Uss nojawan ki maa sakht bemaar aur hospital mein intahi nighdasht ke shoba me daakhil thi. Doctoron ne yahan taq keh diya tha ke barkhordar zindagi
mout to Allah ke haath me hai magar hum ab mayoos ho chuke hain. tum kisi bhi lamha koi buri khabar sunne ke liye zehni tor par tayyar rehna .
Raat ghar guzaarne ke baad subah maa se mulaqaat ke liye hospital jate hue nojawan raste me ek petrol pump par ruka, petrol bharwaane ke liye apni baari ka intzaar karte hue uski nazar service shop ki deewar ke paas padi jahan ek billi ney khaali dabbay ke neeche bache de rakhe the,
Yeh nozaida (newborn) bache bohat hi chhoote they jo abhi chalne phirne ke qabil bhi nahi they.
Nojawan ke zehan mein jo pehli baat aayi woh yeh thi ke, itnay naazuk aur chhoote se bache khana kahan se aur kaise khayenge.
Yeh khayaal aate hi usne apni car ek taraf hata kar band ki, aur dukaan se jakar machhli ka ek dabah khareeda, khol kar use billi ke bachon ke paas rakha. Bachon ne khana shuru kiya to woh khush ho kar apni car ki taraf agaya aur petrol bharwa kar hospital ja pouncha.
Jaisay hi usne apni maa ke kamre mein jhanka to bistar khaali pakar uski aankhon taley andhera chha gaya. Doobtey dil ke sath ek nurse se poocha meri ammi kahan hai?
Nurse ney kaha;
Aaj teri ammi ki tabiyat muazazati tour par sambhli thi.
Usay jaise hi hosh aaya to doctor ne kaha tha, usay taaza hawa laine ke liye bahar le jao.
To humne usay koridor se bahar lawn me bitha diya hai, Tum unse ja kar mil satke ho .
Nojawan bhagta huwa apni maa ke paas pouncha, usey salam kiya, haal ahwaal poocha to uski maa ney kaha,
"Betay aaj subah maine khawab dekha ke ek billi aur uske chhootey chhootey masoom bache aasman ki taraf haath uthaye mere liye dua kar rahe hain. Bas yeh khawab dekhte hi meri aankhh khul gayi aur baqi ki sorat e haal tum khud dekh rahay ho".
Aur nojawan hairat bhari khusi ke saath apni maa ki batein sunta raha aur apne dil ko thanda karta raha .

Jee haan, uss ( Juljalal ) ki rehmat ki wosat sab kuch ko apne andar samo leti hai,.
