Ek Shahanshah jab duniya ko fatah karne ke irade se nikla to uss ka guzar Africa ki ek aisi bastii se hua jo duniya ke hungamon se door aur
badi pursukoon thi. Yahan ke bashindon ne jung ka naam tak na suna tha aur woh faateh awar maftoh ke maiene se na aashna the bastii ke bashinde Shahanshah Azam ko mehman ki tarha sath le kar apne sardar ki jhonpadi me puhanche. Sardar ne uss ka badi garam joshi se istaqbaal kiya aur phalon se Shahanshah ki tawaza ki .
Kuch der me do qabaili fareeq mudai (Faryadi) aur muddalaih (Mulzim) ki hesiyat se andar daakhil hue. sardar ki yeh jhonpadi adalat ka kaam bhi deti thi .
Mudai ne kaha,
"Mai ne is shakhs se zameen ka ek tukda khareeda tha. Hal chalane ke douran uss me se khazana baraamad hua mai ne yeh khazana iss shakhs ko dena chaha lekin yeh nahi laita. Mai yeh kehta hoon ke yeh khazana mera nahi hai kyun ke me ne iss se sirf zameen kharidi thi. aur usey sirf zameen ki qeemat ada ki thi, khazane ki nahin“

Muddalaih ne jawab me kaha,
"Mera zameer abhi zindah hai. Mai yeh khazana iss se kis tarha le sakta hoon ?, Mai ne to iss ke haath zameen farokht kar di thi. ab is me se jo kuch bhi baraamad ho yeh iss ki qismat hai aur yahi iss ka malik hai, Mera ab is zameen aur is me mojood ashya se koi talluq nahi hai".

sardar ne ghhor karne ke baad Mudai se daryaft kiya .
"Tumhara koi ladka hai? "
"Tumhara koi ladka hai? "
"han hai! "
Phir Muddalaih se poocha .
"aur tumhari koi ladki bhi hai? "
"aur tumhari koi ladki bhi hai? "
"ji haan. .. . " muddalaih ne bhi asbat me gardan hila di .
"to tum unn dono ki shaadi kar ke yeh khazana unke hawale kardo."
Iss faisle ne Shahanshah ko hairan kardiya. woh fikar mand hokar kuch sochne laga.
Sardar ne darte hue Shahanshah se daryaft kiya,
"kyon kiya mere faisle se aap mutmaen nahi hain?"
"kyon kiya mere faisle se aap mutmaen nahi hain?"
"Nahin aisi baat nahi hai." Shahanshah ne jawab diya.
"Lekin tumhara faisla humare nazdeek hairan kin zaroor hai."
"Lekin tumhara faisla humare nazdeek hairan kin zaroor hai."
Sardar ne sawal kya,
"agr yeh muqadma aap ke ro baroo paish hota to aap kiya faisla sunaate?"
"agr yeh muqadma aap ke ro baroo paish hota to aap kiya faisla sunaate?"
Shahanshah ne kaha ke,
" pehli to baat yeh hai ke agar yeh muqadma humare mulk me hota to zameen kharidne wale aur baichne wale ke darmain kuch is tarha ka jhagda hota ke baichne wala kehta ke,
"Mai ne usey zameen baichi hai aur iss se zameen ki qeemat wusool ki hai, ab jabke khazana nikal aaya hai to iss ki qeemat to mai ne wusool hi nahi ki, iss liye yeh mera hai".
Jabke kharidne wala kehta ke,
" Mai ne iss se zameen khridli hai, to ab is me jo kuch hai woh meri malkiat hai aur meri qismat hai".

Sardar ne Shahanshah se poocha ke, phir tum kiya faisla sunaate ?
Shahanshah ne uss ke zehan me mojood soch ke mutabiq foran jawab diya ke,
"Hum fariqain ko hirasat me le lete aur khazana hukoomat ki malkiat qarar de kar Shahi khazane me daakhil kardiya jata".
"Hum fariqain ko hirasat me le lete aur khazana hukoomat ki malkiat qarar de kar Shahi khazane me daakhil kardiya jata".
"Badshaah ki malkiat!" Sardar ne heirat se poocha.
"kiya aap ke mulk me Sooraj dikhayi deta hai?"
"ji haan kyun nahi?"
"Wahan barish bhi hoti hai..?"
"kiya aap ke mulk me Sooraj dikhayi deta hai?"
"ji haan kyun nahi?"
"Wahan barish bhi hoti hai..?"
"Bilkul !"
"bahut khoob !"
Sardar hairan tha,
"lekin ek baat aur batayein kiya aap ke haan janwar bhi paye jate hain jo ghaas aur charah khate hain?"
Sardar hairan tha,
"lekin ek baat aur batayein kiya aap ke haan janwar bhi paye jate hain jo ghaas aur charah khate hain?"
"Haan aise be shumaar janwar humare haan paye jate hain."
”Ohh khoob' mai ab samjha".
Sardar ne yun gardan hilai jaise koi mushkil tareen baat uss ki samajh me aagai ho.
Sardar ne yun gardan hilai jaise koi mushkil tareen baat uss ki samajh me aagai ho.
"To uss nainsafi ki sarzamen me shayad unhi janwaron ke tufail Sooraj roshni de raha hai aur barish khaiton ko sairaab kar rahi hai."
ایک شہنشاہ جب دنیا کو فتح کرنے کے ارادے سے نکلا تو اس کا گزر افریقہ کی ایک ایسی بستی سے ہوا جو دنیا کے ہنگاموں سے دور اور بڑی پرسکون تھی۔ یہاں کے باشندوں نے جنگ کا نام تک نہ سنا تھا اور وہ فاتح ا
ور مفتوح کے معنی سے ناآشنا تھے‘ بستی کے باشندے شہنشاہ اعظم کو مہمان کی طرح ساتھ لے کر اپنے سردار کی جھونپڑی میں پہنچے۔ سردار نے اس کا بڑی گرم جوشی سے استقبال کیا اور پھلوں سے شہنشاہ کی تواضع کی۔
کچھ دیر میں دو قبائلی فریق مدعی اور مدعا الیہ کی حیثیت سے اندر داخل ہوئے۔ سردار کی یہ جھونپڑی عدالت کا کام بھی دیتی تھی۔
مدعی نے کہا۔
”میں نے اس شخص سے زمین کا ایک ٹکڑا خریدا تھا۔ ہل چلانے کے دوران اس میں سے خزانہ برآمد ہوا میں نے یہ خزانہ اس شخص کو دینا چاہا لیکن یہ نہیں لیتا۔ میں یہ کہتا ہوں کہ یہ خزانہ میرا نہیں ہے کیوں کہ میں نے اس سے صرف زمین خریدی تھی۔ اور اسے صرف زمین کی قیمت ادا کی تھی، خزانے کی نہیں“
مدعا الیہ نے جواب میں کہا۔
”میرا ضمیر ابھی زندہ ہے۔ میں یہ خزانہ اس سے کس طرح لے سکتا ہوں‘ میں نے تو اس کے ہاتھ زمین فروخت کردی تھی۔ اب اس میں سے جو کچھ بھی برآمد ہو یہ اس کی قسمت ہے اور یہی اس کا مالک ہے ، میرا اب اس زمین اور اس میں موجود اشیاء سے کوئی تعلق نہیں ہے “
سردار نے غور کرنے کے بعد مدعی سے دریافت کیا۔
”تمہارا کوئی لڑکا ہے؟“
”ہاں ہے!“
پھر مدعا الیہ سے پوچھا۔
”اور تمہاری کوئی لڑکی بھی ہے؟“
”جی ہاں....“ مدعا الیہ نے بھی اثبات میں گردن ہلا دی۔
”تو تم ان دونوں کی شادی کرکے یہ خزانہ ان کے حوالے کردو۔“
اس فیصلے نے شہنشاہ کو حیران کردیا ۔ وہ فکر مند ہوکر کچھ سوچنے لگا۔
سردار نے متردد شہنشاہ سے دریافت کیا۔ ”کیوں کیا میرے فیصلے سے آپ مطمئن نہیں ہیں؟“
”نہیں ایسی بات نہیں ہے۔“ شہنشاہ نے جواب دیا۔ ”لیکن تمہارا فیصلہ ہمارے نزدیک حیران کن ضرور ہے۔“
سردار نے سوال کیا۔ ”اگر یہ مقدمہ آپ کے رو برو پیش ہوتا تو آپ کیا فیصلہ سناتے؟“
شہنشاہ نے کہا کہ ۔ ” پہلی تو بات یہ ہے کہ اگر یہ مقدمہ ہمارے ملک میں ہوتا تو زمین خریدنے والے اور بیچنے والے کے درمیان کچھ اس طرح کا جھگڑا ہوتا کہ بیچنے والا کہتا کہ : میں نے اسے زمین بیچی ہے اور اس سے زمین کی قیمت وصول کی ہے ، اب جبکہ خزانہ نکل آیا ہے تو اس کی قیمت تو میں نے وصول ہی نہیں کی ، اس لیے یہ میرا ہے ۔
جبکہ خریدنے والا کہتا کہ:
میں نے اس سے زمین خریدلی ہے ، تو اب اس میں جو کچھ ہے وہ میری ملکیت ہے اور میری قسمت ہے ۔
سردار نے شہنشاہ سے پوچھا کہ ، پھر تم کیا فیصلہ سناتے؟
شہنشاہ نے اس کے ذہن میں موجود سوچ کے مطابق فورا جواب دیا کہ:
ہم فریقین کو حراست میں لے لیتے اور خزانہ حکومت کی ملکیت قرار دے کر شاہی خزانے میں داخل کردیا جاتا۔“
”بادشاہ کی ملکیت!“ سردار نے حیرت سے پوچھا۔ ”کیا آپ کے ملک میں سورج دکھائی دیتا ہے؟“
”جی ہاں کیوں نہیں؟“
”وہاں بارش بھی ہوتی ہے....“
”بالکل!“
”بہت خوب!“ سردار حیران تھا۔ ”لیکن ایک بات اور بتائیں کیا آپ کے ہاں جانور بھی پائے جاتے ہیں جو گھاس اور چارہ کھاتے ہیں؟“
”ہاں ایسے بے شمار جانور ہمارے ہاں پائے جاتے ہیں۔“
”اوہ خوب‘ میں اب سمجھا۔“ سردار نے یوں گردن ہلائی جیسے کوئی مشکل ترین بات اس کی سمجھ میں آگئی ہو۔ ”تو اس ناانصافی کی سرزمین میں شاید ان ہی جانوروں کے طفیل سورج روشنی دے رہا ہے اور بارش کھیتوں کو سیراب کررہی ہے۔