Ek aadmi ne kahi jate hue raste me ek bade deel doll wale haathi ko dekha aur woh yeh dekh kar bohut hairan huwa ke itna bada haathi chhoti si rassi ke sath bandha huwa hai.
Uss aadmi ne hairan ho kar hathi ke maalik se poocha :" Janab. .! Mere liye yeh badi hairat ki baat hai ke aap itna bara haathi itni si rassi ke sath bandh kar itminan se khade hain. agar yeh rassi todd kar bhaag nikla to. .. ..? ? "
Haathi ke maalik ne hanste hue jawab diya;
" Jab hum haathi ko palte hain to pehle din se hi jab woh bohat chhota hota hai, usi rassi se rozana use bandhte hain woh usey todne ke liye zorr lagaata hai lekin chhota aur kamzor hone ki wajah se usey todd nahi paata aur woh yeh soch leta hai ke uss rassi ko kabhi todna uss ke bas me nahi. .! Bas uss din ke baad woh jitna bhi taaqatwar aur bada ho jaye usey yaqeen hota hai ke woh is rassi ke agay be bas hai. lehaza woh saari zindagi usi rassi ki wajah se hamaray ehkamaat ka paband rehta hai. "
Hum me se bohut se log zindagi me kabhi na kabhi khud ko badalne ki koshish zaroor karte hain lekin nakaam ho jane ki soorat me saari zindagi uss hathi ki tarha yahi sochate hue zindagi guzaar dete hain ke khud ko badalna unn ke bas me nahi hai.
Kya aap ne kabhi apni kisi zanjeer ko toda hai. ..?
Agar nahi toda to aaj hi todd dijiye - kyun ke yeh zangeren bohut kamzor hain aur aap bohat taaqatwar hain. apne khauf ko apni taaqat se shikast dijiye aur apni duniya badal daliye. kisi ne kya khoob kaha hai;
"khuda kabhi is qoum ki haalat nahi badalta, jisay aap apni haalat badalne ka khayaal na ho"
Kya aap ne kabhi apni kisi zanjeer ko toda hai. ..?
Agar nahi toda to aaj hi todd dijiye - kyun ke yeh zangeren bohut kamzor hain aur aap bohat taaqatwar hain. apne khauf ko apni taaqat se shikast dijiye aur apni duniya badal daliye. kisi ne kya khoob kaha hai;
"khuda kabhi is qoum ki haalat nahi badalta, jisay aap apni haalat badalne ka khayaal na ho"
Qudrat ke ishaaron ko nazar andaz mat karein yaqeen kijiyej. .! Aap jo chahe, kar saktay hain agar aap uss qabil na hote to qudrat is tehreer ko aap taq kabhi pounchane hi na deti .
zara sochye. .. .! !
Aage kya kya karna hai - aage kaise badhna hai. .. !
zara sochye. .. .! !
Aage kya kya karna hai - aage kaise badhna hai. .. !
کامیابی کا راز
.
روایت ہے کہ ایک آدمی نے کہیں جاتے ہوئے راستے میں ایک بڑے ڈیل ڈول والے ہاتھی کو دیکھا اور وہ یہ دیکھ کر بہت حیران ہوا کہ اتنا بڑا ہاتھی چھوٹی سی رسی کے ساتھ بندھا ہوا ہے۔ اُس آدمی نے حیران ہو کر ہاتھی کے مالک سے پوچھا:
"جناب..! میرے لیے یہ بڑی حیرت کی بات ہے کہ آپ اتنا بڑا ہاتھی اتنی سی رسی کے ساتھ باندھ کر اطمینان سے کھڑے ہیں۔ اگر یہ رسی تڑوا کر بھاگ نکلا تو.....؟؟"
ہاتھی کے مالک نے ہنستے ہوئے جواب دیا:
"جب ہم ہاتھی کو پالتے ہیں تو پہلے دن سے ہی جب وہ بہت چھوٹا ہوتا ہے، اِسی رسی سے روزانہ اسے باندھتے ہیں- وہ اسے توڑنے کیلئے زور لگاتا ہے لیکن چھوٹا اور کمزور ہونے کی وجہ سے اسے توڑ نہیں پاتا اور وہ یہ سوچ لیتا ہے کہ اس رسی کو کبھی توڑنا اس کے بس میں نہیں..! بس اس دن کے بعد وہ جتنا بھی طاقتور اور بڑا ہو جائے اسے یقین ہوتا ہے کہ وہ اس رسی کے آگے بےبس ہے- لہٰذا وہ ساری زندگی اُسی رسی کی وجہ سے ہمارے احکامات کا پابند رہتا ہے۔"
.
ہم میں سے بہت سے لوگ زندگی میں کبھی نہ کبھی خود کو بدلنے کی کوشش ضرور کرتے ہیں لیکن ناکام ہو جانے کی صورت میں ساری زندگی اس ہاتھی کی طرح یہی سوچتے ہوئے زندگی گزار دیتے ہیں کہ خود کو بدلنا ان کے بس میں نہیں ہے۔ کیا آپ نے کبھی اپنی کسی زنجیر کو توڑا ہے...؟ اگر نہیں توڑا تو آج ہی توڑ دیجئےـ کیوں کہ یہ زنجیریں بہت کمزور ہیں اور آپ بہت طاقتور ہیں۔ اپنے خوف کو اپنی طاقت سے شکست دیجئے اور اپنی دنیا بدل ڈالئے۔ کسی نے کیا خوب کہا ہے: "خدا کبھی اس قوم کی حالت نہیں بدلتا، جسے آپ اپنی حالت بدلنے کا خیال نہ ہو-"
.
قدرت کے اشاروں کو نظرانداز مت کریں- یقین کیجئے..! آپ جو چاہیں، کرسکتے ہیں- اگر آپ اس قابل نہ ہوتے تو قدرت اس تحریر کو آپ تک کبھی پہنچنے ہی نہ دیتی۔
ذرا سوچئے....!!
آگے کیا کیا کرنا ہے- آگے کیسے بڑھنا ہے...!