Saat sau saal pahle ek Badshaah ki hukumat me azab moqadma aaya. Do aurten ko darbaar me laya gaya. Dono par ilzam tha keh unhon ne ek nanha bachcha qatl kar diya hai pehli aurat ne arz kiya;
"yeh aurat Meri sauten hai. uss ne mujhe barbaad karne ki khatir mera bachcha qatl kar diya hai. Woh bachcha mere jigar ka tukda tha. aap jante hain ke Sauten ke jalape me kitni aag hoti hai. Jahan panah ! Mai insaaf ki talib hoon."
"Aey aurat ! Kya to sach kahti hai ?" Badshaah ne puchha !
woh chikh kar kahne lagi;
"haan ! Isi dayn ne mera bachcha halak kiya hai aur mai khoon ke badle khoon chahti hoon."
Sultaan ne dosri aurat se puchha;
"tum apni safayi me kya kahti ho ?"
"Mai ne bachche ko qatl nahi kiya. woh beShak uska bachcha tha , magar mai bhi usey dil o jaan se chahti aur pyar karti thi. Yeh aurat itni zalim hai ke mujhe qatl karane ke liye usne apne bachche ko khud hi apne haathon se maar dala"
Sultan soch me padd gaya. Baat drust thi ke koi maa apne jigar ke tukde ko nahi maar sakti dosri taraf uski sauteen jurm se inkaar karti thi , phir mauqa ka koi gawah maujood na tha. Sultaan kuchh soch kar mahal ke kamre me gaya.
Pahli aurat ko bulaya kahne laga;
"Mai tumhara bayan ek shart par sahi maan sakta hoon agar waqayi tum ne apne bachche ko qatl nahi kiya balke maarne wali tumhari sauteen hai, to tum apna dupatta utaar kar barhana sarr darbarion ke darmiyan se guzar jao agar tum aisa kar lo hum tumhein begunah maan lein ge"
pahli aurat chand lamhe khamosh rahi phir boli;
"Agar mere barhana sar hone hi par meri sauteen ko qatl ki saza mil sakti hai aur insaaf ka yahi taqaza hai ‘to huzoor wala mai tayyar hoon"
sultan ne usey wapas bhej kar dosri ko bulaya , kaha;
"Tum kahti ho keh tum ne apni sauteen ka bachcha nahi maara lekin woh kaun si wajah hosakti hai ke ek maa apne jigar ke tukde ko maar de ?"
Huzoor !yeh mujh se khwaah makhwaah hasad karti uss ne khud apne haathon se apne jigar ke tukde ko qatl kiya hai, taake mujhe qatl kara sake. Mai be gunaah hoon." dosri aurat ne ajizi se jawaab diya. Sultaan ne usey bhi kaha hum tumhare bayan ko sach maan sakte hain ’agar tum apna dupattah utaar kar bhare darbaar se guzar jao. Tum ne aisa kiya ‘to hum samjhein ge ke tum beqasoor ho.’’
Jahan panah ! gustakhi muaaf ! aap mujhe khwaah isi waqt yahan qatl karadein, Lekin me yeh zillat bardasht nahi kat sakti". Dosri aurat ne jawaab diya.
Sultaan ne usey bhi wapas bhej diya phir darbaar me aaya.hukm diya keh jallad ko hazir kiya jaye.
Pehli aurat ki taraf isharah karte hue kaha;
"uss ne apne bachche ko qatl kya hai. Usey humare samne itna pita jaye keh yeh apna jurm maan le."
Abhi chand kode hi pade the keh chikh uthi,
"Alam panah ! raham ! Raham kijye, Mai hasad ke aag me andhi hogayi thi. Sauten ko kisi tarah khatm karna chahti thi. Isliye apne hi haathon se apne jigar ke tukde ko qatl kar diya.
