♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)



Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se
ek hazaar dinaar Qarz mange unhon ne kaha ke pehle aise gawah laa jin ki gawahi par mujhe aitbaar ho. Qarz mangne wala bola ke gawah to bas Allah hi kaafi hai phir unhon ne kaha ke achha koi zamin laa. Qarz mangne wala bola ke zamin bhi Allah hi kaafi hai. unhon ne kaha ke tu ne sachhi baat kahi. chunanche iss ne ek muqarara muddat ke liye uss ko Qarz de diya. yeh Sahab Qarz le kar daryai safar par rawana hue aur phir apni zaroorat poori kar ke kisi sawari ( kashti waghera ) ki talaash ki taake uss se darya paar kar ke is muqarara muddat taq Qarz dene wale ke paas pahunch sake  jo is se tey payi thi. ( aur uss ka Qarz ada kar de ) lekin koi sawari nahi mili. aakhir ek lakri li auruss me sorakh kiya. phir ek hazaar dinaar aur ek ( is mazmoon ka ) khat ke is ki taraf se Qarz dene wale ki taraf ( yeh dinaar bheje ja rahe hain ) aur uss ka moonh band kar diya aur usey darya par le aeye, phir kaha, Aey Allah ! Tu khoob jaanta hai ke mai ne falan shakhs se ek hazaar dinaar Qarz liya tha Uss ne mujh se zamin manga to mai ne keh diya tha ke mera zamin Allah taala kaafi hai aur woh bhi tujh par raazi hua Uss ne mujh se gawah manga to uss ka bhi jawab mai ne yahi diya ke Allah paak gawah kaafi hai to woh mujh par raazi ho gaya aur ( tu jaanta hai ke ) Mai ne bohut koshish ki ke koi sawari mile jis ke zariye mai Uss ka Qarz Uss tak ( muddat muqarara me ) pounhcha sakun lekin mujhe is mein kamyabi nahi hui. is liye ab mai is ko tere hi hawale karta hoon ( ke tu uss taq pouncha de ) chunanche is ne woh lakri jis mein raqam thi darya mein baha di ab woh darya me thi aur woh Sahab ( Qarz daar ) wapas ho chuke they agarche fikar ab bhi yahi tha ke kis terha koi jahaaz mile jis ke zareya woh apne shehar me ja sake doosri taraf woh Sahab jinhon ne Qarz diya tha isi talaash me ( bandargaah ) aeye ke mumkin hai koi jahaaz unn ka maal le kar aaya ho lekin wahan unhen ek lakri mili wohi jis me maal tha unhon ne lakri apne ghar me eendhan ke liye le li lekin jab usey cheera to uss me se dinaar nikle aur ek khat bhi nikla ( kuch dinon ke baad jab woh Sahab apne shehar aeye ) to Qarz kawah ke ghar aeye aur ( yeh khayaal kar ke ke shayad woh lakri nah mil saki ho dobarah ) ek hazaar deenar un ki khidmat me paish kar diye aur kaha ke qisam Allah ki! Mai to barabar isi koshish me raha ke koi jahaaz miley to tumahre paas tumhara maal le kar pahuchoon lekin iss din se pehle jab ke Mai yahan pounchane ke liye sawaar hua hoon. mujhe apni koshisho mein kamyabi nahi hui phir unhon ne poocha achha yeh to batao ke koi cheez kabhi tum ne mere naam bhaije the? maqrooz ne jawab diya bata to raha hoon aap ko ke koi jahaaz mujhe iss jahaaz se pehle nahi mila jis se mein aaj pouncha hon is par Qarz khuwa ne kaha ke phir Allah ne bhi aap ka woh qarz ada kar diya jisay aap ne lakri me bheja tha chunancha woh Sahab apna hazaar dinaar le kar khush khush wapas lout gaye .
www.PakizahKahaniya.blogspot.in

