♦ AISA KYA THA USS LADKI KE BAG ME ? (Ek rula dene wala waqeya)

College ki Talibah ke purse se kya nikla ?
Ek dardanak waqiya, Jo apko rula dega.
Ek girls college mein sarkari tafteeshi team aayi aur college ke saare classes me ghoom
ghoom kar larkiyon ke bag ki talashi karne lagi,
Ek ek larki ke bag ki tafteesh ki gayi, kisi bhi purse mein kitaaben, copiyan aur lazmi ourak ke ilawa koi mamnoo shai payi nahi gayi,
Albata ek aakhri class baqi reh gayi thi, aur yahi hua tha ek haadsa,
Haadsa kya tha ?
Aur kya paish aaya ?
Tafteeshi committee hall me daakhil hui aur saari larkiyon se guzarish ki ke tafteesh ke
liye apna apna purse khol kar samne rakhein,
Hall ke ek kinare ek Taliba baithi thi,
Uski pareshani badh gayi thi....
woh tafteeshi committee par duzdeeda nigah daal rahi thi aur sharam se pani pani horahee thi...
Usne apne purse par haath rakha huwa tha! !
Tafteesh shuru hochuki hai....
Uski baari ane hi wali hai...
Ladki ki pareshani badhti jarahi hai….
chand minton me ladki ke purse ke paas tafteeshi committee pahonch chuki hai....
Ladki ne purse ko zorse pakad liya goya woh khamosh zubaan se kehna chahti ho ke aap log use harghiz nahi khol satke...
Usse kaha ja raha hai,,,,
"Purse kholo!.."
Tafteeshi ki taraf dekh rahi hai aur zubaan band hai,....
Purse ko seene se chipka liya hai.....
Tafteeshi ne phir kaha :
"Purse hamare hawale karo",
Larki zorr se chilla kar bolti hai ;
" Nahi mai nahi de sakti."
poori tafteeshi committee uss Ladki ke paas jama hogayi,
Sakht behas wa mubahisa shuru hogaya.
Hall ki saari talbat pareshan hain,
Aakhir raaz kya hai????
Haqeeqat kya hai ????
bil akhir ladki se uss ka purse chhean liya gaya,
saari ladkiyan khamosh ….... 
Lecture band ….. 
.......
Hartaraf sannata chhaa chuka hai.....
......
Pata nahi kya hoga ….
Purse mein kya chiz hai ????
....
Tafteeshi committee Taliba ka purse liye college ke office me gayi,
Taliba office me aayi,
Idhar uski aankhon se aansoon ki barish horahi thi,
Sab ki taraf gussa se dekh rahi thi ke bhare majmaa ke samne
use ruswa kiya gaya tha, use bithaya gaya,
college ki director ne apne samne purse khulwaya, Taliba ne purse khoola...  
Ya ALLAH !!
kya tha purse me…. ?
Aap kya ghumaan kar sakte hain ….?
??
Purse mein koi mamnoo shai nahi thi, na hi fehash taswerain theen,
Wallah aisi koi chiz na thi ….
Usme me roti ke chand tukde tha, aur istemaal shuda sandwich ke baqi hisse the bas yahi the aur kuchh nahi.
Jab is silsilay me Usse baat ki gayi to uss ne kaha;
Saari talbat jab nashta karleti hain to toote phoote roti ke tukre jama karleti hoon,
Jisse me se kuchh khati hoon aur kuchh apne Ahale khanah ke liye le kar jati hoon.
;( ;(
Jee haan! apni maa aur behnoo ke liye …. taake unhein dopehar aur raat ka khana muyassar ho sake hum tang dast hain,
Humari koi kifalat karne wala nahi,
Humari koi khabar bhi nahi leita...
Aur purse kholne se inkaar karne ki wajah sirf yahi thi ke,
Meri class ki saheliyan meri haalat ko jaan jayein aur mujhe sharmindagi uthani
pade..
Magar aplogon ne mere saath ye kar ke chhoda, Mai aaj ke baad se college nahi aungi..
Meri taraf se beadbi hui hai to uske liye mai aap sab se maffi ki khawastgah hoon.
