye khayaal ate hi uss ruswaye zamana ko apne paas se utha diya.
Woh gunahgaar shakhs uth kar chal diya lekin... Badal ka woh tukda bhi uske saath rawana hogaya aur uss gunahgaar ke sar par saya fagan hogaya..
Paighambar e waqt ko wahi ayi ke unn dono se keh do ke naye sire se apne apne amaal ki ibteda karo..
Kyun ke fasiq wa fajir ne jo kuchh kiya Hum ne uske khuloos husn e niyat aur jazba sharmsari ke sabab usey bakhs diya aur uski pichhli tamam khatauein muaf kar diye..
Aur uss Abid ki tamam nikiyan aur achhe amàl uske takabbur ki wajah se uss se chhin liye.. !!
Isliye to kehte hain ke kisi ko haqeer na samjho Shayad Allah ke paas ek achha amal karne se woh Allah ke paas Aap se zyadah mahboob bann jaye..
Allah humein hidayat kamil ata farmaye..
Aameen
www.PakizahKahaniya.blogspot.in
(Ahya ul uloom)
ﺗﮑﺒﺮ .. ﺍﻋﻤﺎﻝ ﺿﺎﺋﻊ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﺎ ﺳﺒﺐ _________________!!"
ﺑﻨﯽ ﺍﺳﺮﺍﺋﯿﻞ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺷﺨﺺ ﺑﮍﺍ ﮬﯽ ﻧﯿﮏ ' ﻋﺎﺑﺪ ﺍﻭﺭ ﺯﺍﮨﺪ ﺗﮭﺎ .. ﺳﺐ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺑﮍﯼ ﻋﺰﺕ ﺗﮭﯽ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻧﯿﮑﯽ ﺍﻭﺭ ﭘﺎﺭﺳﺎﺋﯽ ﮐﺎ ﺑﮍﺍ ﭼﺮﭼﺎ ﺗﮭﺎ ..
ﺍﺳﯽ ﻋﻼﻗﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺍﻭﺭ ﺷﺨﺺ ﺗﮭﺎ .. ﻟﻮﮒ ﺍﺳﮯ ﺑﮩﺖ ﺑﺮﺍ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﺳﻤﺠﮭﺘﮯ ﺗﮭﮯ ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﺗﮭﺎ ﺑﮭﯽ ﺍﯾﺴﺎ ﮬﯽ ﺑﺪﻋﻤﻞ ﺑﺪﮐﺮﺩﺍﺭ .. ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ﺍﺳﮯ ﺍﭼﮭﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﻤﺠﮭﺘﺎ ﺗﮭﺎ ..
ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﺍﺱ ﮔﻨﺎﮦ ﮔﺎﺭ ﺍﻭﺭ ﻓﺎﺳﻖ ﻭ ﻓﺎﺟﺮ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﮐﮧ ﻭﮦ ﻧﯿﮑﻮ ﮐﺎﺭ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﺪﺍﻥ ﻣﯿﮟ ﺑﯿﭩﮭﺎ ﮬﻮﺍ ﮬﮯ .. ﮨﺮ ﻃﺮﻑ ﺗﯿﺰ ﺩﮬﻮﭖ ﭘﮭﯿﻠﯽ ﮬﻮﺋﯽ ﮬﮯ ﻣﮕﺮ ﺍﻟﻠّﻪ ﮐﮯ ﺍﺱ ﻧﯿﮏ ﺑﻨﺪﮮ ﭘﺮ ﺍﯾﮏ ﺑﺎﺩﻝ ﮐﮯ ﭨﮑﮍﮮ ﻧﮯ ﺳﺎﯾﮧ ﮐﺮ ﺭﮐﮭﺎ ﮬﮯ ..
ﮔﻨﺎﮦ ﮔﺎﺭ ﻧﮯ ﯾﮧ ﻣﻨﻈﺮ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﻮ ﺍﭘﻨﮯ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺑﮍﺍ ﺷﺮﻣﺴﺎﺭ ﮬﻮﺍ ﺍﻭﺭ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﯾﮧ ﺧﯿﺎﻝ ﭘﯿﺪﺍ ﮬﻮﺍ ﮐﮧ ﺍﺱ ﭼﻠﭽﻼﺗﯽ ﺩﮬﻮﭖ ﻣﯿﮟ ﺟﮩﺎﮞ ﺩﻭﺭ ﺩﻭﺭ ﺗﮏ ﺳﺎﯾﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﮬﮯ ' ﺑﺎﺩﻝ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﭨﮑﮍﮮ ﻧﮯ ﺻﺮﻑ ﺍﺱ ﻟﺌﮯ ﺍﺱ ﭘﺮ ﺳﺎﯾﮧ ﮐﺮ ﺭﮐﮭﺎ ﮬﮯ ﮐﮧ ﯾﮧ ﺍﻟﻠّﻪ ﮐﺎ ﻧﯿﮏ ﺑﻨﺪﮦ ﮬﮯ .. ﮐﯿﻮﮞ ﻧﮧ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺍﺱ ﮐﮯﺳﺎﺗﮫ ﺑﯿﭩﮫ ﺟﺎﺅﮞ .. ﮐﯿﺎ ﻋﺠﺐ ﮐﮧ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺑﺮﮐﺖ ﺳﮯ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻣﺠﮭﮯ ﺑﮭﯽ ﺑﺨﺶ ﺩﮮ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﯼ ﺧﻄﺎﺅﮞ ﮐﻮ ﻣﻌﺎﻑ ﻓﺮﻣﺎ ﺩﮮ ..