Sahi Bukhari, H. No. 2291





.. 
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے بنی اسرائیل کے ایک شخص کا ذکر فرمایا کہ انہوں نے بنی اسرائیل کے ایک دوسرے آدمی سے ایک ہزار دینار قرض مانگے۔ انہوں نے کہا کہ پہلے ایسے گواہ لا جن کی گواہی پر مجھے اعتبار ہو۔ قرض مانگنے والا بولا کہ گواہ تو بس اللہ ہی کافی ہے پھر انہوں نے کہا کہ اچھا کوئی ضامن لا۔ قرض مانگنے والا بولا کہ ضامن بھی اللہ ہی کافی ہے۔ انہوں نے کہا کہ تو نے سچی بات کہی۔ چنانچہ اس نے ایک مقررہ مدت کے لیے اس کو قرض دے دیا۔ یہ صاحب قرض لے کر دریائی سفر پر روانہ ہوئے اور پھر اپنی ضرورت پوری کر کے کسی سواری ( کشتی وغیرہ ) کی تلاش کی تاکہ اس سے دریا پار کر کے اس مقررہ مدت تک قرض دینے والے کے پاس پہنچ سکے جو اس سے طے پائی تھی۔ ( اور اس کا قرض ادا کر دے ) لیکن کوئی سواری نہیں ملی۔ آخر ایک لکڑی لی اور اس میں سوراخ کیا۔ پھر ایک ہزار دینار اور ایک ( اس مضمون کا ) خط کہ اس کی طرف سے قرض دینے والے کی طرف ( یہ دینار بھیجے جا رہے ہیں ) اور اس کا منہ بند کر دیا۔ اور اسے دریا پر لے آئے، پھر کہا، اے اللہ! تو خوب جانتا ہے کہ میں نے فلاں شخص سے ایک ہزار دینار قرض لیے تھے۔ اس نے مجھ سے ضامن مانگا تو میں نے کہہ دیا تھا کہ میرا ضامن اللہ تعالیٰ کافی ہے اور وہ بھی تجھ پر راضی ہوا۔ اس نے مجھ سے گواہ مانگا تو اس کا بھی جواب میں نے یہی دیا کہ اللہ پاک گواہ کافی ہے تو وہ مجھ پر راضی ہو گیا اور ( تو جانتا ہے کہ ) میں نے بہت کوشش کی کہ کوئی سواری ملے جس کے ذریعہ میں اس کا قرض اس تک ( مدت مقررہ میں ) پہنچا سکوں۔ لیکن مجھے اس میں کامیابی نہیں ہوئی۔ اس لیے اب میں اس کو تیرے ہی حوالے کرتا ہوں ( کہ تو اس تک پہنچا دے ) چنانچہ اس نے وہ لکڑی جس میں رقم تھی دریا میں بہا دی۔ اب وہ دریا میں تھی اور وہ صاحب ( قرض دار ) واپس ہو چکے تھے۔ اگرچہ فکر اب بھی یہی تھا کہ کس طرح کوئی جہاز ملے۔ جس کے ذریعہ وہ اپنے شہر میں جا سکیں۔ دوسری طرف وہ صاحب جنہوں نے قرض دیا تھا اسی تلاش میں ( بندرگاہ ) آئے کہ ممکن ہے کوئی جہاز ان کا مال لے کر آیا ہو۔ لیکن وہاں انہیں ایک لکڑی ملی۔ وہی جس میں مال تھا۔ انہوں نے لکڑی اپنے گھر میں ایندھن کے لیے لے لی۔ لیکن جب اسے چیرا تو اس میں سے دینار نکلے اور ایک خط بھی نکلا۔ ( کچھ دنوں کے بعد جب وہ صاحب اپنے شہر آئے ) تو قرض خواہ کے گھر آئے۔ اور ( یہ خیال کر کے کہ شاید وہ لکڑی نہ مل سکی ہو دوبارہ ) ایک ہزار دینا ان کی خدمت میں پیش کر دیئے۔ اور کہا کہ قسم اللہ کی! میں تو برابر اسی کوشش میں رہا کہ کوئی جہاز ملے تو تمہارے پاس تمہارا مال لے کر پہنچوں لیکن اس دن سے پہلے جب کہ میں یہاں پہنچنے کے لیے سوار ہوا۔ مجھے اپنی کوششوں میں کامیابی نہیں ہوئی۔ پھر انہوں نے پوچھا اچھا یہ تو بتاؤ کہ کوئی چیز کبھی تم نے میرے نام بھیجی تھی؟ مقروض نے جواب دیا بتا تو رہا ہوں آپ کو کہ کوئی جہاز مجھے اس جہاز سے پہلے نہیں ملا جس سے میں آج پہنچا ہوں۔ اس پر قرض خواہ نے کہا کہ پھر اللہ نے بھی آپ کا وہ قرضا ادا کر دیا۔ جسے آپ نے لکڑی میں بھیجا تھا۔ چنانچہ وہ صاحب اپنا ہزار دینار لے کر خوش خوش واپس لوٹ گئے۔
.

RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...