♦ YE DEEN BAHUT ANMOL HAI.

Ek Ustaad the Wo aksar apne shagirdon se kaha karte the ke Yeh deeb bada qeemti hai.
Ek roz ek talib e ilm (student) ka joota phatt gaya.
Woh mochi ke paas gaya aur kaha;
" Mera joota marmmat kar do, uske badle me tumhein deen ka ek masla bataunga ".
Mochi ne kaha;
" Apna masla rakh apne paas, mujhe paise de ".
Talib e ilm ne kaha;
" Mere paas to paise nahi hain ".
Mochi kisi soorat na mana. Aur beghair paise ke joota marmmat na kiya.
Talib e ilm apne Ustaad ke paas gaya aur sara waqiya suna kar kaha ;
"Logon ke nazdeek deen ki qeemat kuchh bhi nahi hai".
Ustaad akalmand the, Talib e ilm se kahe;
" Achha tum aisa karo, mai tumhein ek moti deta hoon tum sabzi mandi jakar uski qeemat maloom karo".
Wo Talib e ilm moti lekar sabzi mandi puncha aur ek sabzi farosh se kaha;
"Iss moti ki qeemat lagao".
Usne kaha ke;
" Iss moti ki qeemat do ya teen lemu hai".
Ustaad ne kaha;
" Achha ab tum uski qeemat sunaar se maloom karo".
Wo gaya aur pehli hi dukaan par jab usne moti dikhaya to dukaandar hairan rah gaya.
Usne kaha;
"Agar tum meri puri dukaan bhi le lo to bhi iss moti ki qeemat puri na hogi".
Talib e ilm ne Ustaad ke paas akar mazra sunaya.
Ustaad ne kaha;
" Bache ! Har chiz ki qeemat uski mandi me lagti hai, Deen ki qeemat Allah ki mandi me lagti hai, uski qeemat ko ahle ilm hi samjh sakte hai, Jahil kya jane deen ki qeemat kya hai".
Visit & Subscribe : www.UrduDastaan.blogspot.com
Jazakallah



