Ek raat Sultan Mahmood Ghaznavi raat ke waqt mamoolke mutabiq ghasht par the aur
ek tandoor ke paas kisi shakhs ko soya hua dekha to usko utha kar poocha ke woh kaun hai,Jawaab me uss shakhs ne bataya ke woh ghareeb mazdoor hai. Din bhar mazdoori karta hai aur raat ko iss tandoor ke paas hi so jata hai ۔
Sultan ne poocha ke iss sardi me uski raat kaise guzarti hai, to Uss mazdoor ne jawab me jo kaha wo Sultan ko hila kar rakh diya.
Mazdoor ne kaha Janab nisf (aadhi) raat apkr andaaz me guzarti hai aur baqiya nisf aap se zyadah achhe andaz me guzarta hoon.
Sultan ne badi hairat se poocha ke , "woh kaise?"
Mazdoor ne jawab diya ke,
"jab tak tandoor garm rehta hai to mai aap ke jaisi neend se lutfandoz hota hoon aur jab tandoor thnada hojata hai to uth ke ALLAH ki ibadat shuru kar deta hoon jo aap ke muqable me waqt ka behtar istemaal hai.".
ﺍﯾﮏ ﺭﺍﺕ ﺳﻠﻄﺎﻥ ﻣﺤﻤﻮﺩ ﻏﺰﻧﻮﯼ ﺭﺍﺕ ﮐﮯ ﻭﻗﺖ ﻣﻌﻤﻮﻝ ﮐﮯ ﻣﻄﺎﺑﻖ ﮔﺸﺖ ﭘﺮ ﺗﮭﮯ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﮏ ﺗﻨﺪﻭﺭ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﮐﺴﯽ ﺷﺨﺺ ﮐﻮ ﺳﻮﯾﺎ ﮨﻮﺍ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﻮ ﺍﺱ ﮐﻮ ﺍﭨﮭﺎ ﮐﺮ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﮧ ﻭﮦ ﮐﻮﻥ ﮨﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﺷﺨﺺ ﻧﮯ ﺑﺘﺎﯾﺎ ﮐﮧ ﻭﮦ ﻏﺮﯾﺐ ﻣﺰﺩﻭﺭ ﮬﮯ ﺩﻥ ﺑﮭﺮ ﻣﺰﺩﻭﺭﯼ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺭﺍﺕ ﮐﻮ ﺍﺱ ﺗﻨﺪﻭﺭ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﮬﯽ ﺳﻮ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ
ﺳﻠﻄﺎﻥ ﻧﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﮧ ﺍﺱ ﺳﺮﺩﯼ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺭﺍﺕ ﮐﯿﺴﮯ ﮔﺰﺭﺗﯽ ﮨﮯ ﺗﻮ ﺍﺱ ﻣﺰﺩﻭﺭ ﻧﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﻣﯿﮟ ﺟﻮ ﮐﮩﺎ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺳﻠﻄﺎﻥ ﮐﻮ ﮬﻼ ﮐﮯ ﺭﮐﮫ ﺩﯾﺎ
ﻣﺰﺩﻭﺭ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﺟﻨﺎﺏ ﻧﺼﻒ ﺭﺍﺕ ﺁﭖ ﮐﮯ ﺍﻧﺪﺍﺯ ﻣﯿﮟ ﮔﺰﺭﺗﯽ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺑﻘﯿﮧ ﻧﺼﻒ ﺁﭖ ﺳﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﺍﭼﮭﮯ ﺍﻧﺪﺍﺯ ﻣﯿﮟ ﮔﺰﺍﺭﺗﺎ ﮨﻮﮞ
ﺳﻠﻄﺎﻥ ﻧﮯ ﺑﮍﯼ ﺣﯿﺮﺕ ﺳﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﮧ ﻭﮦ ﮐﯿﺴﮯ؟
ﻣﺰﺩﻭﺭ ﻧﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﺎ ﮐﮧ ﺟﺐ ﺗﮏ ﺗﻨﺪﻭﺭ ﮔﺮﻡ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻣﯿﮟ ﺁﭖ ﮐﮯ ﺟﯿﺴﯽ ﻧﯿﻨﺪ ﺳﮯ ﻟﻄﻒ ﺍﻧﺪﻭﺯ ﮨﻮﺗﺎ ﮬﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﺟﺐ ﺗﻨﺪﻭﺭ ﭨﮭﻨﮉﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ ﺗﻮ ﺍﭨﮫ ﮐﮯ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﯽ ﻋﺒﺎﺩﺕ ﺷﺮﻭﻉ ﮐﺮ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺟﻮ ﺁﭖ ﮐﮯ ﻣﻘﺎﺑﻠﮯ ﻣﯿﮟ ﻭﻗﺖ ﮐﺎ ﺑﮩﺘﺮ ﺍﺳﺘﻌﻤﺎﻝ ﮬﮯ ۔