ALLAH JISKO CHAHE IZZAT DE JISKO CHAHE ZILLAT DE
Allama Ibn Jawzi likhte hain ke asfahan ka ek mashhoor Raees apni zoja ke humrah dustar khawan
par tashreef farma tha aur khana tanawal farma raha tha.Saath me dono miyan biwi khush gappiyan bhi laga rahe the .
Usi douran darwaze par dastak hui to chobe daar ne kaha,
"Aali Jah koi faqeer hai jo khane ka sawal kar raha hai."
Raees ne apni begum ko hukum diya ke yeh sara dustar khawan utha kar uss faqeer ke hawale kardo.
Begum darwaze par gayi aur jab faqeer ko khana de rahi to yakayak uss ke chehre ki taraf dekha to ek cheekh ke sath rona shuru kar diya .
khawand bhaag kar apni biwi ke paas aaya aur kaha,
" kya huwa ??"
Begum ne ruhansi aawaz aur hichki lete huwa kaha,
"Aey mere majazi khuda yeh faqeer jis ko mai aap ki ijazat se abhi khana de kar aayi hoon, yeh mera pehla shohar hai."
Khawand apni biwi ki yeh baat sun kar shashdar reh gaya.
Biwi ne kaha,
"mai aap ko poora waqea sonaati hoon."
"Arsa huwa mai aur mera shohar dastarkhawan par aaj ki tarha baithe the ke darwaze par ek faqeer ne sada lagai .
mera shohar utha aur darwaze par jaakar uss faqeer ki madad karne ke bajaye uss ko itna mara ke woh lahoo luhan ho gaya, Sartaaj woh faqeer to chala gaya to lekin pata nahi koun si baddua de kar gaya ke humara kaarobar roz bah roz nuqsaan ki taraf jane laga hatta sab kuch bikk gaya hum log sadak par aagaye nobat faqon taq aagai mujhe uss ne Talaq de di mai aap ki zojiat me aagai , aaj gardish zamana dekhein woh shakhs faqeer bann kar sada laga raha hai, Meri aankhon me ansoo bhi is liye nikle the."
khawand ne kaha ke,
"Ab iss se herat wali baat suno, woh faqeer mai hoon.."
"Allah ka nizaam dekho ke uss ne uss aadmi ka sab kuch chhean kar mujhe hatta ke uss ki biwi taq mujhe diya"
Iss waqea se hume pata chalta hai ke
Allah jis ko chahe izzat de jis ko chahe zillat de,
Aur dua hai ke Allah hum ko shukar karne walon me rakhe .
hume humesha seedhi raah par chalaye.
Aameen.
Allah jis ko chahe izzat de jis ko chahe zillat de,
Aur dua hai ke Allah hum ko shukar karne walon me rakhe .
hume humesha seedhi raah par chalaye.
Aameen.
اللّٰه جس کو چاھے عزت دے جس کو چاھے ذلت دے
علامہ ابن جوزی لکھتے ھیں کہ اصفہان کا ایک مشہور رئیس اپنی زوجہ کہ ھمراہ دستر خوان پر تشریف فرما تھا
اور کھانا تناول فرما رھا تھا ساتھ میں دونوں میاں بیوی خوش گپیاں بھی لگا رھے تھے.
اس دوران دروازے پر دستک ھوئی تو چوب دار نے کہا عالی جاہ کو فقیر ھے جو کھانے کاسوال کر رھا ھے.
رئیس نے اپنی بیگم کو حکم دیا کہ یہ سارا دستر خوان اٹھا کر اس فقیر کہ حوالے کردو
بیگم دروازے پر گئی اور جب فقیر کو کھانا دے رھی تو
یکایک اس کہ چہرے کی طرف دیکھا تو ایک چیخ کہ ساتھ رونا شروع کر دیا.
خاوند بھاگ کر اپنی بیوی کہ پاس آیا اور کہا کیا ھوا
بیگم نے روھانسی آواز اور ھچکی لیتے ھوا کہا.۰
اے میرے مجازی خدا یہ فقیر جس کو میں آپ کی اجازت سے ابھی کھانا دے کر آئی ھوں
یہ میرا پہلا شوھر ھے
خاوند اپنی بیوی کی یہ بات سن کر ششدر رہ گیا
بیوی نے کہا میں آپ کو پورا واقعۂ سناتی ھوئی۰۰
عرصہ ھوا میں اور میرا شوھر دسترخوان پر آج کی طرح بیٹھے تھے کہ دروزاے پر ایک فقیر نے صدا لگائی.
میرا شوھر اٹھا اور دروازے پر جاکر اس فقیر کی مدد کرنے کے بجائے اس کو اتنا مارا کہ وہ لہو لہان ھو گیا
سرتاج وہ فقیر تو چلا گیا تو لیکن پتہ نہیں کون سی بدعا دے کر گیا کہ ھمارا کاروبار روز بہ روز نقصان کی طرف جانے لگا حتی سب کچھ بک گیا ھم لوگ سڑک پر آگئے نوبت فاقوں تک آگی مجھے اس نے طلاق دے دی میں آپ کی زوجیت میں آگئی
آج گردش زمانہ دیکھیں وہ شخص فقیر بن کر صدا لگا رھا ھے
میری آنکھوں میں آنسو بھی اس لیے نکلے تھے.۰
خاوند نے کہا کہ اب اس سے حیرت والی بات سنو وہ فقیر میں ھوں
اللہ کا نظام دیکھو کہ اس نے اس آدمی کا سب کچھ چھین کر مجھے حتی کہ اس کی بیوی تک مجھے دے
اس واقعہ سے ھمیں پتہ چلتا ھے کہ
اللہ جس کو چاھے عزت دے جس کو چاھے ذلت دے
اور دعا ھے کہ اللہ ھم کو شکر کرنے والوں میں رکھے.ھمیں ھمشہ سیدھی راہ پر چلاے):