Yeh Dildose manzar kya tha ke sab ki ankhein dabdaba gayeen ,
Sab logon ne use rokne ki bahut koshish ki, magar uske baad se wo college nahi ayi
Pyare dosto azeez sathio,
Yeh manzar unn mukhtalif alamnaak manazir me se ek hai, jo mumkin hai humare pados me ho aur hum use na jante hoon, ya basa auqaat aise logon se nazrein oojhal kiye hue hoon.
Allah pak har shakhs ko aisi majboori se bachaaye, (Aameen Summa Aameen) aur aise bure dino se jo guzar rahe unke gharon khushali de. .. ..
Aamenn Summa ameeen.
Subscribe: www.PakizahKahaniya.blogspot.in
Jazakallah


ﮐﺎﻟﺞ ﮐﯽ ﻃﺎﻟﺒﮧ ﮐﮯ ﭘﺮﺱ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ ﻧﮑﻼ؟ 
ﺍﯾﮏ ﺩﺭﺩﻧﺎﮎ ﻭﺍﻗﻌﮧ ﺟﻮ ﺁﭖ ﮐﻮ ﺭﻻ ﺩﮮ ﮔﺎ۔
ﺍﯾﮏ ﮔﺮﻟﺰ ﮐﺎﻟﺞ ﻣﯿﮟ ﺳﺮﮐﺎﺭﯼ ﺗﻔﺘﯿﺶ ﺁﺋﯽ ﺍﻭﺭ ﮐﺎﻟﺞ ﮐﮯ ﺳﺎﺭﮮ ﮐﻼﺳﯿﺰ ﻣﯿﮟ ﮔﮭﻮﻡ ﮔﮭﻮﻡ ﮐﺮ ﻟﮍﮐﯿﻮﮞﮑﮯ ﺑﯿﮓ ﮐﯽ ﺗﻼﺷﯽ ﮐﺮﻧﮯ ﻟﮕﯽ ،
ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﻟﮍﮐﯽ ﮐﮯ ﺑﯿﮓ ﮐﯽ ﺗﻔﺘﯿﺶ ﮐﯽ ﮔﺌﯽ ،ﮐﺴﯽ ﺑﮭﯽ ﭘﺮﺱ ﻣﯿﮟ ﮐﺘﺎﺑﯿﮟ ،ﮐﺎﭘﯿﺎﮞ ﺍﻭﺭﻻﺯﻣﯽ ﺍﻭﺭﺍﻕ ﮐﮯ ﻋﻼﻭﮦ ﮐﻮﺋﯽ ﻣﻤﻨﻮﻉ ﺷﮯ ﭘﺎﺋﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮔﺌﯽ ،
 ﺍﻟﺒﺘﮧ ﺍﯾﮏ ﺁﺧﺮﯼ ﮐﻼﺱ ﺑﺎﻗﯽ ﺭﮦ ﮔﯿﺎﺗﮭﺎ،
 ﺍﻭﺭﯾﮩﯽ ﺟﺎﺋﮯ ﺣﺎﺩﺛﮧ ﺗﮭﺎ ،ﺣﺎﺩﺛﮧ ﮐﯿﺎﺗﮭﺎ، ؟؟
ﺍﻭﺭﮐﯿﺎ ﭘﯿﺶ ﺁﯾﺎ؟
 ﺗﻔﺘﯿﺸﯽ ﮐﻤﯿﭩﯽ ﮨﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺩﺍﺧﻞ ﮨﻮﺋﯽ ﺍﻭﺭ ﺳﺎﺭﯼ ﻟﮍﮐﯿﻮﮞ ﺳﮯ ﮔﺬﺍﺭﺵ ﮐﯽ ﮐﮧ ﺗﻔﺘﯿﺶ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺍﭘﻨﺎ ﺍﭘﻨﺎ ﭘﺮﺱ ﮐﮭﻮﻝ ﮐﺮ ﺳﺎﻣﻨﮯ ﺭﮐﮭﯿﮟ۔
ﮨﺎﻝ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﮐﻨﺎﺭﮮ ﺍﯾﮏ ﻃﺎﻟﺒﮧ ﺑﯿﭩﮭﯽ ﺗﮭﯽ ،
ﺍﺱ ﮐﯽ ﭘﺮﯾﺸﺎﻧﯽ ﺑﮍﮪ ﮔﺌﯽ ﺗﮭﯽ ،ﻭﮦ ﺗﻔﺘﯿﺸﯽ ﮐﻤﯿﭩﯽ ﭘﺮﺩﺯﺩﯾﺪﮦ ﻧﮕﺎﮦ ﮈﺍﻝ ﺭﮨﯽ ﺗﮭﯽ ﺍﻭﺭ ﺷﺮﻡ ﺳﮯ ﭘﺎﻧﯽ ﭘﺎﻧﯽ ﮨﻮﺭﮨﯽ ﺗﮭﯽ ۔
ﺍﺱ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﭘﺮﺱ ﭘﺮﮨﺎﺗﮫ ﺭﮐﮭﺎﮨﻮﺍ ﺗﮭﺎ !!
