Bayan kiya jata hai ke ek badshaah kisi baat par apne wazeer se naraaz ho gaya aur iss naay usey iss ke ohdey se hata diya.
wazeer bahut Dana nek dil tha badshaah ke darbaar se nikal kar woh Allah walon ki majlis me shaamil ho gaya aur unn nek logon ki sohbat me usey aisi khusi aur Aisa itminan mila jo pehle kabhi haasil na huwa tha. badshaah naay kuch din baad mehsoos kiya ke jis wazeer ko iss naay mazool kiya hai woh to iss ohdey ke liye bahut mozoon tha. sacha aur wafadar hone ke sath woh aisa aqal mand tha ke iss ka mahswara humesha mufeed saabit hota tha. chunanche uss ne wazeer se kaha ke woh apni kursi phir sambhal le aur saltanat ke muazzaz ohde daar ki haisiyat se khidmaat anjaam de.wazeer ne jawab diya ke "huzoor wala, saltanat ke kaarobar me mashgool hone ke muqable me mere liye mazool rahna zyadah achha hai. ab mai har tarha aaraam me hoon kutton jaisi fitrat rakhne wale logon ki shararaton se Mujhe nijaat mil gayi hai aur khuda ke fazl se mera waqt bahut achha guzaar raha hai."
Badshaah ne bahut zorr diya lekin uss ne wizarat ka ohda qubool na kiya .
Huma ko yun Sharf haasil huwa saare parindon par guzar auqaat karta hai purani haddiyan kha kar Qanaat ne ataa ki hai usey khoye jahandaari muazzaz hai wahi bas jis ka Shewa ho kam azaadi
wazahat
Hazrat Saadi RehmaAllah aleh ne iss hekayat me yeh baat batayi hai ke insaan ko sacchi raahat uss waqt haasil hoti hai jab woh apne dil ko lalach aur hiras jaisi buraiyon se paak kar leta hai yeh moqam haasil ho jaye to dawlat aur ohdon ke liye maare maare phir ne ki zaroorat nahi rehti balke yeh cheeze beghair talab ke uss ke qadmon me aa girte hain.
✿ Pakizah Kahaniya ✿
✿ Pakizah Kahaniya ✿
بادشاہ کا غصہ
بیان کیا جاتا ہے کہ ایک بادشاہ کسی بات پر اپنے وزیرسے ناراض ہو گیا اور اس نے اسے اس کے عہدے سے ہٹا دیا۔ وزیر بہت دانا نیک دل تھا بادشاہ کے دربار سے نکل کر وہ اللہ والوں کی مجلس میں شامل ہو گیا اور ان نیک لوگوں کی صحبت میں اسے ایسی خوشی اور ایسااطمینان ملا جو پہلے کبھی حاصل نہ ہوا تھا۔ بادشاہ نے کچھ دن بعد محسوس کیا کہ جس وزیر کو اس نے معزول کیا ہے وہ تو اس عہدے کے لیے بہت موزوں تھا۔ سچا اور وفادار ہونے کے ساتھ وہ ایسا عقل مند تھا کہ اس کا مشورہ ہمیشہ مفید ثابت ہوتا تھا۔ چنانچہ اس نے وزیر سے کہا کہ وہ اپنی کرسی پھر سنبھا ل لے اور سلطنت کے معزز عہد ے دار کی حیثیت سے خدمات انجام دے وزیر نے جواب دیا کہ حضور والا، سلطنت کے کاروبار میں مشغول ہونے کے مقابلے میں میرے لیے معزول رہنا زیادہ اچھا ہے۔ اب میں ہر طرح آرام میں ہوں کتوں جسی فطرت رکھنے والے لوگوں کی شرارتوں سے مجھے نجات مل گئی ہے اور خدا کے فضل سے میرا وقت بہت اچھا گزار رہا ہے۔ بادشاہ نے بہت زور دیا لیکن اس نے وزارت کا عہدہ قبول نہ کیا
ہما کو یوں شرف حاصل ہوا سارے پرندوں پر گزر اوقات کرتا ہے پرانی ہڈیاں کھا کر قناعت نے عطا کی ہے اسے خوئے جہانداری معزز ہے وہی بس جس کا شیوہ ہو کم آزادی
وضاحت
حضرت سعدی رحمۃ اللہ علیہ نے اس حکایت میں یہ بات بتائی ہے کہ انسان کو سچھی راحت اس وقت حاصل ہوتی ہے جب وہ اپنے دل کو لالچ اور حرص جیسی برائیوں سے پاک کر لیتا ہے یہ مقام حاصل ہو جائے تو دولت اور عہدوں کے لیے مارے مارے پھر نے کی ضرورت نہیں رہتی بلکہ یہ چیزیں بغیر طلب کے اس کے قدموں میں آ گرتی ہیں۔ ٭٭٭
✿ Pakizah Kahaniya ✿