Badshaah ka khuwaab
Bayan kiya jata hai, Mulk khurasan ke ek Badshaah ne Sultan Mahmood Sabkatgeen ko khuwaab me iss haalat me dekha ke
woh qabar me pada hai. Aur Uss ka poora wujood gal sadd kar khaak me mil chuka hai. lekin halqa haae chasham me iss ki ankhein salamat hain aur woh zinda insanon ki aankhon ki tarha idhar udher dekh rahi hain. Yeh ajeeb khuwaab dekh kar badshaah beedar huwa to uss ne apne ameeron aur wazeeron se iss ki tabeer poochi sab ne ajaz ka izhaar kiya. Usi douran me ek darwaish badshaah ke darbaar me aaya aur uss ne kaha. Iss khuwaab ki tabeer yeh hai ke Sultan Mahmood Sabkatgeen iss baat ko hairan ho kardekh raha hai ke jo saltanat uss ne bahut tug daur ke baad haasil ki thi, ab iss par ghair qaabiz ho gaye hain. kitne hi Namdar zameen me sama gaye duniya me aaj ek bhi unn ka nishaan banin, Jo laash qabar me gayi gal sadd kar mit gayi apne haqeeqi roop me ustkhwaan nahi, Albata Adal se raha noshirwan ka naam go bazm nist o nabood me noshirwan nahi lazim hai Iss se pehle kare koi nek kaam jab log yeh kahen ge jahan me falan nahi.Bayan kiya jata hai, Mulk khurasan ke ek Badshaah ne Sultan Mahmood Sabkatgeen ko khuwaab me iss haalat me dekha ke
Wazahat::
Hazrat Saadi ne iss hekiyaat me jamal o Jah rakhne wale logon ko unn ke anjaam se aagah kiya hai. insaan kaisa bhi Iqtidaar haasil kar le ek din mout usey qabar ki tarikeon me utaar deti hai. Albata agar uss ne nek amal kiye hon to usey hayaat javedani haasil ho jati hai. jaise noshirwan adil ko uss ki insaaf parwari ke baais namwari haasil hui ke qayamat taq uss ka zikar bhalai se kiya jaye ga.
✿ Pakizah Kahaniya ✿
✿ Pakizah Kahaniya ✿
بادشاہ کا خواب
بیان کیا جاتا ہے، ملک خراسان کے ایک بادشاہ نے سلطان محمود کو سبکتگین کو خواب میں اس حالت میں دیکھا کہ وہ قبر میں پڑا ہے۔ اور اس کا پورا وجود گل سڑکر خاک میں مل چکا ہے۔ لیکن حلقہ ہائے چشم میں اس کی آنکھیں سلامت ہیں اور وہ زندہ انسانوں کی آنکھوں کی طرح ادھر اُدھر دیکھ رہی ہیں۔ یہ عجیب خواب دیکھ کر بادشاہ بیدار ہوا تو اس نے اپنے امیروں اور وزیروں سے اس کی تعبیر پوچھی سب نے عجز کا اظہار کیا۔ اسی دوران میں ایک درویش بادشاہ کے دربار میں آیا اور اس نے کہا۔ اس خواب کی تعبیر یہ ہے کہ سلطان محمود سبکتگین اس بات کو حیران ہو کر دیکھ رہا ہے کہ جو سلطنت اس نے بہت تگ دور کے بعد حاصل کی تھی، اب اس پر غیر قابض ہو گئے ہیں۔ کتنے ہی نامدار زمیں میں سماگئے دنیا میں آج ایک بھی ان کا نشاں بنیں جو لاش قبر میں گئی گل سڑکے مٹ گئی اپنے حقیقی روپ میں استخواں نہیں البتہ عدل سے رہا نوشیرواں کا نام گو بزم ہست و نابود میں نوشیرواں نہیں لازم ہے اس سے پہلے کرے کوئی نیک کام جب لوگ یہ کہیں گے جہاں میں فلاں نہیں
وضاحت
حضرت سعدیؒ نے اس حکایت میں جمال و جاہ رکھنے والے لوگوں کو ان کے انجام سے آگاہ کیا ہے۔ انسان کیسا بھی اقتدار حاصل کر لے ایک دن موت اسے قبر کی تاریکیوں میں اتار دیتی ہے۔ البتہ اگر اس نے نیک عمل کیے ہوں تو اسے حیات جاودانی حاصل ہو جاتی ہے۔ جیسے نوشیرواں عادل کو اس کی انصاف پروری کے باعث ناموری حاصل ہوئی کہ قیامت تک اس کا ذکر بھلائی سے کیا جائے گا۔ ٭٭٭
✿ Pakizah Kahaniya ✿