 ﺗﻔﺘﯿﺶ ﺷﺮﻭﻉ ﮨﻮﭼﮑﯽ ﮨﮯ ،ﺍﺱ ﮐﯽ ﺑﺎﺭﯼ ﺁﻧﮯ ﮨﯽ ﻭﺍﻟﯽ ﮨﮯ ،ﻟﮍﮐﯽ ﮐﯽ ﭘﺮﯾﺸﺎﻧﯽ ﺑﮍﮬﺘﯽ ﺟﺎﺭﮨﯽ ﮨﮯ .… 
ﭼﻨﺪﻣﻨﭩﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻟﮍﮐﯽ ﮐﮯ ﭘﺮﺱ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺗﻔﺘﯿﺸﯽ ﮐﻤﯿﭩﯽ ﭘﮩﻨﭻ ﭼﮑﯽ ﮨﮯ ،
ﻟﮍﮐﯽ ﻧﮯ ﭘﺮﺱ ﮐﻮ ﺯﻭﺭﺳﮯ ﭘﮑﮍ ﻟﯿﺎﮔﻮﯾﺎ ﻭﮦ ﺧﺎﻣﻮﺵ ﺯﺑﺎﻥ ﺳﮯ ﮐﮩﻨﺎ ﭼﺎﮨﺘﯽ ﮨﻮﮐﮧ ﺁﭖ ﻟﻮﮒ ﺍﺳﮯ ﮨﺮﮔﺰﻧﮩﯿﮟ ﮐﮭﻮﻝ ﺳﮑﺘﮯ ،
 ﺍﺳﮯ ﮐﮩﺎﺟﺎﺭﮨﺎ ﮨﮯ ،
ﭘﺮﺱ ﮐﮭﻮﻟﻮ ! 
ﺗﻔﺘﯿﺶ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﺩﯾﮑﮫ ﺭﮨﯽ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺯﺑﺎﻥ ﺑﻨﺪ ﮨﮯ ،ﭘﺮﺱ ﮐﻮ ﺳﯿﻨﮯ ﺳﮯ ﭼﭙﮑﺎ ﻟﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﮨﮯ ، 
ﺗﻔﺘﯿﺶ ﻧﮯ ﭘﮭﺮﮐﮩﺎ : ﭘﺮﺱ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺣﻮﺍﻟﮯ ﮐﺮﻭ،
ﻟﮍﮐﯽ ﺯﻭﺭ ﺳﮯ ﭼﻼﮐﺮ ﺑﻮﻟﺘﯽ ﮨﮯ : 
ﻧﮩﯿﮟ ﻣﯿﮟ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﮮ ﺳﮑﺘﯽ ۔ 
ﭘﻮﺭﯼ ﺗﻔﺘﯿﺸﯽ ﮐﻤﯿﭩﯽ ﺍﺱ ﻟﮍﮐﯽ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺟﻤﻊ ﮨﻮﮔﺌﯽ ،
ﺳﺨﺖ ﺑﺤﺚ ﻭﻣﺒﺎﺣﺜﮧ ﺷﺮﻭﻉ ﮨﻮﮔﯿﺎ ۔ 
ﮨﺎﻝ ﮐﯽ ﺳﺎﺭﯼ ﻃﺎﻟﺒﺎﺕ ﭘﺮﯾﺸﺎﻥ ﮨﯿﮟ ،
ﺁﺧﺮ ﺭﺍﺯﮐﯿﺎ ﮨﮯ ؟
ﺣﻘﯿﻘﺖ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ؟ 
ﺑﺎﻵﺧﺮ ﻟﮍﮐﯽ ﺳﮯ ﺍﺱ ﮐﺎ ﭘﺮﺱ ﭼﮭﯿﻦ ﻟﯿﺎ ﮔﯿﺎ،
ﺳﺎﺭﯼ ﻟﮍﮐﯿﺎﮞ ﺧﺎﻣﻮﺵ .… 
ﻟﮑﭽﺮ ﺑﻨﺪ .… 
ﮨﺮ ﻃﺮﻑ ﺳﻨﺎﭨﺎ ﭼﮭﺎ ﭼﮑﺎ ﮨﮯ۔
ﭘﺘﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﯿﺎ ﮨﻮﮔﺎ .…
 ﭘﺮﺱ ﻣﯿﮟ ﮐﯿﺎﭼﯿﺰ ﮨﮯ ؟
ﺗﻔﺘﯿﺸﯽ ﮐﻤﯿﭩﯽ ﻃﺎﻟﺒﮧ ﮐﺎ ﭘﺮﺱ ﻟﯿﮯ ﮐﺎﻟﺞ ﮐﮯ ﺁﻓﺲ ﻣﯿﮟ ﮔﺌﯽ ،
ﻃﺎﻟﺒﮧ ﺁﻓﺲ ﻣﯿﮞﺂﺋﯽ ،ﺍﺩﮬﺮﺍﺱ ﮐﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﺁﻧﺴﻮﻭ ﮞ ﮐﯽ ﺑﺎﺭﺵ ﮨﻮﺭﮨﯽ ﺗﮭﯽ ،
