♦ MAA TERI AZMAT KO SALAAM

Maa teri Azmat ko salam
Jumraat ki subah Umrah ada karne ke baad namaz-e Fajar padh ke Haram paak se apne kamre ki
taraf ja raha tha ke raste me ek budhi aurat ke paas se guzarne laga jo wheel chair par baithi hui thi. Jise uss ka beta Haram ki taraf le ja raha tha abhi Haram taq jaane ke liye thoda faasla baqi tha jab mai uss budhi aurat ke paas se guzarne laga to mai usse apne baithe ko yeh kehte hue suna ke beta roko roko mai paidal chalti hoon kahin tum thak na jao yeh sunte hi mai ne uss aurat ki taraf dekha aur dekh kar ankhein tarr ho gayin kyun ke agar woh chalna bhi chahti to badi mushkil se chal paati uss ki Umar kaafi zyadah thi lekin phir bhi yeh fikar thi ke kahin beta na thak jaye.
Agle din Jumme ki subah tahajjud ada kar ke  Haram me Fajar ki namaz ke intzaar me baitha kaaba ko dekh raha tha ke achanak phir wohi alfaaz mere zehan me aa gaye aur yeh soch kar aankhon se annsoon nikal pade ke ek Maa ko yeh gawara nahi ke uske ke bete ko koi takleef ho .
Aur Allah taala to apni makhlooq se 70 maaon se bhi zyadah pyar karta hai woh kaise apni makhlooq ko takleef me dekh sakta hai. .. .
Dua hai ke Allah pak sab ki maaon ka saya sarr pay rakhe aur jin ki maaen iss duniya me nahi hai unn par Allah taala apni khaas rehmat farmaye.
Aameen Summa Aameen.
khud bhi padhein aur dosaron se bhi zaroor shair karein.
✿ Pakizah Kahaniya ✿