ﯾﮧ ﺷﺨﺺ ﺍﺱ ﻋﺎﺑﺪ ﻭ ﺯﺍﮬﺪ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﮔﯿﺎ ﺍﻭ ﺭ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺳﺎﺋﮯ ﻣﯿﮟ ﺑﯿﭩﮫ ﮔﯿﺎ .. ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﯿﭩﮭﺘﮯ ﮬﯽ ﺍﺱ ﻋﺎﺑﺪ ﻭ ﺯﺍﮨﺪ ﮐﮯ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﯾﮧ ﺧﯿﺎﻝ ﺁﯾﺎ ﮐﮧ ﯾﮧ ﺍﭘﻨﮯ ﺯﻣﺎﻧﮯ ﮐﺎ ﺑﺪﺗﺮﯾﻦ ﮔﻨﺎﮦ ﮔﺎﺭ ﺍﻭﺭ ﭘﻮﺭﯼ ﻗﻮﻡ ﻣﯿﮟ ﺑﺪﻧﺎﻡ ﺷﺨﺺ ﮬﮯ .. ﺍﺱ ﮐﮯﺳﺎﺗﮫ ﺗﻮ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ﺍﭨﮭﻨﺎ ﺑﯿﭩﮭﻨﺎ ﭘﺴﻨﺪ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ .. ﯾﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﮐﮩﺎﮞ ﺁ ﺑﯿﭩﮭﺎ .. ﯾﮧ ﺧﯿﺎﻝ ﺁﺗﮯ ﮬﯽ ﺍﺱ ﺭﺳﻮﺍﺋﮯ ﺯﻣﺎﻧﮧ ﮐﻮ ﺍﭘﻨﮯ ﭘﺎﺱ ﺳﮯ ﺍﭨﮭﺎ ﺩﯾﺎ ..
ﻭﮦ ﮔﻨﺎﮦ ﮔﺎﺭ ﺷﺨﺺ ﺍﭨﮫ ﮐﺮ ﭼﻞ ﺩﯾﺎ ﻟﯿﮑﻦ ﺑﺎﺩﻝ ﮐﺎ ﻭﮦ ﭨﮑﮍﺍ ﺑﮭﯽ ﺍﺱ ﮐﮯﺳﺎﺗﮫ ﺭﻭﺍﻧﮧ ﮬﻮ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﮔﻨﺎﮦ ﮔﺎﺭ ﮐﮯﺳﺮ ﭘﺮ ﺳﺎﯾﮧ ﻓﮕﻦ ﮬﻮ ﮔﯿﺎ ..
ﭘﯿﻐﻤﺒﺮ ﻭﻗﺖ ﮐﻮ ﻭﺣﯽ ﺁﺋﯽ ﮐﮧ ﺍﻥ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﺳﮯ ﮐﮩﮧ ﺩﻭ ﮐﮧ ﻧﺌﮯ ﺳﺮﮮ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺍﻋﻤﺎﻝ ﮐﯽ ﺍﺑﺘﺪﺍﺀ ﮐﺮﻭ .. ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﻓﺎﺳﻖ ﻭ ﻓﺎﺟﺮ ﻧﮯ ﺟﻮ ﮐﭽﮫ ﮐﯿﺎ ﮬﻢ ﻧﮯ ﺍﺱ ﮐﮯﺧﻠﻮﺹ ﺣﺴﻦ ﻧﯿﺖ ﺍﻭﺭ ﺟﺰﺑﮧ ﺷﺮﻣﺴﺎﺭﯼ ﮐﮯ ﺳﺒﺐ ﺍﺳﮯ ﺑﺨﺶ ﺩﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﮐﯽ ﭘﭽﮭﻠﯽ ﺗﻤﺎﻡ ﺧﻄﺎﺋﯿﮟ ﻣﻌﺎﻑ ﮐﺮ ﺩﯾﮟ .. ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﻋﺎﺑﺪ ﮐﯽ ﺗﻤﺎﻡ ﻧﯿﮑﯿﺎﮞ ﺍﻭﺭ ﺍﭼﮭﮯ ﻋﻤﻞ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺗﮑﺒﺮ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﺳﮯ ﺍﺱ ﺳﮯ ﭼﮭﯿﻦ ﻟﺌﮯ ..!!
ﺍﺳﯽ ﻟﺌﮯ ﺗﻮ ﮐﮩﺘﮯ ﮬﯿﮟ ﮐﮧ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﺣﻘﯿﺮ ﻧﮧ ﺳﻤﺠﮭﻮ ﺷﺎﯾﺪ ﺍﻟﻠّﻪ ﮐﮯ ﮬﺎﮞ ﺍﯾﮏ ﺍﭼﮭﺎ ﻋﻤﻞ ﮐﺮﻧﮯ ﺳﮯ ﻭﮦ ﺍﻟﻠّﻪ ﮐﮯ ﮬﺎﮞ ﺁﭖ ﺳﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﻣﺤﺒﻮﺏ ﺑﻦ ﺟﺎﺋﮯ ..
ﺍﻟﻠّﻪ ﮬﻤﯿﮟ ﮬﺪﺍﯾﺖ ﮐﺎﻣﻞ ﻋﻄﺎ ﻓﺮﻣﺎﺋﮯ .. ﺁﻣﯿﻦ ..