WAQT WAHI SHUMAAR KARNE KE LAIQ HAI..
Ek badshah ne elaan kiya ke ke jo shakhs jhoot bolte hue pakda gaya
usko paanch dinar jurmana hoga, log ek dosre ke samne bhi darne lage ke agar jhoot bolte hue pakde gaye to jurmana na ho jaye, Udhar badshah aur wazeer bhais badal kar shehar me ghoomne lage, Jab thak gaye to aaraam karne ki gharz se ek tajir ke paas thehre, Uss ne dono ko chaye pilayi, badshah ne tajir se poocha :“Tumhari Umar kitni hai? ”
tajir ne kaha "20 saal. ”
“Tumhare paas doulat kitni hai? ”
Tajir ne kaha. .. ”70 hazaar deenar”
Badshah ne poocha : ”Tumhare bache kitney hain? ”
Tajir ne jawab diya : ”Ek”
wapas aakar unhon ne sarkari daftar mein tajir ke kawaif aur jaedaad ki padtaal ki to uss ke bayan se mukhtalif thi, Badshah ne tajir ko darbaar me talab kiya aur wohi teen sawalaat dohraaye. tajir ne wohi jawabaat diye .
Badshah ne wazeer se kaha :
“Iss par pandrah dinaar jurmana aed kar do aur sarkari khazane me jama karado, kyun ke uss ne teen jhoot bole hain, sarkari kaghzat mein is ki Umar 35 saal hai, uske paas 70 hazaar dinar se ziyada raqam hai, aur is ke paanch ladke hain. ”
“Iss par pandrah dinaar jurmana aed kar do aur sarkari khazane me jama karado, kyun ke uss ne teen jhoot bole hain, sarkari kaghzat mein is ki Umar 35 saal hai, uske paas 70 hazaar dinar se ziyada raqam hai, aur is ke paanch ladke hain. ”
Tajir ne kaha : zindagi ke 20 saal hi neki aur imaan daari se guzre hain, isi ko mai apni Umar samjhta hoon aur zindagi mein 70 hazaar dinar mai ne ek masjid ki taamer mein kharch kiye hain, iss ko apni doulat samjhta hoon aur chaar bache nalaiq aur bad ikhlaq hain, ek bacha achha hai, isi ko mai apna bacha samjhta hoon. ”
Yeh sun kar Badshah ne jrmane ka hukum wapas le liya aur tajir se kaha :
“hum tumhare jawab se khush hue hain, waqt wahi shumaar karne ke Laiq hai, jo naik kamon me guzar jaye, doulat wohi qabil e aitbaar hai jo raah e khuda me kharch ho aur aulaad wohi hai jis ki adateen naik hon. ”
“hum tumhare jawab se khush hue hain, waqt wahi shumaar karne ke Laiq hai, jo naik kamon me guzar jaye, doulat wohi qabil e aitbaar hai jo raah e khuda me kharch ho aur aulaad wohi hai jis ki adateen naik hon. ”
وقت وہی شمار کرنے کے لائق ہ،
ایک بادشاہ نے اعلان کیا کہ کہ جو شخص جھوٹ بولتے ہوئے پکڑا گیا اس کو پانچ دینار جرمانہ ہوگا، لوگ ایک دوسرے کے سامنے بھی ڈرنے لگے کہ اگر جھوٹ بولتے ہوئے پکڑے گئے تو جرمانہ نہ ہو جائے، ادھر بادشاہ اور وزیر بھیس بدل کر شہر میں گھومنے لگے، جب تھک گئے تو آرام کرنے کی غرض سے ایک تاجر کے پاس ٹھہرے، اس نے دونوں کو چائے پلائی، بادشاہ نے تاجر سے پوچھا:
“تمھاری عمر کتنی ہے؟”
تاجر نے کہا”20 سال۔”
“تمھارے پاس دولت کتنی ہے؟”
تاجر نے کہا۔۔۔”70 ہزار دینار”
بادشاہ نے پوچھا:”تمھارے بچے کتنے ہیں؟”
تاجر نے جواب دیا:”ایک”
واپس آکر انھوں نے سرکاری دفتر میں تاجر کے کوائف اور جائیداد کی پڑتال کی تو اس کے بیان سے مختلف تھی، بادشاہ نے تاجر کو دربار میں طلب کیا اور وہی تین سوالات دُھرائے۔ تاجر نے وہی جوابات دیے۔
بادشاہ نے وزیر سے کہا:
“اس پر پندرہ دینار جرمانہ عائد کر دو اور سرکاری خزانے میں جمع کرادو، کیونکہ اس نے تین جھوٹ بولے ہیں، سرکاری کاغذات میں اس کی عمر 35 سال ہے، اس کے پاس 70 ہزار دینار سے زیادہ رقم ہے، اور اس کے پانچ لڑکے ہیں۔”
تاجر نے کہا: زندگی کے 20 سال ہی نیکی اور ایمان داری سے گزرے ہیں، اسی کو میں اپنی عمر سمجھتا ہوں اور زندگی میں 70 ہزار دینار میں نے ایک مسجد کی تعمیر میں خرچ کیے ہیں، اس کو اپنی دولت سمجھتا ہوں اور چار بچے نالائق اور بد اخلاق ہیں، ایک بچہ اچھا ہے، اسی کو میں اپنا بچہ سمجھتا ہوں۔”
یہ سُن کر بادشاہ نے جرمانے کا حکم واپس لے لیا اور تاجر سے کہا:
“ہم تمھارے جواب سے خوش ہوئے ہیں، وقت وہی شمار کرنے کے لائق ہے، جو نیک کاموں میں گزر جائے، دولت وہی قابلِ اعتبار ہے جو راہِ خدا میں خرچ ہو اور اولاد وہی ہے جس کی عادتیں نیک ہوں۔”