♦ EK ANOKHA BEEJ

Ek tajir apni mehnat se kamyaab huwa aur ek bohat bade idare ka maalik ban gaya, Jab woh budha ho gaya to uss ne idare ke directron  me se kisi ko apna kaam sonpne ki dilchasp tarkeeb nikaali.
Uss ne idare ke tamam directron ka ijlaas talab kiya aur kaha
" Meri sehet mujhe zyada der taq apni zimma dariyan nibhane ki ijazat nahi deti isliye me aap me se ek ko apni zimma dariyan sonpna chahta hoon. Mai aap sab ko ek ek beej dunga. Usey Bone ke ek saal baad aap uski surat_e_ haal se mutala kareinge jis ki bunyaad par mai apni zimma dariyan sonpne ka faisla karoonga ”
  Kuch arsa baad sab director apne beej se ugne wale poudon ki tareefen karne lage siwaye Zaid ke jo pareshan tha. Woh khamosh rehta aur apni khِft ko mitane ke liye mazeed mehnat se daftar ka kaam karta raha darasal Zaid ne naya gamla khareed kar us me nai matti daal kar behtareen khad daali thi aur rozana pani bhi deta raha tha magar uske beej me se pouda nahi nikla.
  Ek saal baad idare ke sarbarah ne phir sab directors ka ijlaas bulaya aur kaha ke sab woh gamle lekar ayein jin me unhon ne beej boya tha.
  Sab khobsorat poudon wale gamlon ke sath ijlaas me puhanche magar Zaid jis ka beej uga nahi tha woh khaali haath hi ijlaas me shaamil huwa aur idare ke sarbarah se door wali kursi par baith gaya. ijlaas shuru huwa to sab ne apne beej aur poude ke sath ki gayi mehnat ka haal sunaya is umeed se ke usey hi sarbarah banaya jaye.
  Sab ki tqarir sunne ke baad sarbarah ne kaha
"Ek aadmi kam lag raha hai ”.
Iss par Zaid jo ek aur director ke peeche chhُpa betha tha khada ho kar sar jukaye bola
“Janab mujh se jo kuch ho saka mai ne kiya magar mere wala beej nahi ugaa,
Iss par kuch saathi hanse aur kuch ne Zaid ke sath hamdardi ka izhaar kiya.
  Chaye ke baad idare ke sarbarah ne elaan kiya ke iske baad Zaid idare ka sarbarah hoga. Iss par kayi hazreen majlis ki herani se cheekh nikal gayi. Idaray ke sarbarah ne kaha
“Isss idare ko mai ne bohat mehnat aur dayanatdari se iss maqam par pohanchaya hai aur mere baad bhi aisa hi aadmi hona chahiye aur woh Zaid hai jo mehnati hone ke sath dianatdar bhi hai.
   Mai ne aap sab ko ubley hue beej diye they jo ugg nahi satke. siwaye Zaid ke aap sab ne beej tabdeel kar diye ”
   Aey bande , Mat bhool ke jab koi nahi dekh raha hota to tab bhi paida karne wala dekh raha hota isliye Dayanat ka daman nah chode.
Subscribe: Pakizah Kahaniya
www.PakizahKahaniya.blogspot.com
Jazakallah.





ﺍﯾﮏ ﺗﺎﺟﺮ ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺤﻨﺖ ﺳﮯ ﮐﺎﻣﯿﺎﺏ ﮨﻮﺍ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﮏ ﺑﮩﺖ ﺑﮍﮮ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﺎ ﻣﺎﻟﮏ ﺑﻦ ﮔﯿﺎ ۔ ﺟﺐ ﻭﮦ ﺑﻮﮌﮬﺎ ﮨﻮ ﮔﯿﺎ ﺗﻮ ﺍُﺱ ﻧﮯ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﮯ ﮈﺍﺋﺮﯾﮑﭩﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﮯ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﺍﭘﻨﺎ ﮐﺎﻡ ﺳﻮﻧﭙﻨﮯ ﮐﯽ ﺩﻟﭽﺴﭗ ﺗﺮﮐﯿﺐ ﻧﮑﺎﻟﯽ ۔ ﺍُﺱ ﻧﮯ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﮯ ﺗﻤﺎﻡ ﮈﺍﺋﺮﯾﮑﭩﺮﻭﮞ ﮐﺎ ﺍﺟﻼﺱ ﻃﻠﺐ ﮐﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﺎ “ ﻣﯿﺮﯼ ﺻﺤﺖ ﻣﺠﮭﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﺩﯾﺮ ﺗﮏ ﺍﭘﻨﯽ ﺫﻣﮧ ﺩﺍﺭﯾﺎﮞ ﻧﺒﮭﺎﻧﮯ ﮐﯽ ﺍﺟﺎﺯﺕ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﯾﺘﯽ ﺍﺳﻠﺌﮯ ﻣﯿﮟ ﺁﭖ ﻣﯿﮟ ﺳﮯ ﺍﯾﮏ ﮐﻮ ﺍﭘﻨﯽ ﺫﻣﮧ ﺩﺍﺭﯾﺎﮞ ﺳﻮﻧﭙﻨﺎ ﭼﺎﮨﺘﺎ ﮨﻮﮞ ۔ ﻣﯿﮟ ﺁﭖ ﺳﺐ ﮐﻮ ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﺑِﯿﺞ ﺩﻭﮞ ﮔﺎ ۔ ﺍﺳﮯ ﺑَﻮﻧﮯ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺳﺎﻝ ﺑﻌﺪ ﺁﭖ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺻﻮﺭﺕِ ﺣﺎﻝ ﺳﮯ ﻣﻄﻠﻊ ﮐﺮﯾﮟ ﮔﮯ ﺟﺲ ﮐﯽ ﺑﻨﯿﺎﺩ ﭘﺮ ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﯽ ﺫﻣﮧ ﺩﺍﺭﯾﺎﮞ ﺳﻮﻧﭙﻨﮯ ﮐﺎ ﻓﯿﺼﻠﮧ ﮐﺮﻭﮞ ﮔﺎ ”
ﮐﭽﮫ ﻋﺮﺻﮧ ﺑﻌﺪ ﺳﺐ ﮈﺍﺋﺮﯾﮑﭩﺮ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﯿﺞ ﺳﮯ ﺍُﮔﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﭘﻮﺩﻭﮞ ﮐﯽ ﺗﻌﺮﯾﻔﯿﮟ ﮐﺮﻧﮯ ﻟﮕﮯ ﺳﻮﺍﺋﮯ ﺯﯾﺪ ﮐﮯ ﺟﻮ ﭘﺮﯾﺸﺎﻥ ﺗﮭﺎ ۔ ﻭﮦ ﺧﺎﻣﻮﺵ ﺭﮨﺘﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﯽ ﺧِﻔﺖ ﮐﻮ ﻣﭩﺎﻧﮯ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﻣﺰﯾﺪ ﻣﺤﻨﺖ ﺳﮯ ﺩﻓﺘﺮ ﮐﺎ ﮐﺎﻡ ﮐﺮﺗﺎ ﺭﮨﺎ ۔ ﺩﺭﺍﺻﻞ ﺯﯾﺪ ﻧﮯ ﻧﯿﺎ ﮔﻤﻼ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﻧﺌﯽ ﻣﭩﯽ ﮈﺍﻝ ﮐﺮ ﺑﮩﺘﺮﯾﻦ ﮐﮭﺎﺩ ﮈﺍﻟﯽ ﺗﮭﯽ ﺍﻭﺭ ﺭﻭﺯﺍﻧﮧ ﭘﺎﻧﯽ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﺘﺎ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﻣﮕﺮ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﯿﺞ ﻣﯿﮟ ﺳﮯ ﭘﻮﺩﺍ ﻧﮧ ﻧﮑﻼ
ﺍﯾﮏ ﺳﺎﻝ ﺑﻌﺪ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﮯ ﺳﺮﺑﺮﺍﮦ ﻧﮯ ﭘﮭﺮ ﺳﺐ ﮈﺍﺋﺮﯾﮑﭩﺮﺯ ﮐﺎ ﺍﺟﻼﺱ ﺑﻼﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﺎ ﮐﮧ ﺳﺐ ﻭﮦ ﮔﻤﻠﮯ ﻟﮯ ﮐﺮ ﺁﺋﯿﮟ ﺟﻦ ﻣﯿﮟ ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﺑﯿﺞ ﺑﻮﯾﺎ ﺗﮭﺎ ۔ ﺳﺐ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﭘﻮﺩﻭﮞ ﻭﺍﻟﮯ ﮔﻤﻠﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺍﺟﻼﺱ ﻣﯿﮟ ﭘﮩﻨﭽﮯ ﻣﮕﺮ ﺯﯾﺪ ﺟﺲ ﮐﺎ ﺑﯿﺞ ﺍُﮔﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ ﻭﮦ ﺧﺎﻟﯽ ﮨﺎﺗﮫ ﮨﯽ ﺍﺟﻼﺱ ﻣﯿﮟ ﺷﺎﻣﻞ ﮨﻮﺍ ﺍﻭﺭ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﮯ ﺳﺮﺑﺮﺍﮦ ﺳﮯ ﺩُﻭﺭ ﻭﺍﻟﯽ ﮐﺮﺳﯽ ﭘﺮ ﺑﯿﭩﮫ ﮔﯿﺎ ۔ ﺍﺟﻼﺱ ﺷﺮﻭﻉ ﮨﻮﺍ ﺗﻮ ﺳﺐ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﯿﺞ ﺍﻭﺭ ﭘﻮﺩﮮ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﮐﯽ ﮔﺌﯽ ﻣﺤﻨﺖ ﮐﺎ ﺣﺎﻝ ﺳﻨﺎﯾﺎ ﺍﺱ ﺍُﻣﯿﺪ ﺳﮯ ﮐﮧ ﺍﺳﮯ ﮨﯽ ﺳﺮﺑﺮﺍﮦ ﺑﻨﺎﯾﺎ ﺟﺎﺋﮯ
ﺳﺐ ﮐﯽ ﺗﻘﺎﺭﯾﺮ ﺳﻨﻨﮯ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺳﺮﺑﺮﺍﮦ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ “ ﺍﯾﮏ ﺁﺩﻣﯽ ﮐﻢ ﻟﮓ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ ” ۔ ﺍﺱ ﭘﺮ ﺯﯾﺪ ﺟﻮ ﺍﯾﮏ ﺍﻭﺭ ﮈﺍﺋﺮﯾﮑﭩﺮ ﮐﮯ ﭘﯿﭽﮭﮯ ﭼﮭُﭙﺎ ﺑﯿﭩﮭﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮭﮍﺍ ﮨﻮ ﮐﺮ ﺳﺮ ﺟﮭﮑﺎﺋﮯ ﺑﻮﻻ “ ﺟﻨﺎﺏ ۔ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﺟﻮ ﮐﭽﮫ ﮨﻮ ﺳﮑﺎ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﮐﯿﺎ ﻣﮕﺮ ﻣﯿﺮﮮ ﻭﺍﻻ ﺑﯿﺞ ﻧﮩﯿﮟ ﺍُﮔﺎ ” ۔ ﺍﺱ ﭘﺮ ﮐﭽﮫ ﺳﺎﺗﮭﯽ ﮨﻨﺴﮯ ﺍﻭﺭ ﮐﭽﮫ ﻧﮯ ﺯﯾﺪ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﮨﻤﺪﺭﺩﯼ ﮐﺎ ﺍﻇﮩﺎﺭ ﮐﯿﺎ
ﭼﺎﺋﮯ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﮯ ﺳﺮﺑﺮﺍﮦ ﻧﮯ ﺍﻋﻼﻥ ﮐﯿﺎ ﮐﮧ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺯﯾﺪ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﺎ ﺳﺮﺑﺮﺍﮦ ﮨﻮ ﮔﺎ ۔ ﺍﺱ ﭘﺮ ﮐﺌﯽ ﺣﺎﺿﺮﯾﻦ ﻣﺠﻠﺲ ﮐﯽ ﺣﯿﺮﺍﻧﯽ ﺳﮯ ﭼﯿﺦ ﻧﮑﻞ ﮔﺌﯽ ۔ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﮯ ﺳﺮﺑﺮﺍﮦ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ “ ﺍﺱ ﺍﺩﺍﺭﮮ ﮐﻮ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺑﮩﺖ ﻣﺤﻨﺖ ﺍﻭﺭ ﺩﯾﺎﻧﺘﺪﺍﺭﯼ ﺳﮯ ﺍﺱ ﻣﻘﺎﻡ ﭘﺮ ﭘﮩﻨﭽﺎﯾﺎ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﺑﻌﺪ ﺑﮭﯽ ﺍﯾﺴﺎ ﮨﯽ ﺁﺩﻣﯽ ﮨﻮﻧﺎ ﭼﺎﮨﯿﺌﮯ ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﺯﯾﺪ ﮨﮯ ﺟﻮ ﻣﺤﻨﺘﯽ ﮨﻮﻧﮯ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺩﯾﺎﻧﺘﺪﺍﺭ ﺑﮭﯽ ﮨﮯ ۔ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺁﭖ ﺳﺐ ﮐﻮ ﺍُﺑﻠﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺑﯿﺞ ﺩﯾﺌﮯ ﺗﮭﮯ ﺟﻮ ﺍُﮒ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﮯ ۔ ﺳﻮﺍﺋﮯ ﺯﯾﺪ ﮐﮯ ﺁﭖ ﺳﺐ ﻧﮯ ﺑﯿﺞ ﺗﺒﺪﯾﻞ ﮐﺮ ﺩﯾﺌﮯ ”
ﺍﮮ ﺑﻨﺪﮮ ۔ ﻣﺖ ﺑﮭﻮﻝ ﮐﮧ ﺟﺐ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﯾﮑﮫ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﺗﻮ ﭘﯿﺪﺍ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﺩﯾﮑﮫ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﺍﺳﻠﺌﮯ ﺩﯾﺎﻧﺖ ﮐﺎ ﺩﺍﻣﻦ ﻧﮧ ﭼﮭﻮﮌ
ﻣﺎﺧﺬ : ﺍﻧﻮﮐﮭﺎ ﺑِﯿﺞ

RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...