♦ AZAADI AUR HUQOOQ KE NAAM PAR...


Bhedion ne bakrion ke haq me jaloos nikala ke bakrion ko azaadi do, bakrion ke huqooq mare jarahe hain, Unhein gharon me qaid kar rakha gaya hai.

Ek bakri ne jab ye awaaz suni to dusri bakrion se kaha ke;
" suno suno humare haq me juloos nikale jarahe hain chalo hum bhi nikalte hain."
Aur apne huqooq ki awaz uthate hain ek budhi bakri boli;
"beti hosh me meri baat sunn lo ye bhediye humare dushman hain, Unki baaton me mat aao"
Magar naujawan bakrion ne uski ek baat na maani kahi;
"Ji, Apka zamana aur tha yeh Jadeed daur hai Ab koi kisi ke huqooq nahi chhin sakta ye bhediye humare dushman kaise ? Yeh to humare huqooq ki baat kar rahhe hain"
Budhi bakri sunn kar boli;
" Beta ye tumhein barbaad karna chahte hain abhi tum mahfooz ho, agar unki baaton me agayi to ye tumhein cheer fadd kar rakh denge."
Budhi bakri ki ye baat sunn kar jawan bakri gusse me agayi aur kahne lagi ke;
" Amma tum to budhi ho chuki ab humein humari zindagi jeene do tumhein kya pata azaadi kya hoti hai.
Bahar khubsoorat khet honge hare bhare baagh honge har taraf haryali hogi, khushiyan hi khushiyan hongi tum apni nasihat apne paas rakho ab hum mazeed ye qaid bardasht nahi kar sakte"
Ye keh kar sab azaadi azaadi ke naare lagane lage aur bhook hadtaal kar di.
Rewadd ke maalik ne jab ye soorat e haal dekha to mazburann unhein khol kar azaad kar diya, bakriyan bahut khush hui aur naare lagati chhalange maarti nikal bhaagi,
Magar ye kyaaa???
Bhedion ne to unn par hamla kar diya aur masoom bakrion ko cheer fadd kar rakh diya,
Aaj Aurton ke huqooq ki baat karne wale dar haqeeqat aurton tak pahunchne ki azaadi chah rahe hain ye unn masoomon ke khoon ke pyaase hain, unhein aurton ke huqooq ki nahi apni galeez pyaas ki fikr hai, kaashh ke koi samjhe.
✿ Pakizah Kahaniya ✿




ﺑﮭﯿﮍﯾﻮﮞ ﻧﮯ ﺑﮑﺮﯾﻮﮞ ﮐﮯ ﺣﻖ ﻣﯿﮟ ﺟﻠﻮﺱ ﻧﮑﺎﻻ ﮐﮧ ﺑﮑﺮﯾﻮﮞ ﮐﻮ ﺁﺯﺍﺩﯼ ﺩﻭ ﺑﮑﺮﯾﻮﮞ ﮐﮯ ﺣﻘﻮﻕ ﻣﺎﺭﮮ ﺟﺎ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﮔﮭﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﻗﯿﺪ ﮐﺮ ﺭﮐﮭﺎ ﮔﯿﺎ ﮨﮯ ﺍﯾﮏ ﺑﮑﺮﯼ ﻧﮯ ﺟﺐ ﯾﮧ ﺁﻭﺍﺯ ﺳﻨﯽ ﺗﻮ ﺩﻭﺳﺮﯼ ﺑﮑﺮﯾﻮﮞ ﺳﮯ ﮐﮩﺎ ﮐﮧ ﺳﻨﻮ ﺳﻨﻮ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺣﻖ ﻣﯿﮟ ﺟﻠﻮﺱ ﻧﮑﺎﻟﮯ ﺟﺎ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﭼﻠﻮ ﮨﻢ ﺑﮭﯽ ﻧﮑﻠﺘﮯ ﮨﯿﮟ

ﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﮯﺣﻘﻮﻕ ﮐﯽ ﺁﻭﺍﺯ ﺍﭨﮭﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺑﻮﮌﮬﯽ ﺑﮑﺮﯼ ﺑﻮﻟﯽ ﺑﯿﭩﯽ ﮨﻮﺵ ﮐﮯ ﻧﺎﺧﻦ ﻟﻮ ﯾﮧ ﺑﮭﯿﮍﺋﮯ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺩﺷﻤﻦ ﮨﯿﮟ20 ﺍﻥ ﮐﯽ ﺑﺎﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺁﻭ ﻣﮕﺮ ﻧﻮﺟﻮﺍﻥ ﺑﮑﺮﯾﻮﮞ ﻧﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺑﺎﺕ ﻧﮧ ﻣﺎﻧﯽ ﮐﮧ ﺟﯽ ﺁﭖ ﮐﺎ ﺯﻣﺎﻧﮧ ﺍﻭﺭ ﺗﮭﺎ ﯾﮧ ﺟﺪﯾﺪ ﺩﻭﺭ ﮨﮯ

