♦ AMEER BAAP AUR BETI (Hum kitne ghareeb hain)

  Ameer baap aur beti ki kahani (Roman Urdu)
Ek Din , Ameer Baap Apni Beti Ko Trip Par Lekar Jaata Hai, Taake Woh Usey Dikha Sake Ki Ghareeb Log Kaise Rahte Hain,

Wo Apna Waqt Ek Ghareeb Pariwaar Ke Farmhouse Me Bitaate Hain Aur Wahan Kuch Din Rahne Ke Baad Jab Baap Apni Beti Ko Ghar Ke Liye Lauta Hai Toh Raaste Me Beti Se Poochta Hai
Kya Tumne Dekha, Woh Kitne Ghareeb Hain ?
Tumne Isse Kya Seekha ??
Beti Kahti Hai
"Hamare Paas Swimming Pool Hai, Unke Paas Nadiyan (Rivers) Hain,
Hamare Paas Raat Ke Liye Lantern Hai, Aur Unke Paas Sitaare (Star),
Ham Khaana (Food) Khareedte Hain Aur Wo Ugaate Hain,
Hamari Hifaazat Ke Liye Diwaaren Hain, Aur Unke Paas Dost (Friends)
Hamare Paas Encyclopedia Hai, Aur Unke Paas Padhne Ko Quraan,"
Fir Wo Kahti Hai
"Shukriya Dad , Mujhe Dikhaane Ke Liye Ki Hum Kitne Ghareeb Hain"
Sirf Paison Se Hi Aadmi Ameer Nhi Ho Jaata, Allah Ki Zaat Ke Aage Hamari Auqaat Sirf Ek Faqeer Jaisi Hai.


RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...