♦ RAHAM DIL BADSHAAH AUR KISAAN

Ek mulk ka Badshaah bahut raham dil aur nek tha. Reaya ke haq me bahut achha tha chunanche tamam reaya uss se muhabbat karti thi aur usey khoob duayein deti thi.

  Usi mulk ke ek daur daraz gaon me ek kisaan rehta tha jis ki yeh khwahish thi keh apne nek dil Badshaah ki zeyarat ki jaye aur usey koi tohfa diya jaye - uss ne apni biwi se mashwarah kiya ke Mai Badshaah ko milne ke liye jana chahta hoon aur meri khwahish hai keh Mai uss koi tohfa bhi doo, tum mujhe mashwarah do keh Mai Badshaah ke liye kya tohfa le kar jaoon biwi ne kuchh der socha aur kaha keh Badshaah ke paas tu har chiz hogi, hum usey kya tohfa de sakte hain ,haan mera ek mashwarah hai keh humare ghar ke paas behne wale chasme ka pani bahut meetha aur thanda hai aur aisa pani pure mulk me  kahin bhi nahi hoga hatta ke Badshaah ke paas hi nahi hoga to tum uss ke liye yeh pani le jao.
  Kisaan ko yeh tajweez pasand a gayi aur uss ne apni chasme se pani ke do ghadey bhare aur apne gadhe par laad kar Badshaah se mulaqaat ke liye rawana hogaya .-kayi hafton ke safar ke baad kisaan Badshaah ke mahal tak pahunch gaya aur uss se mulaqaat ki ijazat chahi - ijazat milne par Badshaah ko tohfa pesh kiya aur usey bataya keh yeh mere gaon ke chasme ka pani hai aur aisa meetha aur thanda pani aap ko pure mulk me kahin bhi nahi milega.
Badshaah ke ishare par wazeer ne ghadey ka dhakkan uthaya to kayi hafton ke safar ki wajah se pani me badboo paida hogayi thi - wazeer ne Badshaah ki taraf dekha to badshaah ne usey khamosh rahne ka isharah kiya aur baawaaz buland kaha keh hum uss tohfe se bahut khush hue aur khazanchi ko hukm diya keh uss kisaan ke ghadon sone se bhar diya jaye - kisaan bahut khush hua .
  Badshaah ne wazeer ko bula kar chupke se kaha ke pani ko gira dena aur wapsi par uss kisaan ko uss raste se guzarna jahan humare chashme hain take usse ilm ho keh humare paas pani ke kitne chashme hain aur unka pani kitna thanda aur farhat bakhs hai .
  chunanche jab kisaan ko inamaat dene ke baad unn chashmo ke paas se guzara gaya tu woh samjh gaya ke uss ka tohfa kitna haqeer tha lekin Badshaah ne uske haqeer tohfe ko bhi qabool kar ke usey inaam se nawaza. uss ke dil me Badshaah ke liye muhabbat aur aqidat aur badh gayi .
  Humari ibadaat ka hi yahi haal hai - hum jo tuti futi ibadat karte hain tu hum usey bahut achhi samjhte hain aur apne malik ke Huzoor pesh karte hain - inn ibadaat ki haqiqat malum hone ke bawajood woh malik ul mulk nah sirf inn ibadaat ko qubool karta hai balke inaa'm ke taur par besh baha nematon se hi nawazta hai halanke usey humari ibadaton ki zarurat nahi hai ۔khaliq kayenaat ki ebadat ke liye tu uss ke lakhon karodon farishte hi kaafi hain. Hume chahiye ke hum apne Rab ki ibadat khuloos ke saath kare, taake usme jo bhi kami reh jaye humara Rab usey maaf kar de.
