♦ DO DOST, DO DUSHMAN (Apas ki dushmani me apna hi nuqsaan hota hai)

Do Dost, Do Dushman
(Dr. Jameel Jalbi)
Ghane jungle me ek daldal ke qareeb barson se ek chuha aur ek mendhak rehte the. Baat cheet ke dauraan ek din mendhak ne chuhe se kaha;

"Iss daldal me mera khandan sadion se abaad hai aue isi liye ye daldal jo mujhe baap dada se mili hai, meri meraas hai".
Chuha iss baat se chiddh gaya. Usne kaha;
"Mera khandaan bhi yahan saikdon salon se abaad hai aur mujhe bhi ye jagah apne baap dada se mili hai aur ye meri meeras hai".
Ye sunn kar mendhak gusse me agaya aur tu tu mai mai shuru hogayi. Baat itni badh gayi ke unki dosti me farq agaya aur dono ne ek dusre se bolna chhod diya.
Ek din chuha wahan se guzra to mendhak ne uss par awaz kasi jo chuhe ko bahut buri lagi. Uske baad chuhe ne ye kiya ke wo ghaas me chhup kar baith jata aur jab mendhak wahan se guzarta to uss par hamla kar deta.
Akhir tang akar ek din mendhak ne kaha;
"Aey chuhe! Tu choron ki tarah ye kya chhup chhup kar hamla karta hai ? Mard hai to samne maidan me aa, taake khul kar muqabla ho aur tujhe meri quwat ka pata chale".
Chuhe ne ye baat qubool kar li aur dusre din subah hi muqable ka waqt muqarrar hua.
Muqarrara waqt par ek taraf se chuha nikla. Uske haath me narsal ke paude ka ek lamba tana tha. Dusri taraf se mendhak aage badha. Uske haath me bhi aisa hi tinka tha. Dono ek dusre par zabardast hamla kiye aur phir zara si der me dono ghuttam ghutta hogaye.
Abhi ye ladayi jari thi ke door hawa me udti hui ek cheel ne dekha ke ek chuha aur ek mendhak apas me ghuttam ghutta horahe hain, wo tezi se udti hui neeche ayi aur ek jhapte me dono pahlawano ko apne tez, nokile panjon me daba kar legayi.
Ab wahan chuha hai na mendhak. Daldal ab bhi maujood hai.
✿ Pakizah Kahaniya ✿




ﺩﻭ ﺩﻭﺳﺖ، ﺩﻭ ﺩﺷﻤﻦ
ﮈﺍﮐﭩﺮ ﺟﻤﯿﻞ ﺟﺎﻟﺒﯽ
ﮔﮭﻨﮯ ﺟﻨﮕﻞ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺩﻟﺪﻝ ﮐﮯ ﻗﺮﯾﺐ ﺑﺮﺳﻮﮞ ﺳﮯ ﺍﯾﮏ ﭼﻮﮨﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﻨﮉﮎ ﺭﮨﺘﮯ ﺗﮭﮯ۔ ﺑﺎﺕ ﭼﯿﺖ ﮐﮯ ﺩﻭﺭﺍﻥ ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﻣﯿﻨﮉﮎ ﻧﮯ ﭼﻮﮨﮯ ﺳﮯ ﮐﮩﺎ، " ﺍﺱ ﺩﻟﺪﻝ ﻣﯿﮟ ﻣﯿﺮﺍ ﺧﺎﻧﺪﺍﻥ ﺻﺪﯾﻮﮞ ﺳﮯ ﺁﺑﺎﺩ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺍﺳﯽ ﻟﯿﮯ ﯾﮧ ﺩﻟﺪﻝ ﺟﻮ ﻣﺠﮭﮯ ﺑﺎﭖ ﺩﺍﺩﺍ ﺳﮯ ﻣﻠﯽ ﮨﮯ، ﻣﯿﺮﯼ ﻣﯿﺮﺍﺙ ﮨﮯ۔ "

ﭼﻮﮨﺎ ﺍﺱ ﺑﺎﺕ ﭘﺮ ﭼﮍ ﮔﯿﺎ۔ ﺍﺱ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ، " ﻣﯿﺮﺍ ﺧﺎﻧﺪﺍﻥ ﺑﮭﯽ ﯾﮩﺎﮞ ﺳﯿﻨﮑﮍﻭﮞ ﺳﺎﻟﻮﮞ ﺳﮯ ﺁﺑﺎﺩ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﻣﺠﮭﮯ ﺑﮭﯽ ﯾﮧ ﺟﮕﮧ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﺎﭖ ﺩﺍﺩﺍ ﺳﮯ ﻣﻠﯽ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﯾﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﻣﯿﺮﺍﺙ ﮨﮯ۔ "
ﯾﮧ ﺳﻦ ﮐﺮ ﻣﯿﻨﮉﮎ ﻏﺼﮯ ﻣﯿﮟ ﺁ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﺗﻮ ﺗﻮ ﻣﯿﮟ ﻣﯿﮟ ﺷﺮﻭﻉ ﮨﻮ ﮔﺌﯽ۔ ﺑﺎﺕ ﺍﺗﻨﯽ ﺑﮍﮬﯽ ﮐﮧ ﺍﻥ ﮐﯽ ﺩﻭﺳﺘﯽ ﻣﯿﮟ ﻓﺮﻕ ﺁ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﻧﮯ ﺍﯾﮏ ﺩﻭﺳﺮﮮ ﺳﮯ ﺑﻮﻟﻨﺎ ﭼﮭﻮﮌ ﺩﯾﺎ۔

ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﭼﻮﮨﺎ ﻭﮨﺎﮞ ﺳﮯ ﮔﺰﺭﺍ ﺗﻮ ﻣﯿﻨﮉﮎ ﻧﮯ ﺍﺱ ﭘﺮ ﺁﻭﺍﺯ ﮐﺴﯽ ﺟﻮ ﭼﻮﮨﮯ ﮐﻮﺑﮩﺖ ﺑﺮﯼ ﻟﮕﯽ۔ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﭼﻮﮨﮯ ﻧﮯ ﯾﮧ ﮐﯿﺎ ﮐﮧ ﻭﮦ ﮔﮭﺎﺱ ﻣﯿﮟ ﭼﮭﭗ ﮐﺮ ﺑﯿﭩﮫ ﺟﺎﺗﺎ ﺍﻭﺭ ﺟﺐ ﻣﯿﻨﮉﮎ ﻭﮨﺎﮞ ﺳﮯ ﮔﺰﺭﺗﺎ ﺗﻮ ﺍﺱ ﭘﺮ ﺣﻤﻠﮧ ﮐﺮﺩﯾﺘﺎ۔
ﺁﺧﺮ ﺗﻨﮓ ﺁ ﮐﺮ ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﻣﯿﻨﮉﮎ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ، " ﺍﮮ ﭼﻮﮨﮯ ! ﺗﻮ ﭼﻮﺭﻭﮞ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﯾﮧ ﮐﯿﺎ ﭼﮭﭗ ﭼﮭﭗ ﮐﺮ ﺣﻤﻠﮧ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ؟ ﻣﺮﺩ ﮨﮯ ﺗﻮ ﺳﺎﻣﻨﮯ ﻣﯿﺪﺍﻥ ﻣﯿﮟ ﺁ، ﺗﺎﮐﮧ ﮐﮭﻞ ﮐﺮ ﻣﻘﺎﺑﻠﮧ ﮨﻮ ﺍﻭﺭ ﺗﺠﮭﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﻗﻮﺕ ﮐﺎ ﭘﺘﺎ ﭼﻠﮯ۔ "

ﭼﻮﮨﮯ ﻧﮯ ﯾﮧ ﺑﺎﺕ ﻗﺒﻮﻝ ﮐﺮ ﻟﯽ ﺍﻭﺭ ﺩﻭﺳﺮﮮ ﺩﻥ ﺻﺒﺢ ﮨﯽ ﺻﺒﺢ ﻣﻘﺎﺑﻠﮯ ﮐﺎ ﻭﻗﺖ ﻣﻘﺮﺭ ﮨﻮﺍ۔ ﻣﻘﺮﺭﮦ ﻭﻗﺖ ﭘﺮ ﺍﯾﮏ ﻃﺮﻑ ﺳﮯ ﭼﻮﮨﺎ ﻧﮑﻼ۔ ﺍﺱ ﮐﮯ ﮨﺎﺗﮫ ﻣﯿﮟ ﻧﺮﺳﻞ ﮐﮯ ﭘﻮﺩﮮ ﮐﺎ ﺍﯾﮏ ﻟﻤﺒﺎ ﺗﻨﮑﺎ ﺗﮭﺎ۔ ﺩﻭﺳﺮﯼ ﻃﺮﻑ ﺳﮯ ﻣﯿﻨﮉﮎ ﺁﮔﮯ ﺑﮍﮬﺎ۔ ﺍﺱ ﮐﮯ ﮨﺎﺗﮫ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺍﯾﺴﺎ ﮨﯽ ﺗﻨﮑﺎ ﺗﮭﺎ۔ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﻧﮯ ﺍﯾﮏ ﺩﻭﺳﺮﮮ ﭘﺮ ﺯﺑﺮﺩﺳﺖ ﺣﻤﻠﮧ ﮐﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﭘﮭﺮ ﺫﺭﺍ ﺳﯽ ﺩﯾﺮ ﻣﯿﮟ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﮔﺘﮭﻢ ﮔﺘﮭﺎ ﮨﻮ ﮔﺌﮯ۔

ﺍﺑﮭﯽ ﯾﮧ ﻟﮍﺍﺋﯽ ﺟﺎﺭﯼ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﺩﻭﺭ ﮨﻮﺍ ﻣﯿﮟ ﺍﮌﺗﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﺍﯾﮏ ﭼﯿﻞ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﭼﻮﮨﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﻨﮉﮎ ﺁﭘﺲ ﻣﯿﮟ ﮔﺘﮭﻢ ﮔﺘﮭﺎ ﮨﻮ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﻭﮦ ﺗﯿﺰﯼ ﺳﮯ ﺍﮌﺗﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﻧﯿﭽﮯ ﺁﺋﯽ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﮏ ﺟﮭﭙﭩﮯ ﻣﯿﮟ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﭘﮩﻠﻮﺍﻧﻮﮞ ﮐﻮﺍﭘﻨﮯ ﺗﯿﺰ، ﻧﻮﮐﯿﻠﮯ ﭘﻨﺠﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺩﺑﺎ ﮐﺮ ﻟﮯ ﮔﺌﯽ۔
ﺍﺏ ﻭﮨﺎﮞ ﭼﻮﮨﺎ ﮨﮯ ﻧﮧ ﻣﯿﻨﮉﮎ۔۔۔۔۔ﺩﻟﺪﻝ ﺍﺏ ﺑﮭﯽ ﻣﻮﺟﻮﺩ ﮨﮯ۔
٭٭٭




RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...