♦ Be-TADBEER BADSHAAH ( SHEIKH SA'ADI KI HIKAYAT - 04)


Kehte hain, pichhle zamane me ek badshaah ne apne mulk ke intizam wa ansaraam ki taraf tawajja deta tha aur na lashkaron ki diljoi aur khabar giri karta tha.

Chunanche nateeja iss ka yeh tha ke reaya bad dil aur sipahi khasta haal the. Zahir hai aisi bateein dushmano se chhupi nahi rehtien.
Badshaah ke ek hareef ne unn halaat se faida uthana chaha aur uske mulk par hamla kar diya. Yeh Badshaah apni fouj aaraasta kar ke muqable par aaya. Pehli hi jhadap me uske sipahiyon ki bohat badi tadaad uska sath chhod gayi. kitne hi sipahi aur Afsar dushman se ja mile.
Saa'di farmate hain ke jin logon ne ghaddari aur be wafai ki thi unn me se ek shakhs mera waaqif tha. Woh mujhe mila to mai ne malamat ki ke aey shakhs, Yeh baat to sharafat aur mardangi ke khilaaf hai ke to uss Badshaah ko chhod kar jiska tu ne namak khaya hai aur jiske saaye me itna arsa itminan aur aman ki zindagi basar ki hai, uss ke dushman se ja mila hai. Uss shakhs ne meri baat sunn kar kaha,
Beshak yeh feal pasandeeda nahi lekin insaaf shart hai. Mai ne aisi haalat me badshaah ka sath choda hai ke mera ghoda bhooka aur zain ka namdah girwi rakha huwa tha. Tum hi batao aisi haalat me mai kya karta.
Jo mehboob ho doulat o izz o Jah kare fouj ko mutmaen badshaah, sipahi agar hoon pareshan haal to chusti se talwar utthe na dhaal
Wazahat::
Saa'di ne iss hekiyaat me Jahan dani ka yeh zareen usool bataya hai ke mulk me aman o Amaan ki fiza paida karne aur azaadi ki hifazat karne ke liye yeh baat zaruri hai ke apne lashkaron ki maali halaat achhi rakhi jaye aur hukmaran apne sipahiyon ko rupay se zyadah Aziz rakhe, Tang dasti aur gurbat aisi buri cheez hai ke intahi neik niyat aur wafa daar logon ko bhi mukhtalif andaaz me sochne par majaboor kar deti hai. ٭٭٭
✿ Pakizah Kahaniya ✿





بے تدبیر بادشاہ

کہتے ہیں، پچھلے زمانے میں ایک بادشاہ نہ اپنے ملک کے انتظام والنصرام کی طرف توجہ دیتا تھا اور نہ لشکریوں کی دلجوئی اور خبر گیری کرتا تھا۔ چنانچہ نتیجہ اس کا یہ تھا کہ رعایا بد دل اور سپاہی خستہ حال تھے۔ ظاہر ہے ایسی باتیں دشمنوں سے چھپی نہیں رہتیں۔ بادشاہ کے ایک حریف نے ان حالات سے فائدہ اٹھانا چاہا اور اس کے ملک پر حملہ کر دیا۔ یہ بادشاہ اپنی فوج آراستہ کر کے مقابلے پر آیا۔ پہلی ہی جھڑپ میں اس کے سپاہیوں کی بہت بڑی تعداد اس کا ساتھ چھوڑ گئی۔ کتنے ہی سپاہی اور افسر دشمن سے جا ملے۔ سعدیؒ فرماتے ہیں کہ جن لوگوں نے غداری اور بے وفائی کی تھی ان میں سے ایک شخص میرا واقف تھا۔ وہ مجھے ملا تو میں نے ملامت کی کہ اے شخص، یہ بات تو شرافت اور مردانگی کے خلاف ہے کہ تو اس بادشاہ کو چھوڑ کر جس کا تو نے نمک کھایا ہے اور جس کے سائے میں اتنا عرصہ اطمینان اور امن کی زندگی بسر کی ہے، اس کے دشمن سے جا ملا ہے۔ اس شخص نے میری بات سن کر کہا، بے شک یہ فعل پسندیدہ نہیں لیکن انصاف شرط ہے۔ میں نے ایسی حالت میں بادشاہ کا ساتھ چھوڑا ہے کہ میرا گھوڑا بھوکا اور زین کا نمدہ گروی رکھا ہوا تھا۔ تم ہی بتاؤ ایسی حالت میں میں کیا کرتا ۔ جو محبوب ہو دولت و عز و جاہ کر ے فوج کو مطمئن بادشاہ سپاہی اگر ہوں پریشان حال تو چستی سے تلوار اٹھے نہ ڈھال

وضاحت

سعدیؒ نے اس حکایت میں جہاندانی کا یہ زرّین اصول بتا یا ہے کہ ملک میں امن و امان کی فضا پیدا کرنے اور آزادی کی حفاطت کرنے کے لیے یہ بات ضروری ہے کہ اپنے لشکریوں کی مالی حالات اچھی رکھی جائے اور حکمران اپنے سپاہیوں کو روپے سے زیادہ عزیز رکھے تنگ دستی اور غربت ایسی بری چیز ہے کہ انتہائی نیک نیت اور وفا دار لوگوں کو بھی مختلف انداز میں سوچنے پر مجبور کر دیتی ہے۔ ٭٭٭
✿ Pakizah Kahaniya ✿



RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...