ﺍﺏ ﮐﻮﺋﯽ ﮐﺴﯽ ﮐﮯ ﺣﻘﻮﻕ ﻧﮩﯿﮟ ﭼﮭﯿﻦ ﺳﮑﺘﺎ ﯾﮧ ﺑﮭﯿﮍﺋﮯ ﮨﻤﺎﺭﮮﺩﺷﻤﻦ ﮐﯿﺴﮯ ﯾﮧ ﺗﻮ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺣﻘﻮﻕ ﮐﯽﺑﺎﺕ ﮐﺮ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﺑﻮﮌﮬﯽ ﺑﮑﺮﯼ ﺳﻦ ﮐﺮ ﺑﻮﻟﯽ ﺑﯿﭩﺎ ﯾﮧ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﺑﺮﺑﺎﺩ ﮐﺮﻧﺎ ﭼﺎﮨﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﺑﮭﯽ ﺗﻢ ﻣﺤﻔﻮﻅ ﮨﻮ ﺍﮔﺮ ﺍﻥ ﮐﯽ ﺑﺎﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺁﮔﺌﯽ ﺗﻮ ﯾﮧ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﭼﯿﺮ ﭘﮭﺎﮌ ﮐﺮ ﺭﮐﮫ ﺩﯾﮟ ﮔﮯ ﺑﻮﮌﮬﯽ ﺑﮑﺮﯼ ﮐﯽ ﯾﮧ ﺑﺎﺕ ﺳﻦ ﮐﺮ ﺟﻮﺍﻥ ﺑﮑﺮﯼ ﻏﺼﮯ ﻣﯿﮟ ﺁﮔﺌﯽ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﯽ ﮐﮧ ﺍﻣﺎﮞ ﺗﻢ ﺗﻮ ﺑﻮﮌﮬﯽ ﮨﻮﭼﮑﯽ ﺍﺏ ﮨﻤﯿﮟ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺟﯿﻨﮯ ﺩﻭ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﮐﯿﺎ ﭘﺘﮧ ﺁﺯﺍﺩﯼ ﮐﯿﺎ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ

ﺑﺎﮨﺮ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕﮐﮭﯿﺖ ﮨﻮﻧﮕﮯ ﮨﺮﮮ ﺑﮭﺮﮮ ﺑﺎﻍ ﮨﻮﻧﮕﮯ ﮨﺮ ﻃﺮﻑ ﮨﺮﯾﺎﻟﯽ ﮨﻮﮔﯽ ﺧﻮﺷﯿﺎﮞ ﮨﯽﺧﻮﺷﯿﺎﮞ ﮨﻮﻧﮕﯽ ﺗﻢ ﺍﭘﻨﯽ ﻧﺼﯿﺤﺖ ﺍﭘﻨﮯ ﭘﺎﺱ ﺭﮐﮭﻮ ﺍﺏ ﮨﻢ ﻣﺰﯾﺪ ﯾﮧ ﻗﯿﺪ ﺑﺮﺩﺍﺷﺖ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺳﮑﺘﯿﮟ ﯾﮧ ﮐﮧ ﮐﺮ ﺳﺐ ﺁﺯﺍﺩﯼ ﺁﺯﺍﺩﯼ ﮐﮯ ﻧﻌﺮﮮ ﻟﮕﺎﻧﮯ ﻟﮕﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺑﮭﻮﮎ ﮨﮍﺗﺎﻝ ﮐﺮﺩﯼ ﺭﯾﻮﮌ ﮐﮯ ﻣﺎﻟﮏ ﻧﮯ ﺟﺐ ﯾﮧ ﺻﻮﺭﺗﺤﺎﻝ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﺗﻮ ﻣﺠﺒﻮﺭﺍ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﮐﮭﻮﻝ ﮐﺮ ﺁﺯﺍﺩ ﮐﺮﺩﯾﺎ ﺑﮑﺮﯾﺎﮞ ﺑﮩﺖ ﺧﻮﺵ ﮨﻮﺋﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﻧﻌﺮﮮ ﻟﮕﺎﺗﯽ ﭼﮭﻼﻧﮕﯿﮟﻣﺎﺭﺗﯽ ﻧﮑﻞ ﺑﮭﺎﮔﯿﮟﻣﮕﺮ ﯾﮧ ﮐﯿﺎ؟؟؟؟ 

ﺑﮭﯿﮍﺋﯿﻮﮞ ﻧﮯ ﺗﻮ ﺍﻥ ﭘﺮ ﺣﻤﻠﮧ ﮐﺮﺩﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﻣﻌﺼﻮﻡ ﺑﮑﺮﯾﻮﮞ ﮐﻮ ﭼﯿﺮﭘﮭﺎﮌ ﮐﺮ ﺭﮐﮫ ﺩﯾﺎ ﺁﺝ ﻋﻮﺭﺗﻮﮞ ﮐﮯ ﺣﻘﻮﻕ ﮐﯽ ﺑﺎﺕ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﺩﺭﺣﻘﯿﻘﺖ ﻋﻮﺭﺗﻮﮞ ﺗﮏ ﭘﮩﻨﭽﻨﮯﮐﯽ ﺁﺯﺍﺩﯼ ﭼﺎﮦ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﯾﮧ ﺍﻥ ﻣﻌﺼﻮﻣﻮﮞ ﮐﮯ ﺧﻮﻥ ﮐﮯ ﭘﯿﺎﺳﮯ ﮨﯿﮟﺍﻧﮩﯿﮟ ﻋﻮﺭﺗﻮﮞ ﮐﮯ ﺣﻘﻮﻕ ﮐﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺍﭘﻨﯽ ﻏﻠﯿﻆ ﭘﯿﺎﺱ ﮐﯽ ﻓﮑﺮ ﮨﮯ ﮐﺎﺵ ﮐﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﺳﻤﺠﮭﮯ.



RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...