♦ AAJ MERA GHAR SUKOON SE BHAR GAYA

     Woh garmion ki ek tapti dopahar thi. Daftar se maine chhuti li hui thi kyun ke ghar ke kuchh zaruri kaam niptane the.
   Mai bachon ko computer par game khelna sikha raha tha ke bahar bell baji.
Kafi der ke baad dusri bell hui to Maine jakar darwajah khola. Samne meri hi umar ke ek sahab khade the.
   "Assalamu Alaikum .."
Unhon ne nehayat muhazzab andaz me salam kiya. Pehle mere zehan me khayal guzra ye koi chandah waghairah lene wale hain. Unke chehre par dadhi khoob saj rahi thi, aur lebaas se woh chandah mangne wale hargiz nahi lag rahe the.
" Ji farmaiye.." , Maine puchha.
" Aap Tahir Sahab hain ? "
" Ji " Mai ne mukhtasar jawab diya.
" Woh Mujhe Rafeeq Sahab ne bheja hai. Ghaliban Apko kirayedaar ki zarurat hai. "
" Haan haan. "
   Mujhe achanak yaad aya ke maine daftar ke ek saathi Rafeeq ko bataya tha ke Maine apne ghar ka upar wala portion kiraye par dena hai agar koi nek aur chhoti si family uski nazar me ho to bataye. Kyunke daftar ki tankhwaah se kharche pure nahi hote. Mujhe afsoos hua ke Maine itni dhoop me kafi der use bahar khada rakha.
    Use chhe mahine ke liye makaan keraye par chahiye tha. Kyunke Apna makaan woh gira kar dobarah tameer karwa rahe the. Maine teen hazar kiraya bataya. Lekin baat do hazaar par pakki hogayi. Woh chala gaya to mujhe afsoos hone laga ke kiraya kuchh kam hai. Jabke upar sirf ek chhota sa room, kitchen aur bathroom tha.
    Mujhe Apni biwi ka dhadka laga hua tha ke usey maloom hoga to kitna jhagda hoga. Aur wahi hua. Usne kaha ke uske do hazaar to sirf bachon ke fees hai. Mujhe usne kafi bura bhala kaha aur mai chupchap sunta raha, aur apni qismat ko kosta raha.
   Maine M.Sc bahut achhe number se kiya tha.
Isliye faurann nokri mil gayi, nokri mili to shaadi bhi faurann hogayi.
   Meri biwi bhi bahut padhi likhi thi. Woh bhi ek angrezi school me padhati thi, Humare teen bache the. Magar guzara mushkil se horaha tha.
   Agle hi din woh sahab aur unki biwi bache humare ghar shift hogaye. Unki biwi ne mukammal sharyi pardah kiya hua tha. Dono bade bache bahut hi muhazzab aur khubsoorat the. Chhota godd me tha.
   Kuchh dino ke baad ek din daftarse aya to meri biwi ne bataya ke maine bachon ko kirayedaar khatoon se Quran Majeed padhne ke liye bhej diya hai. Achha padhati hain, unke apne bache itni khubsoorat tilawat karte hain.
Majed kuchh din ke baad maine unke ek bete se tilawat suni to pehli martabah mere dil me khwahish ubhri ke kaash humare bache bhi itna achha Quran Majeed padhein.
   Ek din Mai bahar jane laga to apni biwi se puchh hi liya ke woh parlour jayegi to leta chalon. Kyunke pehle to do mahine me teen chaar martabah parlour jati thi aur iss mahine ek baar bhi nahi gayi thi.
  Usne jawaab diya ke parlour fuzool kharchi hai. Jitni khubsoorti chehre par paanch baar wuzu karne, namaz aur tilawat se ati hai kisi chiz se nahi ati. Agar zyadah zarurat ho to gharelu istemaal ki chizon se hi chehre par nikhar rehta hai.
   Ek roz mai cable par darama dekh raha tha to mere chhote bete ne mujhe beghair puchhe TV band kar diya aur mere paas akar baith gaya.
   " Baba ye bekaar masghalah hai. Mai apko apne Nabi Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihe Wasallam ka ek waqiya sunau. "
   Mujhe gussa to bahut aya lekin apne bete ki zubani jab waqiya suna to dil bhar aya.
  " Ye tumhein kisne bataya ", maine puchha
  " Humari Ustaani Mohtarma ne. Woh Quran Majeed padhne ke baad Aap Sallallah Alaihe Wasallam aur Sahaba karaam ke mutalliq batati hain."
