Uski adat thi ke Woh Azaan se kaafi pehle Masjid me ajata aur wuzu kar ke Quran paak ki tilawat shuru kar deta. Iss tarah Jamaat hone se pehle usey Tilawat ke liye kaafi waqt mil jata.
Aaj bhi kuchh isi tarah hua tha, Woh Masjid me baitha tilawat kar raha tha ke Ek chhota bachcha Masjid me dakhil hua aur haath munh dho kar Masjid ke ek kone me baith gaya.
Usne Muskura kar bachche ki taraf dekha to bachche ne bhi muskurahat se jawaab diya . woh sar jhuka kar tilawat me mashghul hogaya.
Thodi der baad tilawat ke dauraan usne sar utha kar dekha to woh chhota bachcha apne nanhein haath utha kar ankhein band kar ke dua mang raha tha.
Uske labon par muskurahat phail gayi. Bachche ka dua mangne ka andaaz itna pyara tha ke woh besakhta Quran Majeed band kar ke usey dekhne laga.
Thodi der baad uss bache ki dua khatm ki aur bahar jane laga to woh uss bachche ko hausla afzayi ke liye usey kuchh de ye soch kar uss bachche ko paas bulaya aur woh sar par haath pher kar usko sau ka note diya.
Bachche ne thodi hichkichahat ke baad woh note qubool kar liya.
Usne bacche se puchha ke batao tum Allah se kya dua mang rahe the?
Bachche ne muskurate hue kaha... "Mera chocholate khane ka dil kar raha tha To mai Allah Ji se sau rupay mange the"... Ye kah kar woh chala gaya.
Bachche ke jane ke baad bhi woh usi simt dekhta raha jis taraf woh bachcha gaya tha, Jo usey Yaqeen aur ikhlaas se Dua mangne ka ek tareeqa sikha gaya tha.
Allah se Dua hai, Humari Tamam jaiz Duaon ko qubool farmaye Aameen Summa Aameen..
Visit & Subscribe : www.PakizahKahaniya.blogspot.In
Jazakallah.

ﺍﺳﮑﯽ ﻋﺎﺩﺕ ﺗﮭﯽ ﮐﮧ ﻭﮦ ﺍﺫﺍﻥ ﺳﮯ ﮐﺎﻓﯽ ﭘﮩﻠﮯ ﻣﺴﺠﺪ ﻣﯿﮟ ﺁ ﺟﺎﺗﺎ ﺍﻭﺭ ﻭﺿﻮ ﮐﺮ ﮐﮯ ﻗﺮﺁﻥ ﭘﺎﮎ ﮐﯽ ﺗﻼﻭﺕ ﺷﺮﻭﻉ ﮐﺮﺩﯾﺘﺎ . ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﺟﻤﺎﻋﺖ ﮨﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﭘﮩﻠﮯ ﺍﺳﮯ ﺗﻼﻭﺕ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﮐﺎﻓﯽ ﻭﻗﺖ ﻣﻞ ﺟﺎﺗﺎ .
ﺁﺝ ﺑﮭﯽ ﮐﭽﮫ ﺍﺳﯽ ﻃﺮﺡ ﮨﻮﺍ ﺗﮭﺎ ﻭﮦ ﻣﺴﺠﺪ ﻣﯿﮟ ﺑﯿﭩﮭﺎ ﺗﻼﻭﺕ ﮐﺮ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﭼﮭﻮﭨﺎ ﺑﭽﮧ ﻣﺴﺠﺪ ﻣﯿﮟ ﺩﺍﺧﻞ ﮨﻮﺍ ﺍﻭﺭ ﮨﺎﺗﮫ ﻣﻨﮧ ﺩﮬﻮ ﮐﺮ ﻣﺴﺠﺪ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﮐﻮﻧﮯ ﻣﯿﮟ ﺑﯿﭩﮫ ﮔﯿﺎ . ﺍﺱ ﻧﮯ ﻣﺴﮑﺮﺍ ﮐﺮ ﺑﭽﮯ ﮐﯽ ﻃﺮﻑ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﻮ ﺑﭽﮯ ﻧﮯ ﺑﮭﯽ ﻣﺴﮑﺮﺍﮨﭧ ﺳﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﺎ . ﻭﮦ ﺳﺮ ﺟﮭﮑﺎ ﮐﺮ ﭘﮭﺮ ﺗﻼﻭﺕ ﻣﯿﮟ ﻣﺸﻐﻮﻝ ﮨﻮﮔﯿﺎ .