ﺍﯾﮏ ﺍﺳﺘﺎﺩ ﺗﮭﺎ ﻭﮦ ﺍﮐﺜﺮ ﺍﭘﻨﮯ ﺷﺎﮔﺮﺩﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﮩﺎ ﮐﺮﺗﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﯾﮧ ﺩﯾﻦ ﺑﮍﺍ ﻗﯿﻤﺘﯽ ﮨﮯ۔ ﺍﯾﮏ ﺭﻭﺯ ﺍﯾﮏ ﻃﺎﻟﺐ ﻋﻠﻢ ﮐﺎ ﺟﻮﺗﺎ ﭘﮭﭧ ﮔﯿﺎ۔ ﻭﮦ ﻣﻮﭼﯽ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﺎ : ﻣﯿﺮﺍ ﺟﻮﺗﺎ ﻣﺮﻣﺖ ﮐﺮﺩﻭ۔ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﺪﻟﮧ ﻣﯿﮟ ، ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﺩﯾﻦ ﮐﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﺴﺌﻠﮧ ﺑﺘﺎﺅﮞ ﮔﺎ۔
ﻣﻮﭼﯽ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ : ﺍﭘﻨﺎ ﻣﺴﺌﻠﮧ ﺭﮐﮫ ﺍﭘﻨﮯ ﭘﺎﺱ۔ ﻣﺠﮭﮯ ﭘﯿﺴﮯ ﺩﮮ۔
ﻃﺎﻟﺐِ ﻋﻠﻢ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ : ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﭘﯿﺴﮯ ﺗﻮﻧﮩﯿﮟ ﮨﯿﮟ۔
ﻣﻮﭼﯽ ﮐﺴﯽ ﺻﻮﺭﺕ ﻧﮧ ﻣﺎﻧﺎ۔ ﺍﻭﺭ ﺑﻐﯿﺮ ﭘﯿﺴﮯ ﮐﮯ ﺟﻮﺗﺎ ﻣﺮﻣﺖ ﻧﮧ ﮐﯿﺎ۔ﻃﺎﻟﺐِ ﻋﻠﻢ ﺍﭘﻨﮯ ﺍﺳﺘﺎﺩ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﺳﺎﺭﺍ ﻭﺍﻗﻌﮧ ﺳُﻨﺎ ﮐﺮ ﮐﮩﺎ :
ﻟﻮﮔﻮﮞ ﮐﮯ ﻧﺰﺩﯾﮏ ﺩﯾﻦ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﮐﭽﮫ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ۔ ﺍﺳﺘﺎﺩ ﻋﻘﻞ ﻣﻨﺪ ﺗﮭﮯ : ﻃﺎﻟﺐِ ﻋﻠﻢ ﺳﮯ ﮐﮩﺎ :
ﺍﭼﮭﺎ ﺗﻢ ﺍﯾﺴﺎ ﮐﺮﻭ : ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﻣﻮﺗﯽ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺗﻢ ﺳﺒﺰﯼ ﻣﻨﮉﯼ ﺟﺎ ﮐﺮ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻣﻌﻠﻮﻡ ﮐﺮﻭ۔
ﻭﮦ ﻃﺎﻟﺐِ ﻋﻠﻢ ﻣﻮﺗﯽ ﻟﮯ ﮐﺮ ﺳﺒﺰﯼ ﻣﻨﮉﯼ ﭘﮩﻨﭽﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﮏ ﺳﺒﺰﯼ ﻓﺮﻭﺵ ﺳﮯ ﮐﮩﺎ :
ﺍﺱ ﻣﻮﺗﯽ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﮕﺎﺅ۔ﺍﺱ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﮐﮧ ﺗﻢ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﺪﻟﮯﯾﮩﺎﮞ ﺳﮯ ﺩﻭ ﺗﯿﻦ ﻟﯿﻤﻮﮞ ﺍُﭨﮭﺎ ﻟﻮ۔ﺍﺱ ﻣﻮﺗﯽ ﺳﮯ ﻣﯿﺮﮮ ﺑﭽﮯ ﮐﮭﯿﻠﯿﮟ ﮔﮯ۔ ﻭﮦ ﺑﭽﮧ ﺍﺳﺘﺎﺩ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺁﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﺎ : ﺍﺱ ﻣﻮﺗﯽ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﺩﻭ ﯾﺎ ﺗﯿﻦ ﻟﯿﻤﻮﮞ ﮨﮯ۔
ﺍﺳﺘﺎﺩ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ :
ﺍﭼﮭﺎ ﺍﺏ ﺗﻢ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﺳُﻨﺎﺭ ﺳﮯ ﻣﻌﻠﻮﻡ ﮐﺮﻭ۔ﻭﮦ ﮔﯿﺎ ﺍﻭﺭ ﭘﮩﻠﯽ ﮨﯽ ﺩﮐﺎﻥ ﭘﺮ ﺟﺐ ﺍﺱ ﻧﮯ ﻣﻮﺗﯽ ﺩﮐﮭﺎﯾﺎ ﺗﻮ ﺩﮐﺎﻥ ﺩﺍﺭ ﺣﯿﺮﺍﻥ ﺭﮦ ﮔﯿﺎ۔
ﺍﺱ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﺍﮔﺮ ﺗﻢ ﻣﯿﺮﯼ ﭘﻮﺭﯼ ﺩﮐﺎﻥ ﺑﮭﯽ ﻟﮯ ﻟﻮ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺍﺱ ﻣﻮﺗﯽ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﭘﻮﺭﯼ ﻧﮧ ﮨﻮﮔﯽ۔ ﻃﺎﻟﺐِ ﻋﻠﻢ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺍﺳﺘﺎﺩ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺁﮐﺮ ﻣﺎﺟﺮﺍ ﺳُﻨﺎﯾﺎ۔ ﺍﺳﺘﺎﺩ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ :
ﺑﭽﮯ ! ﮨﺮ ﭼﯿﺰ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻣﻨﮉﯼ ﻣﯿﮟ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ۔ ﺩﯾﻦ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﯽ ﻣﻨﮉﯼ ﻣﯿﮟ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ۔ﺍﺱ ﻗﯿﻤﺖ ﮐﻮ ﺍﮨﻞِ ﻋﻠﻢ ﮨﯽ ﺳﻤﺠﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﺟﺎﮨﻞ ﮐﯿﺎ ﺟﺎﻧﮯ ﺩﯾﻦ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ۔
ﺟَﺰَﺍﻙَ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﺧَﻴْﺮًﺍ


RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...