Behrhaal ye kitni sachi hai Allahwalamo, lekin iss se ye nasihat ya yun kehye ye sabaq milte hai ke humein Sadqa karte rehna chahiye aur dusroon par Rehm bi karna chahiye.
Subscribe: www.PakizahKahaniya.blogspot.in
Subscribe: www.PakizahKahaniya.blogspot.in
ﺍﺱ ﻧﻮﺟﻮﺍﻥ ﮐﯽ ﻣﺎﮞ ﺳﺨﺖ ﺑﯿﻤﺎﺭ ﺍﻭﺭ ﮨﺴﭙﺘﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺍﻧﺘﮩﺎﺋﯽ ﻧﮕﮩﺪﺍﺷﺖ ﮐﮯ ﺷﻌﺒﮧ ﻣﯿﮟ ﺩﺍﺧﻞ ﺗﮭﯽ۔ ﮈﺍﮐﭩﺮﻭﮞ ﻧﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺗﮏ ﮐﮩﮧ ﺩﯾﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺑﺮﺧﻮﺭﺩﺍﺭ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﻣﻮﺕ ﺗﻮ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﮯ ﮨﺎﺗﮫ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ ﻣﮕﺮ ﮨﻢ ﺍﺏ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﮨﻮ ﭼﮑﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﺗﻢ ﮐﺴﯽ ﺑﮭﯽ ﻟﻤﺤﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﺮﯼ ﺧﺒﺮ ﺳﻨﻨﮯ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺫﮨﻨﯽ ﻃﻮﺭ ﭘﺮ ﺗﯿﺎﺭ ﺭﮨﻨﺎ۔
ﺭﺍﺕ ﮔﮭﺮ ﮔﺰﺍﺭﻧﮯ ﮐﮯ ﺻﺒﺢ ﻣﺎﮞ ﺳﮯ ﻣﻼﻗﺎﺕ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﮨﺴﭙﺘﺎﻝ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﻧﻮﺟﻮﺍﻥ ﺭﺍﺳﺘﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﭘﯿﭩﺮﻭﻝ ﭘﻤﭗ ﭘﺮ ﺭﮐﺎ، ﭘﭩﺮﻭﻝ ﺑﮭﺮﻭﺍﻧﮯ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺑﺎﺭﯼ ﮐﺎ ﺍﻧﺘﻈﺎﺭ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻧﻈﺮ ﺳﺮﻭﺱ ﺷﺎﭖ ﮐﯽ ﺩﯾﻮﺍﺭ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﭘﮍﯼ ﺟﮩﺎﮞ ﺍﯾﮏ ﺑﻠﯽ ﻧﮯ ﺧﺎﻟﯽ ﮈﺑﮯ ﮐﮯ ﻧﯿﭽﮯ ﺑﭽﮯ ﺩﮮ ﺭﮐﮭﮯ ﺗﮭﮯ۔ ﯾﮧ ﻧﻮﺯﺍﺋﯿﺪﮦ ﺑﭽﮯ ﺑﮩﺖ ﮨﯽ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﺗﮭﮯ ﺟﻮ ﺍﺑﮭﯽ ﭼﻠﻨﮯ ﭘﮭﺮﻧﮯ ﮐﮯ ﻗﺎﺑﻞ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﮯ۔ ﻧﻮﺟﻮﺍﻥ ﮐﮯ ﺫﮨﻦ ﻣﯿﮟ ﺟﻮ ﭘﮩﻠﯽ ﺑﺎﺕ ﺁﺋﯽ ﻭﮦ ﯾﮧ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﺍﺗﻨﮯ ﻧﺎﺯﮎ ﺍﻭﺭ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﺳﮯ ﺑﭽﮯ ﮐﮭﺎﻧﺎ ﮐﮩﺎﮞ ﺳﮯ ﺍﻭﺭ ﮐﯿﺴﮯ ﮐﮭﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ۔ ﯾﮧ ﺧﯿﺎﻝ ﺁﺗﮯ ﮨﯽ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﮐﺎﺭ ﺍﯾﮏ ﻃﺮﻑ ﮨﭩﺎ ﮐﺮ ﺑﻨﺪ ﮐﯽ، ﺩﮐﺎﻥ ﺳﮯ ﺟﺎ ﮐﺮ ﻣﭽﮭﻠﯽ ﮐﺎ ﺍﯾﮏ ﮈﺑﮧ ﺧﺮﯾﺪﺍ، ﮐﮭﻮﻝ ﮐﺮ ﺍﺳﮯ ﺑﻠﯽ ﮐﮯ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺭﮐﮭﺎ۔ ﺑﭽﻮﮞ ﻧﮯ ﮐﮭﺎﻧﺎ ﺷﺮﻭﻉ ﮐﯿﺎ ﺗﻮ ﻭﮦ ﺧﻮﺵ ﮨﻮ ﮐﺮ ﺍﭘﻨﯽ ﮐﺎﺭ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﭘﭩﺮﻭﻝ ﺑﮭﺮﻭﺍ ﮐﺮ ﮨﺴﭙﺘﺎﻝ ﺟﺎ ﭘﮩﻨﭽﺎ۔ ﺟﯿﺴﮯ ﮨﯽ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺎﮞ ﮐﮯ ﮐﻤﺮﮮ ﻣﯿﮟ ﺟﮭﺎﻧﮑﺎ ﺗﻮ ﺑﺴﺘﺮ ﺧﺎﻟﯽ ﭘﺎ ﮐﺮ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺗﻠﮯ ﺍﻧﺪﮬﯿﺮﺍ ﭼﮭﺎ ﮔﯿﺎ۔ ﮈﻭﺑﺘﮯ ﺩﻝ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺍﯾﮏ ﻧﺮﺱ ﺳﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ؛ ﻣﯿﺮﯼ ﺍﻣﯽ ﮐﮩﺎﮞ ﮨﮯ؟ ﻧﺮﺱ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ؛ ﺁﺝ ﺗﯿﺮﯼ ﺍﻣﯽ ﮐﯽ ﻃﺒﯿﻌﺖ ﻣﻌﺠﺰﺍﺗﯽ ﻃﻮﺭ ﭘﺮ ﺳﻨﺒﮭﻠﯽ ﺗﮭﯽ۔ ﺍﺳﮯ ﺟﯿﺴﮯ ﮨﯽ ﮨﻮﺵ ﺁﯾﺎ ﺗﻮ ﮈﺍﮐﭩﺮ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﺗﮭﺎ ﺍﺳﮯ ﺗﺎﺯﮦ ﮨﻮﺍ ﻟﯿﻨﮯ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺑﺎﮨﺮ ﻟﮯ ﺟﺎﺅ۔ ﺗﻮ ﮨﻢ ﻧﮯ ﺍﺳﮯ ﮐﻮﺭﯾﮉﻭﺭ ﺳﮯ ﺑﺎﮨﺮ ﻻﻥ ﻣﯿﮟ ﺑﭩﮭﺎ ﺩﯾﺎ ﮨﮯ، ﺗﻢ ﺍﺳﮯ ﺟﺎ ﮐﺮ ﻣﻞ ﺳﮑﺘﮯ ﮨﻮ۔
ﻧﻮﺟﻮﺍﻥ ﺑﮭﺎﮔﺘﺎ ﮨﻮﺍ ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺎﮞ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﭘﮩﻨﭽﺎ، ﺍﺳﮯ ﺳﻼﻡ ﮐﯿﺎ، ﺣﺎﻝ ﺍﺣﻮﺍﻝ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﺗﻮ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻣﺎﮞ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ؛ ﺑﯿﭩﮯ ﺁﺝ ﺻﺒﺢ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺧﻮﺍﺏ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﺑﻠﯽ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﮐﮯ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﻣﻌﺼﻮﻡ ﺑﭽﮯ ﺁﺳﻤﺎﻥ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﮨﺎﺗﮫ ﺍُﭨﮭﺎﺋﮯ ﻣﯿﺮﮮ ﻟﯿﺌﮯ ﺩﻋﺎ ﮐﺮ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﺑﺲ ﯾﮧ ﺧﻮﺍﺏ ﺩﯾﮑﮭﺘﮯ ﮨﯽ ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮫ ﮐﮭﻞ ﮔﺌﯽ ﺍﻭﺭ ﺑﺎﻗﯽ ﮐﯽ ﺻﻮﺭﺗﺤﺎﻝ ﺗﻢ ﺧﻮﺩ ﺩﯾﮑﮫ ﺭﮨﮯ ﮨﻮ۔ ﺍﻭﺭ ﻧﻮﺟﻮﺍﻥ ﺣﯿﺮﺕ ﺑﮭﺮﯼ ﺧﻮﺷﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺎﮞ ﮐﯽ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﺳﻨﺘﺎ ﺭﮨﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﮯ ﺩﻝ ﮐﻮ ﭨﮭﻨﮉﺍ ﮐﺮﺗﺎ ﺭﮨﺎ۔
ﺟﯽ ﮨﺎﮞ، ﺍﺱ ( ﺟﻞ ﺟﻼﻟﮧ ) ﮐﯽ ﺭﺣﻤﺖ ﮐﯽ ﻭﺳﻌﺖ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﮐﻮ ﺍﭘﻨﮯ ﺍﻧﺪﺭ ﺳﻤﻮ ﻟﯿﺘﯽ ﮨﮯ، .