✿ Pakizah Kahaniya ✿






ﺍﯾﮏ ﻣﻠﮏ ﮐﺎ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺑﮩﺖ ﺭﺣﻢ ﺩﻝ ﺍﻭﺭ ﻧﯿﮏ ﺗﮭﺎ - ﺭﻋﺎﯾﺎ ﮐﮯ ﺣﻖ ﻣﯿﮟ ﺑﮩﺖ ﺍﭼﮭﺎ ﺗﮭﺎ ﭼﻨﺎﻧﭽﮧ ﺗﻤﺎﻡﺭﻋﺎﯾﺎ ﺍﺱ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺮﺗﯽ ﺗﮭﯽ ﺍﻭﺭ ﺍُﺳﮯﺧﻮﺏﺩﻋﺎﺋﯿﮟ ﺩﯾﺘﯽ ﺗﮭﯽ - ﺍﺳﯽ ﻣﻠﮏ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺩﻭﺭ ﺩﺭﺍﺯ ﮔﺎﺅﮞ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﮐﺴﺎﻥﺭﮨﺘﺎ ﺗﮭﺎ ﺟﺲ ﮐﯽ ﯾﮧ ﺧﻮﺍﮨﺶ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﺍﭘﻨﮯﻧﯿﮏ ﺩﻝﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﯽ ﺯﯾﺎﺭﺕ ﮐﯽ ﺟﺎﺋﮯ ﺍﻭﺭ ﺍﺳﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﺗﺤﻔﮧﺩﯾﺎ ﺟﺎﺋﮯ - ﺍﺱ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺑﯿﻮﯼ ﺳﮯ ﻣﺸﻮﺭﮦ ﮐﯿﺎ ﮐﮧﻣَﯿﮟ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﻮ ﻣﻠﻨﮯ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺟﺎﻧﺎ ﭼﺎﮨﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺍﻭﺭﻣﯿﺮﯼ ﺧﻮﺍﮨﺶ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻣَﯿﮟ ﺍﺱ ﮐﻮﺋﯽ ﺗﺤﻔﮧ ﺑﮭﯽﺩﻭﮞ - ﺗﻢ ﻣﺠﮭﮯ ﻣﺸﻮﺭﮦ ﺩﻭ ﮐﮧ ﻣَﯿﮟ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﮯ ﻟﯿﮯﮐﯿﺎ ﺗﺤﻔﮧ ﻟﮯ ﮐﺮ ﺟﺎﺅﮞ۔ ﺑﯿﻮﯼ ﻧﮯ ﮐﭽﮫ ﺩﯾﺮ ﺳﻮﭼﺎﺍﻭﺭ ﮐﮩﺎ ﮐﮧ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺗﻮ ﮨﺮ ﭼﯿﺰ ﮨﻮ ﮔﯽ، ﮨﻢﺍﺳﮯ ﮐﯿﺎ ﺗﺤﻔﮧ ﺩﮮ ﺳﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﮨﺎﮞ ﻣﯿﺮﺍ ﺍﯾﮏ ﻣﺸﻮﺭﮦﮨﮯ ﮐﮧ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﮔﮭﺮ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺑﮩﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﭼﺸﻤﮯ ﮐﺎﭘﺎﻧﯽ ﺑﮩﺖ ﻣﯿﭩﮭﺎ ﺍﻭﺭ ﭨﮭﻨﮉﺍ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﺴﺎ ﭘﺎﻧﯽ ﭘﻮﺭﮮﻣﻠﮏ ﻣﯿﮟ ﮐﮩﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮ ﮔﺎ ﺣﺘﯽٰ ﮐﮯ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮ ﮔﺎ ﺗﻮ ﺗﻢ ﺍﺱ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﯾﮧ ﭘﺎﻧﯽﻟﮯ ﺟﺎﺅ - ﮐﺴﺎﻥ ﮐﻮ ﯾﮧ ﺗﺠﻮﯾﺰ ﭘﺴﻨﺪ ﺁ ﮔﺌﯽ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﻧﮯﺍﭘﻨﮯ ﭼﺸﻤﮯ ﺳﮯ ﭘﺎﻧﯽ ﮐﮯ ﺩﻭ ﮔﮭﮍﮮ ﺑﮭﺮﮮﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﮯﮔﺪﮬﮯ ﭘﺮ ﻻﺩ ﮐﺮ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺳﮯ ﻣﻼﻗﺎﺕ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺭﻭﺍﻧﮧ ﮨﻮﮔﯿﺎ .- ﮐﺌﯽ ﮨﻔﺘﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﻔﺮ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﮐﺴﺎﻥ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦﮐﮯﻣﺤﻞ ﺗﮏ ﭘﮩﻨﭻ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﺳﮯ ﻣﻼﻗﺎﺕ ﮐﯽ ﺍﺟﺎﺯﺕﭼﺎﮨﯽ - ﺍﺟﺎﺯﺕ ﻣﻠﻨﮯ ﭘﺮ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﻮ ﺗﺤﻔﮧ ﭘﯿﺶ ﮐﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﺍُﺳﮯﺑﺘﺎﯾﺎ ﮐﮧ ﯾﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﮔﺎﺅﮞ ﮐﮯ ﭼﺸﻤﮯ ﮐﺎ ﭘﺎﻧﯽ ﮨﮯ ﺍﻭﺭﺍﯾﺴﺎ ﻣﯿﭩﮭﺎ ﺍﻭﺭ ﭨﮭﻨﮉﺍ ﭘﺎﻧﯽ ﺁﭖ ﮐﻮ ﭘﻮﺭﮮ ﻣﻠﮏ ﻣﯿﮟﮐﮩﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﻠﮯ ﮔﺎ۔ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﮯ ﺍﺷﺎﺭﮮ ﭘﺮﻭﺯﯾﺮ ﻧﮯ ﮔﮭﮍﮮ ﮐﺎ ﮈﮬﮑﻦ ﺍﭨﮭﺎﯾﺎ ﺗﻮ ﮐﺌﯽ ﮨﻔﺘﻮﮞ ﮐﮯﺳﻔﺮ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﺳﮯ ﭘﺎﻧﯽ ﻣﯿﮟ ﺑﺪﺑﻮ ﭘﯿﺪﺍ ﮨﻮﮔﺌﯽﺗﮭﯽ - ﻭﺯﯾﺮ ﻧﮯ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﻮﺑﺎﺩﺷﺎﮦﻧﮯ ﺍﺳﮯ ﺧﺎﻣﻮﺵ ﺭﮨﻨﮯ ﮐﺎ ﺍﺷﺎﺭﮦ ﮐﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﺑﺎﺁﻭﺍﺯ ﺑﻠﻨﺪﮐﮩﺎ ﮐﮧ ﮨﻢ ﺍﺱ ﺗﺤﻔﮯ ﺳﮯ ﺑﮩﺖ ﺧﻮﺵ ﮨﻮﺋﮯ ﺍﻭﺭﺧﺰﺍﻧﭽﯽ ﮐﻮ ﺣﮑﻢ ﺩﯾﺎ ﮐﮧ ﺍﺱ ﮐﺴﺎﻥ ﮐﮯ ﮔﮭﮍﻭﮞﮐﻮ ﺳﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﺑﮭﺮ ﺩﯾﺎ ﺟﺎﺋﮯ - ﮐﺴﺎﻥ ﺑﮩﺖ ﺧﻮﺵﮨﻮﺍ - ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﻧﮯ ﻭﺯﯾﺮ ﮐﻮ ﺑﻼ ﮐﺮ ﭼﭙﮑﮯ ﺳﮯ ﮐﮩﺎ ﮐﮧﭘﺎﻧﯽ ﮐﻮ ﮔﺮﺍ ﺩﯾﻨﺎ ﺍﻭﺭ ﻭﺍﭘﺴﯽ ﭘﺮ ﺍﺱ ﮐﺴﺎﻥ ﮐﻮ ﺍﺱﺭﺳﺘﮯ ﺳﮯ ﮔﺰﺍﺭﻧﺎ ﺟﮩﺎﮞ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﭼﺸﻤﮯ ﮨﯿﮟ ﺗﺎﮐﮧﺍﺱ ﻋﻠﻢ ﮨﻮ ﮐﮧ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﭘﺎﺱ ﭘﺎﻧﯽ ﮐﮯ ﮐﺘﻨﮯﭼﺸﻤﮯﮨﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺍﻧﮑﺎ ﭘﺎﻧﯽ ﮐﺘﻨﺎ ﭨﮭﻨﮉﺍ ﺍﻭﺭ ﻓﺮﺣﺖ ﺑﺨﺶ ﮨﮯ - ﭼﺎﻧﭽﮧ ﺟﺐ ﮐﺴﺎﻥ ﮐﻮ ﺍﻧﻌﺎﻣﺎﺕ ﺩﯾﻨﮯ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺍﻥﭼﺸﻤﻮﮞ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺳﮯ ﮔﺰﺍﺭﺍ ﮔﯿﺎ ﺗﻮ ﻭﮦ ﺳﻤﺠﮫ ﮔﯿﺎﮐﮧ ﺍﺱ ﮐﺎ ﺗﺤﻔﮧ ﮐﺘﻨﺎ ﺣﻘﯿﺮ ﺗﮭﺎ ﻟﯿﮑﻦ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﻧﮯﺍﺳﮑﮯ ﺣﻘﯿﺮ ﺗﺤﻔﮯ ﮐﻮ ﺑﮭﯽ ﻗﺒﻮﻝ ﮐﺮ ﮐﮯ ﺍﺳﮯﺍﻧﻌﺎﻡ ﺳﮯ ﻧﻮﺍﺯﺍ۔ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﮯ ﻟﯿﮯﻣﺤﺒﺖ ﺍﻭﺭ ﻋﻘﯿﺪﺕ ﺍﻭﺭ ﺑﮍﮪ ﮔﺌﯽ .- ﮨﻤﺎﺭﯼ ﻋﺒﺎﺩﺍﺕ ﮐﺎ ﺑﮭﯽ ﯾﮩﯽ ﺣﺎﻝ ﮨﮯ - ﮨﻢ ﺟﻮ ﭨﻮﭨﯽﭘﮭﻮﭨﯽ ﻋﺒﺎﺩﺕ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺗﻮ ﮨﻢ ﺍﺳﮯ ﺑﮩﺖ ﺍﭼﮭﯽﺳﻤﺠﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﮯ ﻣﺎﻟﮏ ﮐﮯ ﺣﻀﻮﺭ ﭘﯿﺶ ﮐﺮﺗﮯﮨﯿﮟ - ﺍﻥ ﻋﺒﺎﺩﺍﺕ ﮐﯽ ﺣﻘﯿﻘﺖ ﻣﻌﻠﻮﻡ ﮨﻮﻧﮯ ﮐﮯﺑﺎﻭﺟﻮﺩ ﻭﮦ ﻣﺎﻟﮏ ﺍﻟﻤﮏ ﻧﮧ ﺻﺮﻑ ﺍﻥ ﻋﺒﺎﺩﺍﺕ ﮐﻮﻗﺒﻮﻝ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺑﻠﮑﮧ ﺍﻧﻌﺎﻡ ﮐﮯ ﻃﻮﺭ ﭘﺮ ﺑﯿﺶﺑﮩﺎﻧﻌﻤﺘﻮﮞ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﻧﻮﺍﺯﺗﺎ ﮨﮯ ﺣﺎﻻﻧﮑﮧ ﺍﺳﮯ ﮨﻤﺎﺭﯼﻋﺒﺎﺩﺗﻮﮞ ﮐﯽ ﺿﺮﻭﺭﺕ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﮯ ۔ ﺧﺎﻟﻖِ ﮐﺎﺋﻨﺎﺕ ﮐﯽﻋﺒﺎﺩﺕ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺗﻮ ﺍﺱ ﮐﮯ ﻻﮐﮭﻮﮞ ﮐﺮﻭﮌﻭﮞ ﻓﺮﺷﺘﮯﮨﯽ ﮐﺎﻓﯽ ﮨﯿﮟ



RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...