♦ MUQADDAS JANWAR..


Ek shakhs bazaar me sada laga raha tha.
"Gadhey le lo, Paanch sau rupay me Ghadhey le lo"..

Ghadha bahut hi dubla aur kamzor qism ka tha.
Wahan se ek Badshaah ka apne wazeer ke saath guzar hua,
Badshaah wazeer ke saath bechne wale ke paas aya aur puchha;
" Kitne ka bech rahe ho ?"
Uss shakhs ne Badshaah ko apni taraf ate dekh kar qeemat badha diya aur bola;
"Aali Jaah ! Pachaas Hazaar."
Badshaah hairaan hote hue,
"Itna mehnga gadha?
Aisi kya khasiyat hai iss me ?"
Woh kehne laga;
"Huzoor jo iss par baithta hai usey Makka Madina dikhayi dene lagta hai."
Badshaah ko yaqeen na aya aur kehne laga;
"Agar tumhari baat sach hui to hum ek lakh de kar khareed lenge. Lekin agar jhoot hui to tumhara sar qalam kar diya jayega."
Saath hi wazeer ko kaha ke uss par baitho aur batao kya dikhta hai ?
Wazeer baithne laga to gadhe wale kaha;
"Janab Makka Madina kisi gunahgaar insaan ko dikhayi nahi deta".
" Hum gunahgaar nahi, hato samne se" yeh keh kar wazeer gadhe par baith gata lekin kuchh dikhayi na diya.
Ab sochne laga ke agar sach kah diya to bahut badnami hogi, achanak chilaya;
" Subhanallah, Masha Allah, Alhamdulillah kya nazarah hai Makke  Madine ka".
Badshaah ne tajasus me kaha;
"Hato jaldi humein bhi dekhne do" aur khud gadhe par baith gaya.
Dikhayi to usey bhi kuchh na diya lekin sultani Jamhur ki shaan ko madde nazar rakhte hue ankhon me ansoon le aya aur kehne laga;
"Waah Mere Maula waah, Waah Subhanallah teri qudrat, kya karamati gadha hai, Kya Muqaddas janwar hai, mera wazeer mujh jitna nek nahi tha usey sirf Makka Madina dikhayi diya mujhe to saath saath Jannat bhi dikhayi de rahi hai ".
Uske utarte hi awaam tut padi koi gadhe ko chhune ki koshish kar raha, koi chumne ki, koi uske baal kaat kar tabarruk ke taur par rakhne laga waghairah waghairah...
Yahi haal kuchh humare samaj me bas rahe kuchh Jaalsazon aur makkaro ka hai jinhon ne Deeni istalahaat aur Deen ke naam par fareeb dene ka beda utha rakha hai aur sadah kism ke awaam bhi andhe kaane bann kar pichhe chal padte hain.
Allah sab ko aqal o faham ki dawlat se mala maal karte hue hidayat ke raste par chalne ki taufeeq ata farmaye.. Aameen
✿ PAKIZAH KAHANIYA ✿
www.PakizahKahaniya.blogspot.com




ﺍﯾﮏ ﺷﺤﺺ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﻣﯿﮟ ﺻﺪﺍ ﻟﮕﺎ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ۔ " ﮔﺪﮬﺎ ﻟﮯ ﻟﻮ۔ ﭘﺎﻧﭻ ﺳﻮ ﺭﻭﭘﮯ ﻣﯿﮟ ﮔﺪﮬﺎ ﻟﮯ ﻟﻮ " ۔
ﮔﺪﮬﺎ ﺍﻧﺘﮩﺎﺋﯽ ﮐﻤﺰﻭﺭ ﺍﻭﺭ ﻻﻏﺮ ﻗﺴﻢ ﮐﺎ ﺗﮭﺎ۔
ﻭﮨﺎﮞ ﺳﮯ ﺍﯾﮏ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﺎ ﺍﭘﻨﮯ ﻭﺯﯾﺮ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﮔﺰﺭ ﮨﻮﺍ،
ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﻭﺯﯾﺮ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﮔﺪﮬﺎ ﺑﯿﭽﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺁﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﺘﻨﮯ ﮐﺎ ﺑﯿﭻ ﺭﮨﮯ ﮨﻮ؟
ﺍﺱ ﺷﺨﺺ ﻧﮯ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﻮ ﺍﭘﻨﯽ ﻃﺮﻑ ﺁﺗﮯ ﺩﯾﮑﮫ ﮐﺮ ﺭﯾﭧ ﺑﮍﮬﺎ ﺩﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﺑﻮﻻ ﻋﺎﻟﯽ ﺟﺎﮦ ! ﭘﭽﺎﺱ ﮨﺰﺍﺭ ﮐﺎ۔
ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺣﯿﺮﺍﻥ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ، ﺍﺗﻨﺎ ﻣﮩﻨﮕﺎ ﮔﺪﮬﺎ؟ ﺍﯾﺴﯽ ﮐﯿﺎ ﺧﺎﺻﯿﺖ ﮨﮯ ﺍﺱ ﻣﯿﮟ؟
ﻭﮦ ﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﺎ ﺣﻀﻮﺭ ﺟﻮ ﺍﺱ ﭘﺮ ﺑﯿﭩﮭﺘﺎ ﮨﮯ ﺍﺳﮯ ﻣﮑﮧ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﺩﮐﮭﺎﺋﯽ ﺩﯾﻨﮯ ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ۔
ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﻮ ﯾﻘﯿﻦ ﻧﮧ ﺁﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﺎ ﺍﮔﺮ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺑﺎﺕ ﺳﭻ ﮨﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﮨﻢ ﺍﯾﮏ ﻻﮐﮫ ﮐﺎ ﺧﺮﯾﺪ ﻟﯿﮟ ﮔﮯ
ﻟﯿﮑﻦ ﺍﮔﺮ ﺟﮭﻮﭦ ﮨﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺗﻤﮩﺎﺭﺍ ﺳﺮ ﻗﻠﻢ ﮐﺮ ﺩﯾﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ
ﺳﺎﺗﮫ ﮨﯽ ﻭﺯﯾﺮ ﮐﻮ ﮐﮩﺎ ﮐﮯ ﺍﺱ ﭘﺮ ﺑﯿﭩﮭﻮ ﺍﻭﺭ ﺑﺘﺎﺅ ﮐﯿﺎ ﺩﮐﮭﺘﺎ ﮨﮯ؟
