Kahte hain Ek Raja tha uske paas bahut Umdah qism ke heere the.
Ek din usne Unn heeron me kuchh bahut umdah naqli heere mila diye aur Kaha;
Ek din usne Unn heeron me kuchh bahut umdah naqli heere mila diye aur Kaha;
" Jo iss me se Asli aur naqli heere alag kar dega to asli heere usko inaam me de dunga."
Bade bade Joheri nakaam hogaye, Woh Asli aur naqli ko alag na kar sake aur haar maan li,. Utne me ek nabina (blind) shakhs aya aur usne dawa kiya ke;
" Mai yeh kaam kar sakta hoon".
Log hasne lage, aur kehne lage;
" Tum andhe ho aur yeh kaam kar lo ge? Yahan ek se ek maahir ye kaam nahi kar saka."
Raja ne usko ijazat de di aur usne kaha woh unn heeron ko kuchh der ke liye apne saath le jana chahta hai, ijazat mil gayi kuchh der baad woh wapas aya aur usne asli aur naqli heere alag kar diye. Badshaah aur darbari bahut hairaan huye puchha;
"Yeh tum ne kaise kiya ?"
Usne kaha ;
"Bahut asaani se , Mai ne inn heeron ko dhoop me rakha jo naqli the woh dhoop ki shiddat bardasht na kar sake woh garm hogaye aur jo asli the unn ko kuchh na hua."
Ye kahani bayaan karne ka maqsad ye hai ke hum sab dekhne me heere hi hote shanakht karna bahut mushkil hota hai kaun heera hai kaun kaanch ka tukda. Magar jab unko gusse ki tapish padti hai to woh garmi se fatt padte hain aur unki zubaan unki asliyat bayaan kar deti hai, to asal heera banna hai to gussa par qaabu pana seekhne gussa khud ke liye bhi nuqsaande hota hai balke yun kahun dusron ke liye kam apne liye zyadah nuqsaandah hota, mukhtalif bemaarion ki wajah gussa hi hota hai to gussa kam kijye.
✿ Pakizah Kahaniya ✿
Click here for more Stories
Click here for more Stories
ﮐﮩﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺭﺍﺟﺎ ﺗﮭﺎ ﺍﺳﮑﮯ ﭘﺎﺱ ﺑﮩﺖ ﻋﻤﺪﮦ ﻗﺴﻢ ﮐﮯ ﮬﯿﺮﮮ ﺗﮭﮯ.
ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﺍﺳﻨﮯﺍﻥُ ﮬﯿﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﺑﮩﺖ ﻋﻤﺪﮦ ﻧﻘﻠﯽ ﮬﯿﺮﮮ ﻣﻼ ﺩﯾﮯ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﺎ ﺟﻮ ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﺳﮯ ﺍﺻﻠﯽ ﺍﻭﺭ ﻧﻘﻠﯽ ﮬﯿﺮﮮ ﺍﻟﮓ ﮐﺮﺩﮮ ﮔﺎ ﺗﻮ ﺍﺻﻠﯽ ﮬﯿﺮﮮ ﺑﮭﯽ ﺍﺳﮑﻮ ﺍﻧﻌﺎﻡ ﻣﯿﮟ ﺩﮮ ﺩﻭﮞ ﮔﺎ ۔
ﺑﮍﮮ ﺑﮍﮮ ﺟﻮﮬﺮﯼ ﻧﺎﮐﺎﻡ ﮨﻮﮔﮯ ﻭﮦ ﺍﺻﻞ ﺍﻭﺭ ﻧﻘﻠﯽ ﮐﻮ ﺍﻟﮓ ﻧﮧ ﮐﺮُﺳﮑﮯ ﺍﻭﺭ ﮨﺎﺭ ﻣﺎﻥ ﻟﯽ ﺍﺗﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﻧﺎﺑﯿﻨﺎ ﺷﺨﺺ ﺍﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﺳﻨﮯ ﺩﻋﻮﺍ ﮐﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﯾﮧ ﮐﺎﻡ ﮐﺮﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻟﻮﮒ ﮨﺴﻨﮯ ﻟﮕﮯ ﺗﻢ ﺍﻧﺪﮬﮯ ﮨﻮ ﺍﻭﺭ ﯾﮧ ﮐﺮﻟﻮ ﮔﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺍﯾﮏ ﺳﮯ ﺍﯾﮏ ﻣﺎﮬﺮ ﯾﮧ ﮐﺎﻡ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮ ﺳﮑﺎ .
