♦ KHUSH EKHLAQI


Ek khush ikhlaq aur shereen zuban shakhs shehad farokht kiya karta tha. aur iss dohri sheereeni ke baais log uske
gird iss tarha jama hotay jaise shehad par makhiyan, aur yun uss ka sara shehad dekhte hi dekhte bik jata tha.
Uss se hasad rakhne wale uss ki khushhali aur maqboliat ke sabab angaron par lautte the aur hama waqt uss ki maqboliat ko kam karne ki fikar me sargardan rehte. Bil akhir woh apni iss napak koshish me kamyaab hogaye. unhon ne aisi saazish ki ke shehad farosh ki khush ikhlaqi, be rukhi me badal gayi. Ab jo gahak bhi uss se baat karta woh uss ke sath ladta aur bak bak, jhuk jhuk karta. Nateeja yeh huwa ke usske saare gahak toot gaye, aur nobat yahan taq pohanchi ke jab woh bazaar me aata to uss ke paas sirf makhion ka majmaa hota, gahak koi bhi paas na fatakta.
Maal farokht na hone ke sabab naubat faqon taq aa punhnchi to ek din woh apni biwi se kehne laga;
"Maloom nahi khuda hum se kyun naraaz hogaya hai. Sara sara din bazaar me baitha rehta hoon lekin ek tola shehad bhi farokht nahi hota".
Biwi ne jawab diya;
"Khuda to pehle ki tarha meharban hai, farq tumhare ikhlaq aur rawayye me agaya hai. pehle tum apni shereen guftari aur hsnِ ikhlaq se logon ke dil moh lete the. Har shakhs tum se baat kar ke khush hota tha, aur dusre shehad faroshon ko chhodd kar tum se shehad kharidata tha. ab tumhari talkh kalami ne logon ke dilon me nafrat paida kar di hai aur unhen tumahra shehad bhi zeher maloom hota".
✿ Pakizah Kahaniya ✿








خوش اخلاقی​

ایک خوش اخلاق اور شیریں زبان شخص شہد فروخت کیا کرتا تھا۔ اور اس دوہری شیرینی کے باعث لوگ اس کےگرد اس طرح جمع ہوتے جیسے شہد پر مکھیاں، اور یوں اس کا سارا شہد دیکھتے ہی دیکھتے بِک جاتا تھا​

اس سے حسد رکھنے والے اس کی خوشحالی اور مقبولیت کے سبب انگاروں پر لوٹتے تھے اور ہمہ وقت اس کی مقبولیت کو کم کرنے کی فکر میں سرگرداں رہتے۔ بالآخر وہ اپنی اس ناپاک کوشش میں کامیاب ہوگئے۔ انہوں نے ایسی سازش کی کہ شہد فروش کی خوش اخلاقی، بے رُخی میں بدل گئی۔ اب جو گاہک بھی اس سے بات کرتا وہ اس کے ساتھ لڑتا اور بَک بَک، جھک جھک کرتا۔ نتیجہ یہ ہوا کہ اس کے سارے گاہک ٹوٹ گئے،اور نوبت یہاں تک پہنچی کہ جب وہ بازار میں آتا تو اس کے پاس صرف مکھیوں کا مجمع ہوتا، گاہک کوئی بھی پاس نہ پھٹکتا
مال فروخت نہ ہونے کے سبب نوبت فاقوں تک آپہنچی تو ایک دن وہ اپنی بیوی سے کہنے لگا 
"معلوم نہیں خدا ہم سے کیوں ناراض ہوگیا ہے۔ ساراسارا دن بازار میں بیٹھا رہتا ہوں لیکن ایک تولہ شہد بھی فروخت نہیں ہوتا"۔ 
بیوی نے جواب دیا؛ 
".خداتو پہلے کی طرح مہربان ہے، فرق تمھارے اخلاق اور رویے میں آگیا ہے۔ پہلے تم اپنی شیریں گفتاری اور حسنِ اخلاق سے لوگوں کے دل موہ لیتے تھے۔ ہر شخص تم سے بات کر کے خوش ہوتا تھا، اور دوسرے شہد فروشوں کو چھوڑ کر تم سے شہد خریدتا تھا۔ اب تمھاری تلخ کلامی نے لوگوں کے دلوں میں نفرت پیدا کردی ہے اور انہیں تمھارا شہد بھی زہر معلوم ہوتا ہے"-
✿ Pakizah Kahaniya ✿


RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...