ﺳﺐ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﻏﺼﮧ ﺳﮯ ﺩﯾﮑﮫ ﺭﮨﯽ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﺑﮭﺮﮮ ﻣﺠﻤﻊ ﮐﮯ ﺳﺎﻣﻨﮯ ﺍﺳﮯ ﺭﺳﻮﺍ ﮐﯿﺎ ﮔﯿﺎ ﺗﮭﺎ ، 
ﺍﺳﮯ ﺑﭩﮭﺎﯾﺎ ﮔﯿﺎ، ﮐﺎﻟﺞ ﮐﯽ ﮈﺍﺋﺮﮐﭩﺮ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺳﺎﻣﻨﮯ ﭘﺮﺱ ﮐﮭﻠﻮﺍﯾﺎ، 
ﻃﺎﻟﺒﮧ ﻧﮯ ﭘﺮﺱ ﮐﮭﻮﻻ ،
ﯾﺎﺍﻟﻠﮧ ! ﮐﯿﺎﺗﮭﺎ ﭘﺮﺱ ﻣﯿﮟ .… ؟
 ﺁﭖ ﮐﯿﺎ ﮔﻤﺎﻥ ﮐﺮﺳﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ .… ؟
ﭘﺮﺱ ﻣﯿﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﻣﻤﻨﻮﻉ ﺷﮯ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ ،
ﻧﮧ ﻓﺤﺶ ﺗﺼﻮﯾﺮﯾﮞﺘﮭﯿﮟ ، 
ﻭﺍﻟﻠﮧ ﺍﯾﺴﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﭼﯿﺰ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ .…
 ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﺭﻭﭨﯽ ﮐﮯ ﭼﻨﺪ ﭨﮑﮍ ﮮ ﺗﮭﮯ ، 
ﺍﻭﺭ ﺍﺳﺘﻌﻤﺎﻝ ﺷﺪﮦ ﺳﻨﮉﻭﯾﭻ ﮐﮯ ﺑﺎﻗﯽ ﺣﺼﮯ ﺗﮭﮯ ،
 ﺑﺲ ﯾﮩﯽ ﺗﮭﮯ ﺍﻭﺭﮐﭽﮫ ﻧﮩﯿﮟ ۔ 
ﺟﺐ ﺍﺱ ﺳﻠﺴﻠﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﺳﮯ ﺑﺎﺕ ﮐﯽ ﮔﺌﯽ ﺗﻮ ﺍﺱ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ : 
ﺳﺎﺭﯼ ﻃﺎﻟﺒﺎﺕ ﺟﺐ ﻧﺎﺷﺘﮧ ﮐﺮﻟﯿﺘﯽ ﮨﯿﮟ ﺗﻮ ﭨﻮﭨﮯ ﭘﮭﻮﭨﮯ ﺭﻭﭨﯽ ﮐﮯ ﭨﮑﮍﮮ ﺟﻤﻊ ﮐﺮﻟﯿﺘﯽ ﮨﻮﮞ ﺟﺲ ﻣﯿﮟ ﺳﮯ ﮐﭽﮫ ﮐﮭﺎﺗﯽ ﮨﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﮐﭽﮫ ﺍﭘﻨﮯ ﺍﮨﻞ ﺧﺎﻧﮧ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﻟﮯ ﮐﺮ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﻮﮞ۔ 
ﺟﯽ ﮨﺎﮞ ! ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺎﮞ ﺍﻭﺭ ﺑﮩﻨﻮﮞ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ .… 
ﺗﺎﮐﮧ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﺩﻭﭘﮩﺮ ﺍﻭﺭ ﺭﺍﺕ ﮐﺎ ﮐﮭﺎﻧﺎ ﻣﯿﺴﺮ ﮨﻮ ﺳﮑﮯ ۔ 
ﮨﻢ ﺗﻨﮓ ﺩﺳﺖ ﮨﯿﮟ ،
ﮨﻤﺎﺭﯼ ﮐﻮﺋﯽ ﮐﻔﺎﻟﺖ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﻧﮩﯿﮟ، 
ﮨﻤﺎﺭﯼ ﮐﻮﺋﯽ ﺧﺒﺮ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻟﯿﺘﺎ ۔ 
ﺍﻭﺭ ﭘﺮﺱ ﮐﮭﻮﻟﻨﮯ ﺳﮯ ﺍﻧﮑﺎﺭ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﺻﺮﻑ ﯾﮩﯽ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﻣﺒﺎﺩﺍ ﻣﯿﺮﯼ ﮐﻼﺱ ﮐﯽ ﺳﮩﯿﻠﯿﺎﮞ ﻣﯿﺮﯼ ﺣﺎﻟﺖ ﮐﻮ ﺟﺎﻥ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﻣﺠﮭﮯ ﺷﺮﻣﻨﺪﮔﯽ ﺍﭨﮭﺎﻧﯽ ﭘﮍﮮ 
ﻣﮕﺮ ﺁﭖ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﻧﮯ ﻣﯿﺮﮮ ﺳﺎﺗﮫ ﯾﮧ ﮐﺮ ﮐﮯ ﮨﯽ ﭼﮭﻮﮌﺍ۔ ﻣﯿﮟ ﺁﺝ ﺳﮯ ﺑﻌﺪ ﺍﺏ ﮐﺎﻟﺞ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺳﮑﻮﮞ ﮔﯽ ۔
 ﻣﯿﺮﯼ ﻃﺮﻑ ﺳﮯ ﺑﮯ ﺍﺩﺑﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﮨﮯ ﺗﻮﺍﺱ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﻣﯿﮟ ﺁﭖ ﺳﺐ ﺳﮯ ﻣﻌﺎﻓﯽ ﮐﯽ ﺧﻮﺍﺳﺘﮕﺎﺭ ﮨﻮﮞ۔
ﯾﮧ ﺩﻟﺪﻭﺯ ﻣﻨﻈﺮ ﮐﯿﺎﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺳﺐ ﮐﯽ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﮈﺑﮉﺑﺎ ﮔﺌﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺳﺐ ﻧﮯ ﺍﺱ ﻃﺎﻟﺒﮧ ﮐﻮ ﺭﻭﮐﻨﮯ ﮐﯽ ﺑﮩﺖ ﮐﻮﺷﺶ ﮐﯽ ﻣﮕﺮ ﺍﺱ ﺩﻥ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺳﮯ ﻭﮦ ﻃﺎﻟﺒﮧ ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺎﻟﺞ ﻣﯿﮟ ﻧﻈﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺋﯽ۔




RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...