ﺭﺍﺟﺎ ﻧﮯ ﺍﺳﮑﻮ ﺍﺟﺎﺯﺕ ﺩﮮ ﺩﯼ ﺍﻭﺭ ﺍﺳﻨﮯ ﮐﮩﺎ ﻭﮦ ﺍﻥ ﮬﯿﺮﻭﮞ ﮐﻮ ﮐﭽﮫ ﺩﯾﺮ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﻟﮯ ﺟﺎﻧﺎ ﭼﺎﮨﺘﺎ ﮨﮯ ﺍﺟﺎﺯﺕ ﻣﻞ ﮔﯽ ﮐﭽﮫ ﺩﯾﺮ ﺑﻌﺪ ﻭﮦ ﻭﺍﭘﺲ ﺍﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﺳﻨﮯ ﺍﺻﻠﯽ ﺍﻭﺭ ﻧﻘﻠﯽ ﮬﯿﺮﮮ ﺍﻟﮓ ﮐﺮﺩﮮ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺍﻭﺭ ﺩﺭﺑﺎﺭﯼ ﺑﮩﺖ ﺣﯿﺮﺍﻥ ﮨﻮﮮ ﭘﻮﭼﮭﺎ
ﯾﮧ ﺗﻢ ﻧﮯ ﮐﯿﺴﮯ ﮐﯿﺎ؟
ﺍﺳﻨﮯ ﮐﮩﺎ؛
ﺑﮩﺖ ﺍﺳﺎﻧﯽ ﺳﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍﻥ ﮬﯿﺮﻭﮞ ﮐﻮ ﺩﮬﻮﭖ ﻣﯿﮟ ﺭﮐﮭﺎ ﺟﻮ ﻧﻘﻠﯽ ﺗﮭﮯ ﻭﮦ ﺩﮬﻮﭖ ﮐﯽ ﺷﺪﺕ ﺑﺮﺩﺍﺷﺖ ﻧﮧ ﮐﺮُﺳﮑﮯ ﻭﮦ ﮔﺮﻡ ﮨﻮﮔﮯ ﺍﻭﺭ ﺟﻮ ﺍﺻﻞ ﺗﮭﮯ ﺍﻥ ﮐﻮ ﮐﭽﮫ ﻧﮧ ﮨﻮﺍ.
ﯾﮧ ﮐﮩﺎﻧﯽ ﺑﯿﺎﻥ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﺎ ﻣﻘﺼﺪ ﯾﮧ ﮨﮯ ﮐﮧ ﮬﻢ ﺳﺐ ﺩﯾﮑﮭﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﮬﯿﺮﮮ ﮨﯽ ﮨﻮﺗﮯ ﺷﻨﺎﺧﺖ ﮐﺮﻧﺎ ﺑﮩﺖ ﻣﺸﮑﻞ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﮐﻮﻥ ﮬﯿﺮﺍ ﮨﮯ ﮐﻮﻥ ﮐﺎﻧﭻ ﮐﺎ ﭨﮑﮍﺍ ﻣﮕﺮ ﺟﺐ ﺍﻧﮑﻮ ﻏﺼﮧ ﮐﯽ ﺗﭙﺶ ﭘﮍﺗﯽ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻭﮦ ﮔﺮﻣﯽ ﺳﮯ ﭘﮭﭧ ﭘﮍﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺍﻧﮑﯽ ﺯﺑﺎﻥ ﺍﻧﮑﯽ ﺍﺻﻠﯿﺖ ﺑﯿﺎﻥ ﮐﺮُﺩﯾﺘﯽ ﮨﮯ ﺗﻮ ﺍﺻﻞ ﮬﯿﺮﺍ ﺑﻨﻨﺎ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻏﺼﮧ ﭘﺮ ﻗﺎﺑﻮ ﭘﺎﻧﺎ ﺳﮑﮭﯿﻨﮯ ﻏﺼﮧ ﺧﻮﺩ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺑﮭﯽ ﻧﻘﺼﺎﻥ ﺩﮮ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﺑﻠﮑﮧ ﯾﻮﮞ ﮐﮩﻮﮞ ﺩﻭﺳﺮﻭﮞ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﮐﻢ ﺍﭘﻨﮯ ﻟﯿﮯ ﺫﯾﺎﺩﮦ ﻧﻘﺼﺎﻥ ﺩﮦ ﮨﻮﺗﺎ ﻣﺨﺘﻠﻒ ﺑﯿﻤﺎﺭﯼ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﻏﺼﮧ ﮨﯽ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻏﺼﮧ ﮐﻢ ﮐﯿﺠﮯ.