ﺳﺎﺕ ﺳﻮ ﺳﺎﻝ ﭘﮩﻠﮯ ﺍﯾﮏ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﯽﺣﮑﻮﻣﺖ ﻣﯿﮟ ﻋﺠﯿﺐ ﻣﻘﺪﻣﮧ ﺁﯾﺎ۔ﺩﻭ ﻋﻮﺭﺗﻮﮞ ﮐﻮ ﺩﺭﺑﺎﺭﻣﯿﮟ ﻻﯾﺎ ﮔﯿﺎ۔ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﭘﺮ ﺍﻟﺰﺍﻡﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺍﻧﮭﻮﮞ ﻧﮯ ﺍﯾﮏ ﻧﻨﮭﺎ ﺑﭽﮧ ﻗﺘﻞ ﮐﺮ ﺩﯾﺎﮨﮯﭘﮩﻠﯽ ﻋﻮﺭﺕ ﻧﮯ ﻋﺮﺽ ﮐﯿﺎ : ﯾﮧ ﻋﻮﺭﺕ ﻣﯿﺮﯼ ﺳﻮﮐﻦﮨﮯ۔ ﺍﺱ ﻧﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﺑﺮﺑﺎﺩ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﯽ ﺧﺎﻃﺮ ﻣﯿﺮﺍﺑﭽﮧﻗﺘﻞ ﮐﺮﺩﯾﺎ ﮨﮯ۔ﻭﮦ ﺑﭽﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﺟﮕﺮ ﮐﺎ ﭨﮑﮍﺍ ﺗﮭﺎ۔ ﺁﭖ ﺟﺎﻧﺘﮯﮨﯿﮟ ﮐﮧﺳﻮﮐﻦ ﮐﮯ ﺟﻼﭘﮯ ﻣﯿﮟ ﮐﺘﻨﯽ ﺁﮒ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ۔ﺟﮩﺎﮞ ﭘﻨﺎﮦ ! ﻣﯿﮟ ﺍﻧﺼﺎﻑ ﮐﯽ ﻃﺎﻟﺐ ﮨﻮﮞ ’ ﺍﮮ ﻋﻮﺭﺕ ! ﮐﯿﺎﺗﻮ ﺳﭻ ﮐﮩﺘﯽ ﮨﮯ ? ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﻧﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ ! ﻭﮦ ﭼﯿﺦ ﮐﺮﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﯽ ’’ ﮨﺎﮞ ! ﺍﺳﯽ ﮈﺍﺋﻦ ﻧﮯ ﻣﯿﺮﺍﺑﭽﮧﮨﻼﮎ ﮐﯿﺎﮨﮯ ﺍﻭﺭﻣﯿﮟ ﺧﻮﻥ ﮐﮯ ﺑﺪﻟﮯ ﺧﻮﻥ ﭼﺎﮨﺘﯽ ﮨﻮﮞ۔ﺳﻠﻄﺎﻥ ﻧﮯ ﺩﻭﺳﺮﯼ ﻋﻮﺭﺕ ﺳﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ ’’ ﺗﻢﺍﭘﻨﯽﺻﻔﺎﺋﯽ ﻣﯿﮟ ﮐﯿﺎﮐﮩﺘﯽ ﮨﻮ؟ ’‘‘ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺑﭽﮯ ﮐﻮ ﻗﺘﻞ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﯿﺎ۔ﻭﮦ ﺑﮯ ﺷﮏ ﺍﺳﮑﺎﺑﭽﮧ ﺗﮭﺎ ‘ ﻣﮕﺮﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺍُﺳﮯ ﺩﻝ ﻭ ﺟﺎﻥ ﺳﮯ ﭼﺎﮨﺘﯽﺍﻭﺭ ﭘﯿﺎﺭﮐﺮﺗﯽ ﺗﮭﯽ۔ﯾﮧ ﻋﻮﺭﺕ ﺍﺗﻨﯽ ﻇﺎﻟﻢ ﮨﮯ ﮐﮧﻣﺠﮭﮯ ﻗﺘﻞ ﮐﺮﺍﻧﮯ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺍﺳﻨﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﭽﮯ ﮐﻮﺧﻮﺩﮨﯽ ﺍﭘﻨﮯ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﺳﮯﻣﺎﺭ ﮈﺍﻻﺳﻠﻄﺎﻥ ﺳﻮﭺ ﻣﯿﮟ ﭘﮍ ﮔﯿﺎ۔ﺑﺎﺕ ﺩﺭﺳﺖ ﺗﮭﯽ ﮐﮧﮐﻮﺋﯽ ﻣﺎﮞ ﺍﭘﻨﮯ ﺟﮕﺮﮐﮯ ﭨﮑﮍﮮ ﮐﻮﻧﮩﯿﮟ ﻣﺎﺭ ﺳﮑﺘﯽ۔ ﺩﻭﺳﺮﯼ ﻃﺮﻑ ﺍﺳﮑﯽ ﺳﻮﮐﻦ ﺟﺮﻡ ﺳﮯ ﺍﻧﮑﺎﺭﮐﺮﺗﯽﺗﮭﯽ , ﭘﮭ ﺮﻣﻮﻗﻊ ﮐﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﮔﻮﺍﮦ ﻣﻮﺟﻮﺩﻧﮧ ﺗﮭﺎ۔ﺳﻠﻄﺎﻥ ﮐﭽﮫ ﺳﻮﭺ ﮐﺮﻣﺤﻞ ﮐﮯ ﮐﻤﺮﮮ ﻣﯿﮟ ﮔﯿﺎ۔ﭘﮩﻠﯽ ﻋﻮﺭﺕ ﮐﻮﺑﻼﯾﺎﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﺎ ’: ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮭﺎﺭﺍﺑﯿﺎﻥ ﺍﯾﮏ ﺷﺮﻁ ﭘﺮﺻﺤﯿﺢ ﻣﺎﻥ ﺳﮑﺘﺎﮨﻮﮞ۔ ﺍﮔﺮ ﻭﺍﻗﻌﯽ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﭽﮯ ﮐﻮ ﻗﺘﻞ ﻧﮩﯿﮟﮐﯿﺎﺑﻠﮑﮧ ﻣﺎﺭﻧﮯ ﻭﺍﻟﯽ ﺗﻤﮭﺎﺭﯼ ﺳﻮﮐﻦ ﮨﮯ،ﺗﻮﺗﻢﺍﭘﻨﺎﺩﻭﭘﭩﮧّ ﺍُﺗﺎﺭﮐﺮ ﺑﺮﮨﻨﮧ ﺳﺮﺩﺭﺑﺎﺭﯾﻮﮞ ﮐﮯ ﺩﺭﻣﯿﺎﻥ ﺳﮯﮔﺰﺭﺟﺎﺋﻮﺍﮔﺮ ﺗﻢ ﺍﯾﺴﺎ ﮐﺮﻟﻮﮨﻢ ﺗﻤﮭﯿﮟ ﺑﮯ ﮔﻨﺎﮦ ﻣﺎﻥ ﻟﯿﮟ ﮔﮯ۔ ‘‘ ﭘﮩﻠﯽﻋﻮﺭﺕ ﭼﻨﺪﻟﻤﺤﮯ ﺧﺎﻣﻮﺵ ﺭﮨﯽ ﭘﮭﺮﺑﻮﻟﯽ ’’ ﺍﮔﺮﻣﯿﺮﮮﺑﺮﮨﻨﮧ ﺳﺮﮨﻮﻧﮯ ﮨﯽ ﭘﺮﻣﯿﺮﯼ ﺳﻮﮐﻦ ﮐﻮﻗﺘﻞ ﮐﯽﺳﺰﺍﻣﻞ ﺳﮑﺘﯽ ﮨﮯ ﺍﻭﺭﺍﻧﺼﺎﻑ ﮐﺎ ﯾﮩﯽ ﺗﻘﺎﺿﺎﮨﮯ ‘ ﺗﻮﺣﻀﻮﺭ ﻭﺍﻻﻣﯿﮟ ﺗﯿﺎﺭ ﮨﻮﮞ۔ ‘‘ ﺳﻠﻄﺎﻥ ﻧﮯ ﺍﺳﮯ ﻭﺍﭘﺲ ﺑﮭﯿﺞ ﮐﺮ ﺩﻭﺳﺮﯼ ﮐﻮﺑﻼﯾﺎ , ﮐﮩﺎ ’’ ﺗﻢ ﮐﮩﺘﯽ ﮨﻮ ﮐﮧ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺳﻮﮐﻦ ﮐﺎﺑﭽﮧﻧﮩﯿﮟ ﻣﺎﺭﺍ۔ﻟﯿﮑﻦ ﻭﮦ ﮐﻮﻥ ﺳﯽ ﻭﺟﮧ ﮨﻮ ﺳﮑﺘﯽ ﮨﮯ ﮐﮧﺍﯾﮏ ﻣﺎﮞ ﺍﭘﻨﮯ ﺟﮕﺮﮐﮯ ﭨﮑﮍﮮ ﮐﻮﻣﺎﺭﺩﮮ؟ ’’‘‘ ﺣﻀﻮﺭ ! ﯾﮧ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﺧﻮﺍﮦ ﻣﺨﻮﺍﮦ ﺣﺴﺪﮐﺮﺗﯽﺍﺱ ﻧﮯ ﺧﻮﺩ ﺍﭘﻨﮯ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺟﮕﺮ ﮐﮯ ﭨﮑﮍﮮﮐﻮ ﻗﺘﻞ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ،ﺗﺎﮐﮧ ﻣﺠﮭﮯ ﻗﺘﻞ ﮐﺮﺍ ﺳﮑﮯ۔