Ek din ek Maroof company ka ek mulazim apne daftar pouncha to uski nigah daftar ke gate par lagey hue ek notice par padi jis par likha tha.
"Jo shakhs company me aap ki taraqqi aur behtari me rukawat tha. kal raat uska intqaal hogaya aap se guzarish hai ke uski aakhri rasomaat aur janaze ke liye conference hall me tashreef le ayen jahan par uski maiyat rakhi hui hai".
yeh parhte hi woh udaas hogaya ke uska koi saathi hamesha ke liye uss se judda hogaya lekin chand lamhoon baad uss par tajassus ghalib aa gaya ke aakhir woh shakhs koun tha jo uski taraqqi ki raah me rukawat tha iss tajassus ko sath liye woh jaldi se conference hall me ponhcha to wahan uske daftar ke baqi saare saathi bhi isi notice ko padh kar aeye hue the aur sab hairan the ke aakhir yeh shakhs koin tha .
Conference hall ke bahar maiyat ko dekhne ke liye logon ka iss qadar hajoom hogaya ke security guard ko yeh hukum jari karna pada ke sab log ek ek kar ke andar jayen aur maiyat ka chehra dekh len .
Sab mulazmeen ek ek karke andar jane lage jo bhi andar jata aur maiyat ke chehra se kafan hata kar uss ka chehra daikhta to ek lamhe ke liye hairat zada aur gang ho kar reh jata aur uski zubaan goya taalu se chipak jati yun lagta ke goya kisi ne uskay dil par gehri zarb lagai ho .
Apni baari ane par woh shakhs bhi andar gaya aur maiyat ke chehra se kapda hata kar dekha to uska haal bhi dosaron jaissa hi huwa .
kafan ke andar ek bara sa aaina rakha huwa hai aur uske ek kone par likha tha .
" Duniya me ek hi shakhs hai jo aap ki salahyton ko mehdood karke aap ki taraqqi me rukawat bann sakta hai aur woh aap khud hain."
Yaad rakhiye aap ki zindagi me tabdeeli aap ki company tabdeel hone se aap ka boss tabdeel hone se aap ke dost ahbaab tabdeel hone se nahi aati .