Add caption

B

ﻣﺎﮞ ﺗﯿﺮﯼ ﻋﻈﻤﺖ ﮐﻮ ﺳﻼﻡ
ﺟﻤﺮﺍﺕ ﮐﯽ ﺻﺒﺢ ﻋﻤﺮﮦ ﺍﺩﺍ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﻧﻤﺎﺯِ ﻓﺠﺮ ﭘﮍﮪ ﮐﮯ ﺣﺮﻡ ﭘﺎﮎ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﮐﻤﺮﮮ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﺟﺎ ﺭﯾﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺭﺳﺘﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺑﻮﮌﮬﯽ ﻋﻮﺭﺕ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺳﮯ ﮔﺰﺭﻧﮯ ﻟﮕﺎ ﺟﻮ ﻭﯾﻞ ﭼﯿﺌﺮ ﭘﺮ ﺑﯿﭩﮭﯽ ﮨﻮﺉ ﺗﮭﯽ ۔ ﺟﯿﺴﮯ ﺍُﺱ ﮐﺎ ﺑﯿﭩﺎ ﺣﺮﻡ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﻟﮯ ﺟﺎ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﺍﺑﮭﯽ ﺣﺮﻡ ﺗﮏ ﺟﺎﻧﮯ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺗﮭﻮﮌﺍ ﻓﺎﺻﻠﮧ ﺑﺎﻗﯽ ﺗﮭﺎ ﺟﺐ ﻣﯿﮟ ﺍُﺱ ﺑﻮﮌﮬﯽ ﻋﻮﺭﺕ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﮔﺰﻧﮯ ﻟﮕﺎ ﺗﻮ ﻣﯿﮟ ﺍُﺳﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﯿﭩﮭﮯ ﮐﻮ ﯾﮧ ﮐﮩﺘﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺳﻨﺎ ﮐﮧ ﺑﯿﭩﺎ ﺭﻭﮐﻮ ﺭﻭﮐﻮ ﻣﯿﮟ ﭘﯿﺪﻝ ﭼﻠﺘﯽ ﮨﻮﮞ ﮐﮩﯿﮟ ﺗﻢ ﺗﮭﮏ ﻧﺎ ﺟﺎﺅ ﯾﮧ ﺳﻨﺘﮯ ﮨﯽ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍُﺱ ﻋﻮﺭﺕ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺍﻭﺭ ﺩﯾﮑﮫ ﮐﺮ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺗﺮ ﮨﻮ ﮔﯿﺌﮟ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﺍﮔﺮ ﻭﮦ ﭼﻠﻨﺎ ﺑﮭﯽ ﭼﺎﮨﺘﯽ ﺗﻮ ﺑﮍﯼ ﻣﺸﮑﻞ ﺳﮯ ﭼﻞ ﭘﺎﺗﯽ ﺍُﺱ ﮐﯽ ﻋﻤﺮ ﮐﺎﻓﯽ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﺗﮭﯽ ﻟﯿﮑﻦ ﭘﮭﺮ ﺑﮭﯽ ﯾﮧ ﻓﮑﺮ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﮐﮩﯿﮟ ﺑﯿﭩﺎ ﻧﺎ ﺗﮭﮏ ﺟﺎﺋﮯ
ﺍﮔﻠﮯ ﺩﻥ ﺟﻤﻌﮯ ﮐﯽ ﺻﺒﺢ ﺗﺤﺠﺖ ﺍﺩﺍ ﮐﺮ ﮐﮯ ﺗﻮ ﺣﺮﻡ ﻣﯿﮟ ﻓﺠﺮ ﮐﯽ ﻧﻤﺎﺯ ﮐﮯ ﺍﻧﺘﻈﺎﺭ ﻣﯿﮟ ﺑﯿﭩﮭﺎ ﮐﻌﺒﮧ ﮐﻮ ﺩﯾﮑﮫ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺍﭼﺎﻧﮏ ﭘﮭﺮ ﻭﮨﯽ ﺍﻟﻔﺎﻅ ﻣﯿﺮﮮ ﺫﮨﻦ ﻣﯿﮟ ﺁ ﮔﺌﮯ ﺍﻭﺭ ﯾﮧ ﺳﻮﭺ ﮐﺮ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﺁﻧﺴﻮﮞ ﻧﮑﻞ ﭘﮍﮮ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﻣﺎﮞ ﮐﻮ ﯾﮧ ﮔﻮﺍﺭﮦ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﮧ ﺍُ ﺱ ﮐﮯ ﺑﯿﭩﮯ ﮐﻮ ﮐﻮﺋﯽ ﺗﮑﻠﯿﻒ ﮨﻮ ﺍﻭﺭ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﺗﻮ ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺨﻠﻮﻕ ﺳﮯ 70 ﻣﺎﺅﮞ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﭘﯿﺎﺭ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﻭﮦ ﮐﯿﺴﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺨﻠﻮﻕ ﮐﻮ ﺗﮑﻠﯿﻒ ﻣﯿﮟ ﺩﯾﮑﮫ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﮯ۔۔۔۔
ﺩﻋﺎ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺍﻟﻠﮧ ﭘﺎﮎ ﺳﺐ ﮐﯽ ﻣﺎﺅﮞ ﮐﺎ ﺳﺎﯾﮧ ﺳﺮ ﭘﮧ ﺭﮐﮭﮯ ﺍﻭﺭ ﺟﻦ ﮐﯽ ﻣﺎﺋﯿﮟ ﺍﺱ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﯿﮟ ﺍُﻥ ﭘﺮ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﺍﭘﻨﯽ ﺧﺎﺹ ﺭﺣﻤﺖ ﻓﺮﻣﺎﺋﮯ
ﺁﻣﯿﻦ ﺛﻢ ﺁﻣﯿﻦ ﯾﺎ ﺭﺏ ﺍﻟﻌﺎﻟﻤﯿﻦ۔۔۔
ﺧﻮﺩ ﺑﮭﯽ ﭘﮍﮬﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺩﻭﺳﺮﻭﮞ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﺿﺮﻭﺭ ﺷﺌﺮ ﮐﺮﯾﮟ
ﺍﻭﺭ ﻣﺰﯾﺪ ﺍﭼﮭﯽ ﺍﭖ ﮈﯾﭩﺲ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﮨﻤﯿﺸﮧ ﻭﺯﭦ ﮐﺮﯾﮟ.
✿ Pakizah Kahaniya ✿


RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...