ﻣﯿﮟ ﺑﮯﮔﻨﺎﮦ ﮨﻮﮞ۔ ‘ ﺩﻭﺳﺮﯼ ﻋﻮﺭﺕ ﻧﮯ ﻋﺎﺟﺰﯼ ﺳﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﺎﺳﻠﻄﺎﻥ ﻧﮯ ﺍﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﮐﮩﺎﮨﻢ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺑﯿﺎﻥ ﮐﻮﺳﭻﻣﺎﻥ ﺳﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ ’ ﺍﮔﺮﺗﻢ ﺍﭘﻨﺎﺩﻭﭘﭩﮧ ﺍُﺗﺎﺭﮐﺮﺑﮭﺮﮮ ﺩﺭﺑﺎﺭﺳﮯ ﮔﺰﺭ ﺟﺎﺋﻮ۔ﺗﻢ ﻧﮯ ﺍﯾﺴﺎﮐﯿﺎ ‘ ﺗﻮﮨﻢ ﺳﻤﺠﮭﯿﮟ ﮔﮯ ﮐﮧﺗﻢ ﺑﮯ ﻗﺼﻮﺭ ﮨﻮ۔ ’’ ﺟﮩﺎﮞ ﭘﻨﺎﮦ ! ﮔﺴﺘﺎﺧﯽ ﻣﻌﺎﻑ ! ﺁﭖ ﻣﺠﮭﮯ ﺧﻮﺍﮦ ﺍﺳﯽﻭﻗﺖ ﯾﮩﺎﮞ ﻗﺘﻞ ﮐﺮﺍﺩﯾﮟ،ﻟﯿﮑﻦ ﻣﯿﮟ ﯾﮧ ﺫﻟﺖ ﺑﺮﺩﺍﺷﺖﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺳﮑﺘﯽ۔ ‘‘ ﺩﻭﺳﺮﯼ ﻋﻮﺭﺕ ﻧﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﺎ۔ ﺳﻠﻄﺎﻥ ﻧﮯﺍﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﻭﺍﭘﺲ ﺑﮭﯿﺞ ﺩﯾﺎ ﭘﮭﺮﺩﺭﺑﺎﺭﻣﯿﮟ ﺁﯾﺎ۔ ﺣﮑﻢ ﺩﯾﺎ ﮐﮧ ﺟﻼﺩ ﮐﻮ ﺣﺎﺿﺮ ﮐﯿﺎ ﺟﺎﺋﮯ۔ﭘﮩﻠﯽ ﻋﻮﺭﺕ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﺍﺷﺎﺭﮦ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﮐﮩﺎ ’’: ﺍﺱ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﭽﮯ ﮐﻮ ﻗﺘﻞ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ۔ﺍﺳﮯ ﮨﻤﺎﺭﮮﺳﺎﻣﻨﮯ ﺍﺗﻨﺎ ﭘﯿﭩﺎﺟﺎﺋﮯ ﮐﮧ ﯾﮧ ﺍﭘﻨﺎﺟﺮﻡ ﻣﺎﻥ ﻟﮯ۔ ‘‘ ﺍﺑﮭﯽ ﭼﻨﺪﮐﻮﮌﮮ ﮨﯽ ﭘﮍﮮ ﺗﮭﮯ ﮐﮧ ﭼﯿﺦ ﺍﭨﮭﯽ ’’: ﻋﺎﻟﻢ ﭘﻨﺎﮦ ! ﺭﺣﻢ ! ﺭﺣﻢ ﮐﯿﺠﯿﮯ۔ ‘‘ ﻣﯿﮟ ﺣﺴﺪﮐﯽ ﺁﮒ ﻣﯿﮟ ﺍﻧﺪﮬﯽ ﮨﻮ ﮔﺌﯽ ﺗﮭﯽ۔ﺳﻮﮐﻦ ﮐﻮ ﮐﺴﯽ ﻃﺮﺡ ﺧﺘﻢ ﮐﺮﻧﺎﭼﺎﮨﺘﯽ ﺗﮭﯽ۔ﺍﺱﻟﯿﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﮨﯽ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﮯﺟﮕﺮﮐﮯ ﭨﮑﮍﮮ ﮐﻮﻗﺘﻞﮐﺮﺩﯾﺎ