Aap ki zindagi me tabdeeli tab aati hai jab aap apni salahiyaton par aitbaar karna shuru kar dete hain, namumkin ko mumkin aur mushkilaat ko challenge samajte hain apna tajzia karen. apne aap ko aazmayen. mushkilaat, nuqsanaat aur na mumkinaat se ghabraana chodf dein aur ek faateh ki tarha jiyen .
Aap ki zindagi me tabdeeli tab aati hai jab aap apni salahiyaton par aitbaar karna shuru kar dete hain, namumkin ko mumkin aur mushkilaat ko challenge samajte hain apna tajzia karen. apne aap ko aazmayen. mushkilaat, nuqsanaat aur na mumkinaat se ghabraana chodf dein aur ek faateh ki tarha jiyen .
✿ Pakizah Kahaniya ✿
ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﺍﯾﮏ ﻣﻌﺮﻭﻑ ﮐﻤﭙﻨﯽ ﮐﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﻼﺯﻡ ﺍﭘﻨﮯ ﺩﻓﺘﺮ ﭘﮩﻨﭽﺎ ﺗﻮ ﺍﺳﮑﯽ ﻧﮕﺎﮦ ﺩﻓﺘﺮ ﮐﮯ ﮔﯿﭧ ﭘﺮ ﻟﮕﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺍﯾﮏ ﻧﻮﭨﺲ ﭘﺮ ﭘﮍﯼ ﺟﺲ ﭘﺮ ﻟﮑﮭﺎ ﺗﮭﺎ۔
"ﺟﻮ ﺷﺨﺺ ﮐﻤﭙﻨﯽ ﻣﯿﮟ ﺁﭖ ﮐﯽ ﺗﺮﻗﯽ ﺍﻭﺭ ﺑﮩﺘﺮﯼ ﻣﯿﮟ ﺭﮐﺎﻭﭦ ﺗﮭﺎ۔ ﮐﻞ ﺭﺍﺕ ﺍﺳﮑﺎ ﺍﻧﺘﻘﺎﻝ ﮨﻮﮔﯿﺎ ﺁﭖ ﺳﮯ ﮔﺰﺍﺭﺵ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺁﺧﺮﯼ ﺭﺳﻮﻣﺎﺕ ﺍﻭﺭ ﺟﻨﺎﺯﮮ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﮐﺎﻧﻔﺮﻧﺲ ﮨﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺗﺸﺮﯾﻒ ﻟﮯ ﺁﺋﯿﮟ ﺟﮩﺎﮞ ﭘﺮ ﺍﺳﮑﯽ ﻣﯿﺖ ﺭﮐﮭﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﮨﮯ"۔
ﯾﮧ ﭘﮍﮬﺘﮯ ﮨﯽ ﻭﮦ ﺍﺩﺍﺱ ﮨﻮﮔﯿﺎ ﮐﮧ ﺍﺳﮑﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﺳﺎﺗﮭﯽ ﮨﻤﯿﺸﮧ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺍﺱ ﺳﮯ ﺟﺪﺍ ﮨﻮﮔﯿﺎ ﻟﯿﮑﻦ ﭼﻨﺪ ﻟﻤﺤﻮﮞ ﺑﻌﺪ ﺍﺱ ﭘﺮ ﺗﺠﺴﺲ ﻏﺎﻟﺐ ﺁ ﮔﯿﺎ ﮐﮧ ﺁﺧﺮﻭﮦ ﺷﺨﺺ ﮐﻮﻥ ﺗﮭﺎ ﺟﻮ ﺍﺳﮑﯽ ﺗﺮﻗﯽ ﮐﯽ ﺭﺍﮦ ﻣﯿﮟ ﺭﮐﺎﻭﭦ ﺗﮭﺎ ﺍﺱ ﺗﺠﺴﺲ ﮐﻮ ﺳﺎﺗﮫ ﻟﯿﮯ ﻭﮦ ﺟﻠﺪﯼ ﺳﮯ ﮐﺎﻧﻔﺮﺱ ﮨﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﭘﮩﻨﭽﺎ ﺗﻮ ﻭﮨﺎﮞ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺩﻓﺘﺮ ﮐﮯ ﺑﺎﻗﯽ ﺳﺎﺭﮮ ﺳﺎﺗﮭﯽ ﺑﮭﯽ ﺍﺳﯽ ﻧﻮﭨﺲ ﮐﻮ ﭘﮍﮪ ﮐﺮ ﺁﺋﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺗﮭﮯ ﺍﻭﺭ ﺳﺐ ﺣﯿﺮﺍﻥ ﺗﮭﮯ ﮐﮧ ﺁﺧﺮ ﯾﮧ ﺷﺨﺺ ﮐﻮﻥ ﺗﮭﺎ۔ ﮐﺎﻧﻔﺮﺱ ﮨﺎﻝ ﮐﮯ ﺑﺎﮨﺮ ﻣﯿﺖ ﮐﻮ ﺩﯾﮑﮭﻨﮯ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﮐﺎ ﺍﺱ ﻗﺪﺭ ﮨﺠﻮﻡ ﮨﻮﮔﯿﺎ ﮐﮧ ﺳﮑﯿﻮﺭﭨﯽ ﮔﺎﺭﮈ ﮐﻮ ﯾﮧ ﺣﮑﻢ ﺟﺎﺭﯼ ﮐﺮﻧﺎ ﭘﮍﺍ ﮐﮧ ﺳﺐ ﻟﻮﮒ ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﮐﺮﮐﮯ ﺍﻧﺪﺭ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺖ ﮐﺎ ﭼﮩﺮﮦ ﺩﯾﮑﮫ ﻟﯿﮟ۔ ﺳﺐ ﻣﻼﺯﻣﯿﻦ ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﮐﺮﮐﮯ ﺍﻧﺪﺭ ﺟﺎﻧﮯ ﻟﮕﮯ ﺟﻮ ﺑﮭﯽ ﺍﻧﺪﺭ ﺟﺎﺗﺎ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺖ ﮐﮯ ﭼﮩﺮﮮ ﺳﮯ ﮐﻔﻦ ﮨﭩﺎ ﮐﺮ ﺍﺱ ﮐﺎ ﭼﮩﺮﮦ ﺩﯾﮑﮭﺘﺎ ﺗﻮ ﺍﯾﮏ ﻟﻤﺤﮯ ﮐﯽ ﻟﯿﮯ ﺣﯿﺮﺕ ﺯﺩﮦ ﺍﻭﺭ ﮔﻨﮓ ﮨﻮ ﮐﺮ ﺭﮦ ﺟﺎﺗﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﺳﮑﯽ ﺯﺑﺎﻥ ﮔﻮﯾﺎ ﺗﺎﻟﻮ ﺳﮯ ﭼﭙﮏ ﺟﺎﺗﯽ ﯾﻮﮞ ﻟﮕﺘﺎ ﮐﮧ ﮔﻮﯾﺎ ﮐﺴﯽ ﻧﮯ ﺍﺳﮑﮯ ﺩﻝ ﭘﺮ ﮔﮩﺮﯼ ﺿﺮﺏ ﻟﮕﺎﺋﯽ ﮨﻮ۔ ﺍﭘﻨﯽ ﺑﺎﺭﯼ ﺁﻧﮯ ﭘﺮ ﻭﮦ ﺷﺨﺺ ﺑﮭﯽ ﺍﻧﺪﺭ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺖ ﮐﮯ ﭼﮩﺮﮮ ﺳﮯ ﮐﭙﮍﺍ ﮨﭩﺎ ﮐﺮ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﻮ ﺍﺱ ﮐﺎ ﺣﺎﻝ ﺑﮭﯽ ﺩﻭﺳﺮﻭﮞ ﺟﯿﺴﺎ ﮨﯽ ﮨﻮﺍ . ﮐﻔﻦ ﮐﮯ ﺍﻧﺪﺭ ﺍﯾﮏ ﺑﮍﺍ ﺳﺎ ﺁﺋﯿﻨﮧ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﻮﺍ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺍﺳﮑﮯ ﺍﯾﮏ ﮐﻮﻧﮯ ﭘﺮ ﻟﮑﮭﺎ ﺗﮭﺎ۔ " ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﮨﯽ ﺷﺨﺺ ﮨﮯ ﺟﻮ ﺁﭖ ﮐﯽ ﺻﻼﺣﺘﯿﻮﮞ ﮐﻮ ﻣﺤﺪﻭﺩ ﮐﺮﮐﮯ ﺁﭖ ﮐﯽ ﺗﺮﻗﯽ ﻣﯿﮟ ﺭﮐﺎﻭﭦ ﺑﻦ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﺁﭖ ﺧﻮﺩ ﮨﯿﮟ۔ " ﯾﺎﺩ ﺭﮐﮭﯿﮱ ﺁﭖ ﮐﯽ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﻣﯿﮟ ﺗﺒﺪﯾﻠﯽ ﺁﭖ ﮐﯽ ﮐﻤﭙﻨﯽ ﺗﺒﺪﯾﻞ ﮨﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﺁﭖ ﮐﺎ ﺑﺎﺱ ﺗﺒﺪﯾﻞ ﮨﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﺁﭖ ﮐﮯ ﺩﻭﺳﺖ ﺍﺣﺒﺎﺏ ﺗﺒﺪﯾﻞ ﮨﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﯽ۔ ﺁﭖ ﮐﯽ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﻣﯿﮟ ﺗﺒﺪﯾﻠﯽ ﺗﺐ ﺁﺗﯽ ﮨﮯ ﺟﺐ ﺁﭖ ﺍﭘﻨﯽ ﺻﻼﺣﯿﺘﻮﮞ ﭘﺮ ﺍﻋﺘﺒﺎﺭ ﮐﺮﻧﺎ ﺷﺮﻭﻉ ﮐﺮ ﺩﯾﺘﮯ ﮨﯿﮟ ، ﻧﺎﻣﻤﮑﻦ ﮐﻮ ﻣﻤﮑﻦ ﺍﻭﺭ ﻣﺸﮑﻼﺕ ﮐﻮ ﭼﯿﻠﻨﺞ ﺳﻤﺠﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﭘﻨﺎ ﺗﺠﺰﯾﮧ ﮐﺮﯾﮟ ۔ ﺍﭘﻨﮯ ﺁﭖ ﮐﻮ ﺁﺯﻣﺎﺋﯿﮟ ۔ ﻣﺸﮑﻼﺕ ، ﻧﻘﺼﺎﻧﺎﺕ ﺍﻭﺭ ﻧﺎ ﻣﻤﮑﻨﺎﺕ ﺳﮯ ﮔﮭﺒﺮﺍﻧﺎ ﭼﮭﻮﮌ ﺩﯾﮟ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﮏ ﻓﺎﺗﺢ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﺟﯿﺌﯿﮟ