♦ GHUROOR AUR TAKABBUR

Ghuroor Aur Takabbur (Ek Gehri soch)::
Do shakhs apas ki mukhalfat me iss hadd tak pahunche hue the ke jaise cheete ek dusre par hamla karne ki sochte hain.
Woh ek dusre ki shakal tak dekhne ke rawadaar na the aur ek dusre ke nazron se bachne ke liye unhein aasmaan tale jagah na milti thi.
Unme se ek shakhs ka inteqaal hogaya, uski zindagi ka paimana chhalak gaya.
Uski mout par dusre ko bahut khushi hui.
kaafi arse baad dusra shakhs pahle ki qabr ke paas se guzra to uss ne dekha ke Jis mutakabbir ke makaan par sone ki palish hui thi aaj uss ki qabr mitti se lapi hui thi . ghusse me aakar uss ne mare hue dushman ki qabr ka takhta akhadd dala, dekha to taj pehnne wala sarr ek gaddhe me pada hua tha. uss ki khubsoorat ankhon me mitti bhari hui thi woh qabr ki jail me qaid ho chuka tha aur uss ke jism ko keede makode kha rahe the, uss ka mota tazah jism pahli raat ke chand ki tarah dubla ho chuka tha aur uss ka sarr oqad tinke ki tarah barik ho gaya tha. uss ke panje aur hatheli ke jodd bikul alaihdah ho chuke the. Yeh halate zaar dekh kar uska dil bhar aya aur woh rone laga, yahan tak ke uss ke rone se qabr ki mitti tar ho gayi ,
Woh apne kartuton par sharmindah ho gaya aur talafi ke liye uss ne hukm diya ke uss ki qabr par likh diya jaye ke koi shakhs kisi dushman ki maut par Khush na ho kyunke woh khud bhi zyadah din maut ke hathon se bach nahi sake ga.
Humara jism bhi kisi din aisa hojayega ke usey dekh kar dushman ko bhi raham ajayega.
Do dino ki zindagi hai, koi nahi janta ke maut kab ajaye, isliye iss zindagi me kisi chiz par ghuroor wa takabbur nahi karna chahiye.







غرور وتکبر​

دو شخص آپس کی مخالفت میں اس حد تک پہنچے ہوئے تھے کہ جیسے چیتے ایک دوسرے پر حملہ کرنے کی سوچتے ہیں۔ وہ ایک دوسرے کی شکل تک دیکھنے کے روادار نہ تھے اور ایک دوسرے کی نظروں سےبچنے کے لئے انہیں آسمان تلے جگہ نہ ملتی تھی۔ ان میں سے ایک شخص کا انتقال ہوگیا، اس کی زندگی کا پیمانہ چھلک گیا۔ اس کو موت پر دوسرے کو بہت خوشی ہوئی۔​

کافی عرصے بعد دوسرا شخص پہلے کی قبر کے پاس سے گزرا تو اس نے دیکھا کہ جس متکبر کے مکان پر سونے کی پالش ہوئی تھی آج اس کی قبر مٹی سے لپی ہوئی تھی۔ غصے میں آکر اس نے مرے ہوئے دشمن کی قبر کا تختہ اکھاڑ ڈالا، دیکھا تو تاج پہننے والا سر ایک گڑھے میں پڑا ہواتھا۔ اس کی خوبصورت آنکھوں میں مٹی بھری ہوئی تھی وہ قبرکی جیل میں قید ہوچکا تھا اور اس کے جسم کو کیڑے مکوڑے کھا رہے تھے، اس کا موٹا تازہ جسم پہلی رات کےچاند کی طرح دبلا ہوچکا تھااور اس کا سر و قد تنکے کی طرح باریک ہوگیا تھا۔ اس کے پنجے اور ہتھیلی کے جوڑ بالکل علیحدہ ہوچکے تھے۔
یہ حالتِ زار دیکھ کر اسکا دل بھر آیا اور وہ رونے لگا، یہاں تک کہ اس کے رونے سے قبرکی مٹی تر ہوگئی ،وہ اپنے کرتوتوں پر شرمندہ ہوگیا اور تلافی کے لئے اس نے حکم دیا کہ اس کی قبر پر لکھ دیا جائے کہ کوئی شخص کسی دشمن کی موت پر خوش نہ ہو کیونکہ وہ خود بھی زیادہ دن موت کے ہاتھوں سے بچ نہیں سکے گا.
ہمارا جسم بھی کسی دن ایسا ہوجائے گا کہ اسے دیکھ کر دشمنوں کو بھی رحم آجائے گا
دو دن کی زندگی ہے، کوئی نہیں جانتا کہ موت کب آجائے، اس لئے اس زندگی میں کسی چیز پر غرور و تکبر نہیں کرنا چاہیئے




RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...