♦ BUDHIYA KE PACHAAS RUPAY (EK CHHOTI KAHANI)

Sadak ke kinare khambe par chipke kaghaz par likha hua tha,
"Mere Pachaas rupay ghum hogaye hain, Jisko mile woh mere ghar
waqay falan gali punhchade, Mai ek bahut ghareeb budhi aurat hoon, Mera koi kamane wala nahi, Roti khareedne keliye bhi mohtaaz rahti hoon."
Ek Admi ne ye tahreer padhi to woh kaghaz par likhe hue pate par punhchane chala gaya.
Jeb se pachas rupay nikal kar budhiya ko diye to woh paise lete hue ro padi.
Kahne lagi: " Beta aaj tum barhwein admi ho jise mere pachaas rupay mile hain aur woh mujhe punhchane chala aya hai."
Admi paise dekar muskurate hue jane laga to budhiya ne usey pichhe se awaaz dete hue kaha:
" Bete, jate hue woh kaghaz jahan laga hua hai usey phadte jana, kyun ke na to mai padhi likhi hoon aur na hi Maine woh kaghaz udhar chipkaya hai "
Aur Asmaan me tumhara rizq bhi hai aur woh sab kuchh bhi jiska tum se wadah kiya jata hai.





ﺳﮍﮎ ﮐﮯ ﮐﻨﺎﺭﮮ ﮐﮭﻤﺒﮯ ﭘﺮ ﭼﭙﮑﮯ ﮐﺎﻏﺬ ﭘﺮ ﻟﮑﮭﺎ ﮨﻮﺍ ﺗﮭﺎ
ﻣﯿﺮﮮ ﭘﭽﺎﺱ ﺭﻭﭘﮯ ﮔﻢ ﮨﻮ ﮔﺌﮯ ﮨﯿﮟ، ﺟﺲ ﮐﻮ ﻣﻠﯿﮟ ﻭﮦ ﻣﯿﺮﮮ ﮔﮭﺮ ﻭﺍﻗﻊ ﻓﻼﮞ ﮔﻠﯽ ﭘﮩﻨﭽﺎ ﺩﮮ، ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺑﮩﺖ ﮨﯽ ﻏﺮﯾﺐ ﺍﻭﺭ ﺑﻮﮌﮬﯽ ﻋﻮﺭﺕ ﮨﻮﮞ، ﻣﯿﺮﺍ ﮐﻮﺋﯽ ﮐﻤﺎﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﻧﮩﯿﮟ، ﺭﻭﭨﯽ ﺧﺮﯾﺪﻧﮯ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺑﮭﯽ ﻣﺤﺘﺎﺝ ﺭﮨﺘﯽ ﮨﻮﮞ۔
ﺍﯾﮏ ﺁﺩﻣﯽ ﻧﮯ ﯾﮧ ﺗﺤﺮﯾﺮ ﭘﮍﮬﯽ ﺗﻮ ﻭﮦ ﮐﺎﻏﺬ ﭘﺮ ﻟﮑﮭﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﭘﺘﮯ ﭘﺮ ﭘﮩﻨﭽﺎﻧﮯ ﭼﻼ ﮔﯿﺎ۔
ﺟﯿﺐ ﺳﮯ ﭘﭽﺎﺱ ﺭﻭﭘﮯ ﻧﮑﺎﻝ ﮐﺮ ﺑُﮍﮬﯿﺎ ﮐﻮ ﺩﯾﺌﮯ ﺗﻮ ﻭﮦ ﭘﯿﺴﮯ ﻟﯿﺘﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺭﻭ ﭘﮍﯼ۔
ﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﯽ : ﺑﯿﭩﮯ ﺁﺝ ﺗﻢ ﺑﺎﺭﮨﻮﯾﮟ ﺁﺩﻣﯽ ﮨﻮ ﺟﺴﮯ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﭽﺎﺱ ﺭﻭﭘﮯ ﻣﻠﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﻣﺠﮭﮯ ﭘﮩﻨﭽﺎﻧﮯ ﭼﻼﺁﯾﺎ ﮨﮯ۔
ﺁﺩﻣﯽ ﭘﯿﺴﮯ ﺩﯾﮑﺮ ﻣﺴﮑﺮﺍﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺟﺎﻧﮯ ﻟﮕﺎ ﺗﻮ ﺑُﮍﮬﯿﺎ ﻧﮯ ﺍُﺳﮯ ﭘﯿﭽﮭﮯ ﺳﮯ ﺁﻭﺍﺯ ﺩﯾﺘﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﮐﮩﺎ :
ﺑﯿﭩﮯ، ﺟﺎﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﻭﮦ ﮐﺎﻏﺬ ﺟﮩﺎﮞ ﻟﮕﺎ ﮨﻮﺍ ﮨﮯ ﺍُﺳﮯ ﭘﮭﺎﮌﺗﮯ ﺟﺎﻧﺎ
ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﻧﺎﮞ ﺗﻮ ﻣﯿﮟ ﭘﮍﮬﯽ ﻟﮑﮭﯽ ﮨﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﻧﺎﮞ ﮨﯽ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﻭﮦ ﮐﺎﻏﺬ ﺍُﺩﮬﺮ ﭼﭙﮑﺎﯾﺎ ﮨﮯ۔
ﻭَﻓِﻲ ﺍﻟﺴَّﻤَﺎﺀِ ﺭِﺯْﻗُﻜُﻢْ ﻭَﻣَﺎ ﺗُﻮﻋَﺪُﻭﻥَ
ﺍﻭﺭ ﺁﺳﻤﺎﻥ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﺍ ﺭِﺯﻕ ‏) ﺑﮭﯽ ‏( ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ‏) ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺑﮭﯽ ‏( ﺟﺲ ﮐﺎ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻭﻋﺪﮦ ﮐﯿﺎ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ .


RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...