ﺗﮭﻮﮌﯼ ﺩﯾﺮ ﺑﻌﺪ ﺗﻼﻭﺕ ﮐﮯ ﺩﻭﺭﺍﻥ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺳﺮ ﺍﭨﮭﺎ ﮐﺮ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﻮ ﻭﮦ ﭼﮭﻮﭨﺎ ﺑﭽﮧ ﺍﭘﻨﮯ ﻧﻨﮭﮯ ﮨﺎﺗﮫ ﺍﭨﮭﺎ ﮐﺮ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺑﻨﺪ ﮐﺮ ﮐﮯ ﺩﻋﺎ ﻣﺎﻧﮓ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ . ﺍﺱ ﮐﮯ ﻟﺒﻮﮞ ﭘﺮ ﻣﺴﮑﺮﺍﮨﭧ ﭘﮭﯿﻞ ﮔﺌﯽ . ﺑﭽﮯ ﮐﺎ ﺩﻋﺎ ﻣﺎﻧﮕﻨﮯ ﮐﺎ ﺍﻧﺪﺍﺯ ﺍﺗﻨﺎ ﭘﯿﺎﺭﺍ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﻭﮦ ﺑﮯ ﺳﺎﺧﺘﮧ ﻗﺮﺁﻥ ﻣﺠﯿﺪ ﺑﻨﺪ ﮐﺮ ﮐﮯ ﺍﺳﮯ ﺩﯾﮑﮭﻨﮯ ﻟﮕﺎ .
ﺗﮭﻮﮌﯼ ﺩﯾﺮ ﺑﻌﺪ ﺍﺱ ﺑﭽﮯ ﻧﮯ ﺩﻋﺎ ﺧﺘﻢ ﮐﯽ ﺍﻭﺭ ﺑﺎﮨﺮ ﺟﺎﻧﮯ ﻟﮕﺎ ﺗﻮ ﺍﺱ ﮐﺎ ﺩﻝ ﭼﺎﮨﺎ ﮐﮧ ﻭﮦ ﺍﺱ ﺑﭽﮯ ﮐﯽ ﺣﻮﺻﻠﮧ ﺍﻓﺰﺍﺋﯽ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﺍﺳﮯ ﮐﭽﮫ ﺩﮮ . ﺍﺱ ﻧﮯ ﺑﭽﮯ ﮐﻮ ﭘﺎﺱ ﺑﻼﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﺳﺮ ﭘﺮ ﮨﺎﺗﮫ ﭘﮭﯿﺮ ﮐﺮ ﺍﺱ ﮐﻮ ﺳﻮ ﮐﺎ ﻧﻮﭦ ﺩﯾﺎ . ﺑﭽﮯ ﻧﮯ ﺗﮭﻮﮌﯼ ﺳﯽ ﮨﭽﮑﭽﺎﮨﭧ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﻭﮦ ﻧﻮﭦ ﻗﺒﻮﻝ ﮐﺮ ﻟﯿﺎ . ﺍﺱ ﻧﮯ ﺑﭽﮯ ﺳﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﮧ ﺑﺘﺎﺅ ﺗﻢ ﺍﻟﻠﮧ ﺱ ﮐﯿﺎ ﺩﻋﺎ ﻣﺎﻧﮓ ﺭﮨﮯ ﺗﮭﮯ؟
ﺑﭽﮯ ﻧﮯ ﻣﺴﮑﺮﺍﺗﮯ ﮨﻮﺋﯽ ﮐﮩﺎ ...." ﻣﯿﺮﺍ ﭼﺎﮐﻠﯿﭧ ﮐﮭﺎﻧﮯ ﮐﺎ ﺩﻝ ﮐﺮ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﺗﻮ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍﻟﻠﮧ ﺟﯽ ﺳﮯ ﺳﻮ ﺭﻭﭘﮯ ﻣﺎﻧﮕﮯ ﺗﮭﮯ" .. ﯾﮧ ﮐﮩﮧ ﮐﺮ ﻭﮦ ﭼﻼ ﮔﯿﺎ .
ﺑﭽﮯ ﮐﮯ ﺟﺎﻧﮯ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺑﮭﯽ ﻭﮦ ﺍﺳﯽ ﺳﻤﺖ ﺩﯾﮑﮭﺘﺎ ﺭﮨﺎ ﺟﺲ ﻃﺮﻑ ﻭﮦ ﺑﭽﮧ ﮔﯿﺎ ﺗﮭﺎ ﺟﻮ ﺍﺳﮯ ﯾﻘﯿﻦ ﺍﻭﺭ ﺍﺧﻼﺹ ﺳﮯ ﺩﻋﺎ ﻣﺎﻧﮕﻨﮯ ﮐﺎ ﺍﯾﮏ ﻃﺮﯾﻘﮧ ﺳﮑﮭﺎﯾﺎ ﮔﯿﺎ ﺗﮭﺎ . ۔
Visit & Subscribe : www.PakizahKahaniya.blogspot.com
ﺟَﺰَﺍﻙَ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﺧَﻴْﺮًﺍ