Sach Aur Jhoot.
Bohat arse ki baat hai. Lebanon me ek badshaah hukoomat karta tha. Wahan ke logon ko apne badshaah se badi mohabbat thi aur
badshaah bhi reaya ka behadd khayaal rakhta tha. Woh apne buzurgon ki taqleed karte hue rozana saada kapdon me shehar ki galiyo me ghoom phir kar logon ke baare me maloom karta rehta tha ke log kis terha din guzaar rahe hain. Agar koi dukhi hota to badshaah uski madad bhi kar diya karta .
Ek raat badshaah hasb mamool shehar ki galiyo me ghoom raha tha chalte chalte woh jail ke darwaze tak pohunch gaya, jail ke paas sipahi ek chhod ko pakar kar andar le ja raha tha , badshaah ne socha aaj jail ke andar ja kar dekhna chahiye ke yahan kya hota hai .
yeh soch kar badshah jail ke darwaze ke paas poanch gaya. badshaah ko dekhte hi sipahiyon ne pehchan liya aur tazeem se sir jhuka diye. badshaah ne jab sipahiyon ko bataya ke woh jail ka muaina karna chahta hai to sipahi badshaah ko le kar andar chale gaye . Qaidion ko jab pata chala ke badshaah salamat khud chal kar unse milne aeye hain to woh sab badshaah ke ird gird jama ho gaye. badshaah ne baari baari unse unke halaat pouche. badshaah ne ek qaidi se poocha,
" tumhe kis jurm ki saza mili hai?"
woh aadmi kehnay laga,
" Badshaah salamat! mai ne koi jurm nahi kya. mai be gunah hoon. mujhe chori ke ilzaam me pakda gaya hai. halaan ke mai ne zindagi me kabhi chori nahi ki. "

Badshaah ne jab dosray qaidi se poocha ke tumhara qasoor kya hai to is ne bhi rote hue Badshaah se kaha ke Mai be qasoor hoon, mai ne koi jurm nahi kya lekin yeh sipahi phir bhi mujhe pakad kar le aeye hain. gharz jitne bhi qaidi they sab hi ne badshaah ko yeh yaqeen dilane ki koshish ki ke woh be gunah hain. Badshaah salamat sab ki batein sunte rahe aur muskurate rahe. itne me Badshaah ki nazar ek aise qaidi par par jo sir jukaye allag baitha tha. Badshaah ne sipahiyon se kaha ke is aadmi ko hamare paas lao, yeh kyun munh chupaye betha hai?
Sipahi jab is aadmi ko badshah ke paas laaye to Badshaah ne poocha,
"aey nojawan! kya baat hai? tum munh chupaye kyun baithe ho?
"Uss aadmi ne rotay hue kaha," Badshaah salamat! me be hadd gunah gaar hoon. mere gunah ne mujhe is qabil nahi chhoda ke mai kisi ko munh dikha sakun. "
Badshaah ne kaha,
"Hamein batao to sahi tum ne kya jurm kiya hai? "
Uss shakhs ne kaha,
" Mai ek acha aadmi tha. humesha imandari se kaam karta tha. Ek din najane kyun mere dil me shaitan ne ghar kar liya aur me ne ej aadmi ke pesey chura liye aur yun mujhe jail bhaij diya gaya. "
Badshaah ne sochte hue kaha,
" yahan yeh sab be gunah hain sewaye tumahre. sirf tum hi ek aise aadmi ho jis ne apne aap ko gunah gaar bataya hai. lehaza itnay begunah logon me ek gunah gaar ko nahi rakhna chahiye. Mai tumhe raha karta hoon. "
kuch arsa guzar gaya. Ek dafaa Badshaah phir jail ka muaina karne aaya aur baari baari qaidyoun se mulaqaat ki. is dafaa har qaidi ne badshah ko apne jurm ki tafseel sunai. badshah ne yeh sunene ke baad hukum jari kiya ke yeh log waqai gunah gaar hain. Inhen abhi taq sharmindagi ka ehsas nahi. yeh bade fakhr se apne jurmon ki kahani maze le le kar sunaate hain. lehaza unki saza aur badha di jaye .
yeh sun kar woh log be hadd hairan hue aur badshah ke jane ke baad uske wazeer se poochne lage ke jab uss shakhs ne apne gunah ka aitraaf kiya tha to Badshaah ne usey chhodd diya tha lekin jab hum ne gunah ka aitraaf kiya hai to Badshaah ne humein aur saza di hai. yeh sun kar badshaah ka wazeer jo be hadd aqalmand tha aur badshaah ke mizaaj ko samjhta tha, kehnay laga,
" pehle aadmi ko iss liye chhoda gaya ke uss ne jurm ka aitraaf iss liye nahi kiya tha ke woh azad hona chahta tha, balke iss liye kiya tha ke woh apne kiye pe nadim tha. lekin tum logon ne pehli dafaa badshaah ko apni be gunahi ki kahani sunai taake woh tumhe azad kar de. iss dafaa gunah ka aitraaf bhi is liye kiya ke shayad badshaah tumhe chhodd de, is liye badshah ney tumhe azad nahi kiya. "
✿ PAKIZAH KAHANIYA ✿
www.PakizahKahaniya.blogspot.com
Shukriya,

سچ اور جھوٹ
بہت عرصے کی بات ہے۔ لبنان میں ایک بادشاہ حکومت کرتا تھا۔ وہاں کے لوگوں کو اپنے بادشاہ سے بڑی محبّت تھی۔ اور بادشاہ بھی رعایا کا بےحد خیال رکھتا تھا۔ وہ اپنے بزرگوں کی تقلید کرتے ہوئے روزانہ سادہ کپڑوں میں شہر کی گلیوں میں گھوم پھر کر لوگوں کے بارے میں معلوم کرتا رہتا تھا کہ لوگ کس طرح دن گزار رہے ہیں۔ اگر کوئی دکھی ہوتا تو بادشاہ اس کی مدد بھی کر دیا کرتا۔
ایک رات بادشاہ حسب معمول شہر کی گلیوں میں گھوم رہا تھا۔ چلتے چلتے وہ جیل کے دروازے تک پہنچ گیا۔ جیل کے پاس سپاہی ایک چور کو پکڑ کر اندر لے جا رہا تھا۔ بادشاہ نے سوچا آج جیل کے اندر جا کر دیکھنا چاہیے کہ یہاں کیا ہوتا ہے۔
یہ سوچ کر بادشاہ جیل کے دروازے کے پاس پہنچ گیا۔ بادشاہ کو دیکھتے ہی سپاہیوں نے پہچان لیا اور تعظیم سے سر جھکا دیے۔ بادشاہ نے جب سپاہیوں کو بتایا کہ وہ جیل کا معائنہ کرنا چاہتا ہے تو سپاہی بادشاہ کو لے کر اندر چلے گئے۔
قیدیوں کو جب پتا چلا کہ بادشاہ سلامت خود چل کر ان سے ملنے آئے ہیں تو وہ سب بادشاہ کے ارد گرد جمع ہو گئے۔ بادشاہ نے باری باری ان سے ان کے حالات پوچھے۔ بادشاہ نے ایک قیدی سے پوچھا، "تمہیں کس جرم کی سزا ملی ہے؟"
وہ آدمی کہنے لگا، "بادشاہ سلامت! میں نے کوئی جرم نہیں کیا۔ میں بےگناہ ہوں۔ مجھے چوری کے الزام میں پکڑا گیا ہے۔ حالانکہ میں نے زندگی میں کبھی چوری نہیں کی۔"
بادشاہ نے جب دوسرے قیدی سے پوچھا کہ تمہارا قصور کیا ہے تو اس نے بھی روتے ہوئے بادشاہ سے کہا کہ میں بےقصور ہوں، میں نے کوئی جرم نہیں کیا لیکن یہ سپاہی پھر بھی مجھے پکڑ کر لے آئے ہیں۔ غرض جتنے بھی قیدی تھے سب ہی نے بادشاہ کو یہ یقین دلانے کی کوشش کی کہ وہ بےگناہ ہیں۔ بادشاہ سلامت سب کی باتیں سنتے رہے اور مسکراتے رہے۔ اتنے میں بادشاہ کی نظر ایک ایسے قیدی پر پر جو سر جھکائے الگ بیٹھا تھا۔ بادشاہ نے سپاہیوں سے کہا کہ اس آدمی کو ہمارے پاس لاؤ، یہ کیوں منہ چھپائے بیٹھا ہے؟ سپاہی جب اس آدمی کو بادشاہ کے پاس لائے تو بادشاہ نے پوچھا، "اے نوجوان! کیا بات ہے؟ تم منہ چھپائے کیوں بیٹھے ہو؟"
اس آدمی نے روتے ہوئے کہا، "بادشاہ سلامت! میں بےحد گناہ گار ہوں۔ میرے گناہ نے مجھے اس قابل نہیں چھوڑا کہ میں کسی کو منہ دکھا سکوں۔"
بادشاہ نے کہا، "ہمیں بتاؤ تو سہی تم نے کیا جرم کیا ہے؟"
اس شخص نے کہا، "میں ایک اچھا آدمی تھا۔ ہمیشہ ایمانداری سے کام کرتا تھا۔ ایک دن نجانے کیوں میرے دل میں شیطان نے گھر کر لیا اور میں نے ایک آدمی کے پیسے چرالیے اور یوں مجھے جیل بھیج دیا گیا۔"
بادشاہ نے سوچتے ہوئے کہا، "یہاں یہ سب بے گناہ ہیں سواے تمہارے۔ صرف تم ہی ایک ایسے آدمی ہو جس نے اپنے آپ کو گناہ گار بتایا ہے۔ لہذا اتنے بے گناہ لوگوں میں ایک گناہ گار کو نہیں رکھنا چاہیے۔ میں تمہیں رہا کرتا ہوں۔"
کچھ عرصہ گزر گیا۔ ایک دفعہ بادشاہ پھر جیل کا معائنہ کرنے آیا اور باری باری قیدیوں سے ملاقات کی۔ اس دفعہ ہر قیدی نے بادشاہ کو اپنے جرم کی تفصیل سنائی۔ بادشاہ نے یہ سننے کے بعد حکم جاری کیا کہ یہ لوگ واقعی گناہ گار ہیں۔ انہیں ابھی تک شرمندگی کا احساس نہیں۔ یہ بڑے فخر سے اپنے جرموں کی کہانی مزے لے لے کر سناتے ہیں۔ لہذا ان کی سزا اور بڑھا دی جائے۔
یہ سن کر وہ لوگ بےحد حیران ہوئے اور بادشاہ کے جانے کے بعد اس کے وزیر سے پوچھنے لگے کہ جب اس شخص نے اپنے گناہ کا اعتراف کیا تھا تو بادشاہ نے اسے چھوڑ دیا تھا لیکن جب ہم نے گناہ کا اعتراف کیا ہے تو بادشاہ نے ہمیں اور سزا دی ہے۔ یہ سن کر بادشاہ کا وزیر جو بےحد عقلمند تھا اور بادشاہ کے مزاج کو سمجھتا تھا، کہنے لگا، "پہلے آدمی کو اس لیے چھوڑا گیا کہ اس نے جرم کا اعتراف اس لیے نہیں کیا تھا کہ وہ آزاد ہونا چاہتا تھا، بلکہ اس لیے کیا تھا کہ وہ اپنے کیے پہ نادم تھا۔ لیکن تم لوگوں نے پہلی دفعہ بادشاہ کو اپنی بےگناہی کی کہانی سنائی تاکہ وہ تمہیں آزاد کر دے۔ اس دفعہ گناہ کا اعتراف بھی اس لیے کیا کہ شاید بادشاہ تمہیں چھوڑ دے، اس لیے بادشاہ نے تمہیں آزاد نہیں کیا۔"