♦ ZINDAGI KI HAQIQAT ( Ek kahani)

Kehte hain kisi jagah ek dehati ne kaafi bhedein paal rakhi theen. Woh unn ki bohat achhe se dekh bhaal karta, charah dalta, pani dalta. sardiyoon mein sardi se
, aur garmiyon mein garmi se bachata. Lekin woh yeh sab be maqsad nahi karta tha. Garmiyon me woh unn sab bhedon ki waqt waqt se wool utarta jise beech kar woh kaafi munafe kamata aur agar kabhi uss ke ghar zyadah mehman ate to woh unn ki khatir madarat bhi bhedd ke gosht se hi karta.
Lekin uss ka tareeqa hota tha ke woh kabhi bhi kisi bhedd ki wool utaarta ya kisi ko zibah karta to apni haweli se zara door ja kar karta taake doosri bheddon ko iss ka ilm na ho.
Agarche woh doosri bheddon ke samne na to wool utarta aur na hi zibah karta tha, Lekin jaise hi kabhi malik ek bhedd ko kaan se pakar kar bahar lejata to baqi bhedein Duayein mangte  ke
"Ya ALLAH! Humare saathi zindah wapas aa jaye. .! ".
Aur jab woh bhedd apni wool katarwane ke baad khush qismati se zindah wapas aa jati to sab bahut khush hotein ke;
"chalo!  Wool hi utari hai zibah to nahi kiya. .! ".
Lekin jab kabhi malik kisi bhedd ko le kar jata aur woh kaafi der taq woh wapas nah aati to baqi bheddein khud hi samajh jatein ke woh zibah ho gayi hai, phir kuch der ke liye sab ghamgeen aur afsurdah ho jatein, lekin phir aahista aahista bhook, pyaas mitane ke chakkar me sab kuch bhool jatein. Halaank woh sab janti thein ke yeh silsila kabhi rukne wala nahi hai lekin phir bhi woh pall bhar ke liye saare gham bhula kar charah khane me masroof ho jatein. aur yeh silsila aise hi chalta rehta .
Doston. .! Agar ghaur karein to hum insanon ki zindagi bhi inn bheddon se mukhtalif nahi hai. Agarche humein maloom hai ke mout barhaq hai, aur ek din waqai mar jana hai. lekin phir bhi agar kabhi khush qismati se hum me se koi kisi badde haadse ya bemari se bach jata hai to hum sab khush ho jate hain, ke chalo jaan to bach gayi. aur agar kabhi khuda na khasta koi chal basta hai to hum sab uss ke gham me ghadi bhar ke liye ghamgeen hote hain, ansoo bahate hain. lekin phir bheddon ki tarha apni roz marrah zindagi ki masrofiyat me sab kuch bhula kar phir se dunyaidaari me mashgool ho jate hain. aur yeh silsila aise hi chalta rehta hai.
Allah hum sab ko mout ki ghadi ko yaad rakhne aur iss ke liye kama huqqa tayari karne ki toufeq ataa farmaye. .
Ameeen
✿ Pakizah Kahaniya ✿






کہتے ہیں کسی جگہ ایک دیہاتی نے کافی بھیڑیں پال رکھی تھیں۔ وہ اُن کی بہت اچھے سے نگہداشت کرتا، چارہ ڈالتا، پانی ڈالتا۔ سردیوں میں سردی سے، اور گرمیوں میں گرمی سے بچاتا۔ لیکن وہ یہ سب بے مقصد نہیں کرتا تھا۔ گرمیوں میں وہ اُن سب بھیڑوں کی وقفے وقفے سے اُون اتارتا جسے بیچ کر وہ کافی منافع کماتا اور اگر کبھی اُس کے گھر زیادہ مہمان آتے تو وہ اُن کی خاطر مدارت بھی بھیڑ کے گوشت سے ہی کرتا۔ لیکن اُس کا طریقہ ہوتا تھا کہ وہ کبھی بھی کسی بھیڑ کی اُون اُتارتا یا کسی کو ذبح کرتا تو اپنی حویلی سے ذرا دور جا کر کرتا تاکہ دوسری بھیڑوں کو اِس کا علم نہ ہو۔
اگرچہ وہ دوسری بھیڑوں کے سامنے نہ تو اُون اتارتا اور نہ ہی ذبح کرتا تھا، لیکن جیسے ہی کبھی مالک ایک بھیڑ کو کان سے پکڑ کر باہر لیجاتا تو باقی بھیڑیں دُعائیں مانگنتیں کہ "یااللہ! اُن کی ساتھی زندہ واپس آ جائے۔۔!"۔ اور جب وہ بھیڑ اپنی اُون اتروانے کے بعد خوش قسمتی سے زندہ واپس آ جاتی تو سب بہت خوش ہوتیں کہ "چلو! اُون ہی اتاری ہے ذبح تو نہیں کیا۔۔!"۔ لیکن جب کبھی مالک کسی بھیڑ کو لے کر جاتا اور وہ کافی دیر تک وہ واپس نہ آتی تو باقی بھیڑیں خود ہی سمجھ جاتیں کہ وہ ذبح ہو گئی ہے، پھر کچھ دیر کے لیے سب غمگین اور افسردہ ہو جاتیں، لیکن پھر آہستہ آہستہ بھوک، پیاس مٹانے کے چکر میں سب کچھ بھول جاتیں۔ حالانکہ وہ سب جانتی تھیں کہ یہ سلسلہ کبھی رکنے والا نہیں ہے لیکن پھر بھی وہ پل بھر کے لیے سارے غم بھلا کر چارہ کھانے میں مصروف ہو جاتیں۔ اور یہ سلسلہ ایسے ہی چلتا رہتا۔
دوستوں..! اگر غور کریں تو ہم انسانوں کی زندگی بھی اِن بھیڑوں سے مختلف نہیں ہے۔ اگرچہ ہمیں معلوم ہے کہ موت برحق ہے، اور ایک دن واقعی مر جانا ہے۔ لیکن پھر بھی اگر کبھی خوش قسمتی سے ہم میں سے کوئی کسی بڑے حادثے یا بیماری سے بچ جاتا ہے تو ہم سب خوش ہو جاتے ہیں، کہ چلو جان تو بچ گئی۔ اور اگر کبھی خدانخواستہ کوئی چل بستا ہے تو ہم سب اُس کے غم میں گھڑی بھر کے لیے غمگین ہوتے ہیں، آنسو بہاتے ہیں۔ لیکن پھر بھیڑوں کی طرح اپنی روزمرہ زندگی کی مصروفیات میں سب کچھ بھلا کر پھر سے دنیاداری میں مشغول ہو جاتے ہیں۔ اور یہ سلسلہ ایسے ہی چلتا رہتا ہے۔
اللہ ہم سب کو موت کی گھڑی کو یاد رکھنے اور اِس کے لیے کما حقہ تیاری کرنے کی توفیق عطا فرمائے۔۔ آمین
✿ Pakizah Kahaniya ✿



RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...