ﻭﺯﯾﺮ ﺑﯿﭩﮭﻨﮯ ﻟﮕﺎ ﺗﻮ ﮔﺪﮬﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﺟﻨﺎﺏ ﻣﮑﮧ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﮐﺴﯽ ﮔﻨﮩﮕﺎﺭ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﮐﻮ ﺩﮐﮭﺎﺋﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﯾﺘﺎ۔
ﮨﻢ ﮔﻨﮩﮕﺎﺭ ﻧﮩﯿﮟ، ﮨﭩﻮ ﺳﺎﻣﻨﮯ ﺳﮯ، ﯾﮧ ﮐﮩﮧ ﮐﺮ ﻭﺯﯾﺮ ﮔﺪﮬﮯ ﭘﺮ ﺑﯿﭩﮫ ﮔﯿﺎ ﻟﯿﮑﻦ ﮐﭽﮫ ﺩﮐﮭﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺩﯾﺎ۔
ﺍﺏ ﺳﻮﭼﻨﮯ ﻟﮕﺎ ﮐﮯ ﺍﮔﺮ ﺳﭻ ﮐﮩﮧ ﺩﯾﺎ ﺗﻮ ﺑﮩﺖ ﺑﺪﻧﺎﻣﯽ ﮨﻮﮔﯽ،
ﺍﭼﺎﻧﮏ ﭼﻼﯾﺎ ﺳﺒﺤﺎﻥ ﺍﻟﻠﮧ، ﻣﺎ ﺷﺎﺀ ﺍﻟﻠﮧ، ﺍﻟﺤﻤﺪﻟﻠﮧ ﮐﯿﺎ ﻧﻈﺎﺭﮦ ﮨﮯ ﻣﮑﮧ، ﻣﺪﯾﻨﮧ ﮐﺎ۔
ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﻧﮯ ﺗﺠﺴﺲ ﻣﯿﮟ ﮐﮩﺎ ﮨﭩﻮ ﺟﻠﺪﯼ ﮨﻤﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﮑﮭﻨﮯ ﺩﻭ ﺍﻭﺭ ﺧﻮﺩ ﮔﺪﮬﮯ ﭘﺮ ﺑﯿﭩﮫ ﮔﯿﺎ،
ﺩﮐﮭﺎﺋﯽ ﺗﻮ ﺍﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﮐﭽﮫ ﻧﮧ ﺩﯾﺎ
ﻟﯿﮑﻦ ﺳﻠﻄﺎﻧﯽ ﺟﻤﮩﻮﺭ ﮐﯽ ﺷﺎﻥ ﮐﻮ ﻣﺪﻧﻈﺮ ﺭﮐﮭﺘﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺁﻧﺴﻮ ﻟﮯ ﺁﯾﺎ
ﺍﻭﺭ ﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﺎ ﻭﺍﮦ ﻣﯿﺮﮮ ﻣﻮﻻ ﻭﺍﮦ، ﻭﺍﮦ ﺳﺒﺤﺎﻥ ﺗﯿﺮﯼ ﻗﺪﺭﺕ، ﮐﯿﺎ ﮐﺮﺍﻣﺎﺗﯽ ﮔﺪﮬﺎ ﮨﮯ،
ﮐﯿﺎ ﻣﻘﺪﺱ ﺟﺎﻧﻮﺭ ﮨﮯ،
ﻣﯿﺮﺍ ﻭﺯﯾﺮ ﻣﺠﮫ ﺟﺘﻨﺎ ﻧﯿﮏ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ ﺍﺳﮯ ﺻﺮﻑ ﻣﮑﮧ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﺩﮐﮭﺎﺋﯽ ﺩﯾﺎ ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻮ ﺳﺎﺗﮫ ﺳﺎﺗﮫ ﺟﻨﺖ ﺑﮭﯽ ﺩﮐﮭﺎﺋﯽ ﺩﮮ ﺭﮨﯽ ﮨﮯ۔
ﺍﺱ ﮐﮯ ﺍﺗﺮﺗﮯ ﮨﯽ ﻋﻮﺍﻡ ﭨﻮﭦ ﭘﮍﯼ ﮐﻮﺋﯽ ﮔﺪﮬﮯ ﮐﻮ ﭼﮭﻮﻧﮯ ﮐﯽ ﮐﻮﺷﺶ ﮐﺮﻧﮯ ﻟﮕﺎ، ﮐﻮﺋﯽ ﭼﻮﻣﻨﮯ ﮐﯽ ،ﮐﻮﺋﯽ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﺎﻝ ﮐﺎﭦ ﮐﺮ ﺗﺒﺮﮎ ﮐﮯ ﻃﻮﺭ ﭘﺮ ﺭﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﺎ ﻭﻏﯿﺮﮦ ﻭﻏﯿﺮﮦ -----
ﯾﮩﯽ ﺣﺎﻝ ﮐﭽﮫ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺳﻤﺎﺝ ﻣﯿﮟ ﺑﺲ ﺭﮨﮯ ﮐﭽﮫ ﺟﻌﻠﺴﺎﺯﻭﮞ ﺍﻭﺭ ﻣﮑﺎﺭﻭﮞ ﮐﺎ ﮨﮯ ﺟﻨﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﺩﯾﻨﯽ ﺍﺻﻄﻼﺣﺎﺕ ﺍﻭﺭ ﺩﯾﻦ ﮐﮯ ﻧﺎﻡ ﭘﺮ ﻓﺮﯾﺐ ﺩﯾﻨﮯ ﮐﺎ ﺑﯿﮍﺍ ﺍﭨﮭﺎ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺳﺎﺩﮦ ﻟﻮﺡ ﻋﻮﺍﻡ ﺑﮭﯽ ﺍﻧﺪﮬﮯ ﮐﺎﻧﮯ ﺑﻦ ﮐﺮ ﭘﯿﭽﮭﮯ
ﭼﻞ ﭘﮍﺗﮯ ﮨﯿﮟ -
ﺍﻟﻠﮧ ﺳﺐ ﮐﻮ ﻋﻘﻞ ﻭ ﻓﮩﻢ ﮐﯽ ﺩﻭﻟﺖ ﺳﮯ ﻣﺎﻻ ﻣﺎﻝ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﻮﮮ ﮨﺪﺍﺋﺖ ﮐﮯ ﺭﺳﺘﮯ ﭘﺮ ﭼﻠﻨﮯ ﮐﯽ ﺗﻮﻓﯿﻖ ﻋﻄﺎ ﻓﺮﻣﺎﺋﮯ، ﺁﻣﯿﻦ




RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...