   Apne ghar ki biwi bachon ki tezi se badalti halat dekh kar mai hairaan horaha tha ke ek roz biwi ne kaha ke cable katwa dein. Koi nahi dekhta aur waise bhi fuzool kharchi aur upar se ghunaah hai.
   Chand roz baad biwi ne shoping par jane ko kaha to maine bakhushi tayyar hogaya, usne kafi dino baad shopping ka kaha tha warna pehle to aye din bazaar jana rehta tha.
   " kya khareedna hai ?" maine puchha.
   " Burqa"
   " kyaaa ? "
Mai hasa to boli,
   "Pehle mai kitne hi ghair sharyi kaam karti thi, Aap ne kabhi mazaaq nahi udaya tha, ab achha kaam karna chahti hoon to apko mazak soojh raha hai. "
   Mai kuchh na bola.
   Phir chand dino ke baad usne mujhe kaafi sare paise diye aur kaha freez ki baaqi qeemat ada kar dein. Take majed qistein na deni pade.
   " Itne ropion ki bachat kaise hogayi ? "
   " Bas hogayi " woh muskurayi.
   " Jab insaan Allah ke bataye hue ahkaam par chalne lage to barkat khudbakhud hojati hai. Woh kirayedaar khatoon bataye hai. "
   Sukoon mere andar tak phail gaya. Meri biwi ab na mujhse kabhi ladi, na shikayat ki. Bachon ko woh ghar me padha deti hai. Khud bachon ke saath Quran Majeed tajweed ke saath padhna seekh rahi thi, woh khud namaz padhne lagi , aur bachon ko bhi sakhti se namaz padhne bhejti. Mujhe ehsaas hone laga ke nejaat ka rasta yahi hai. Paisa aur araish sukoon nahi deta. Itmenaan to bas Allah ki yaad me hai.
   Mujh uss din do hazaar kirya thoda lag raha tha, aaj sochta hoon to lagta hai ke woh itna zyadah tha ke Aaj mera ghar sukoon se bhar gaya hai.
Visit: www.PakizahKahaniya.blogspot.com
Jazakallah..



ﻭﮦ ﮔﺮﻣﯿﻮﮞ ﮐﯽ ﺍﯾﮏ ﺗﭙﺘﯽ ﺩﻭﭘﮩﺮ ﺗﮭﯽ۔ ﺩﻓﺘﺮ ﺳﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﭼﮭﭩﯽ ﻟﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﺗﮭﯽ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﮔﮭﺮ ﮐﮯ ﮐﭽﮫ ﺿﺮﻭﺭﯼ ﮐﺎﻡ ﻧﻤﭩﺎﻧﮯ ﺗﮭﮯ۔ ﻣﯿﮟ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﻮ ﮐﻤﭙﯿﻮﭨﺮ ﭘﺮ ﮔﯿﻢ ﮐﮭﯿﻠﻨﺎ ﺳﮑﮭﺎ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺑﺎﮨﺮ ﺑﯿﻞ ﺑﺠﯽ۔ ﮐﺎﻓﯽ ﺩﯾﺮ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺩﻭﺳﺮﯼ ﺑﯿﻞ ﮨﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺟﺎ ﮐﺮ ﺩﻭﺭﺍﺯﮦ ﮐﮭﻮﻻ۔ ﺳﺎﻣﻨﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﮨﯽ ﻋﻤﺮ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺻﺎﺣﺐ ﮐﮭﮍﮮ ﺗﮭﮯ۔
..." ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ۔۔۔۔ "!
ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﻧﮩﺎﯾﺖ ﻣﮩﺬﺏ ﺍﻧﺪﺍﺯ ﻣﯿﮟ ﺳﻼﻡ ﮐﯿﺎ۔ ﭘﮩﻠﮯ ﺗﻮ ﻣﯿﺮﮮ ﺫﮨﻦ ﻣﯿﮟ ﺧﯿﺎﻝ ﮔﺰﺭﺍ ﯾﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﭼﻨﺪﮦ ﻭﻏﯿﺮﮦ ﻟﯿﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﺍﻥ ﮐﮯ ﭼﮩﺮﮮ ﭘﺮ ﺩﺍﮌﮬﯽ ﺧﻮﺏ ﺳﺞ ﺭﮨﯽ ﺗﮭﯽ، ﺍﻭﺭ ﻟﺒﺎﺱ ﺳﮯ ﻭﮦ ﭼﻨﺪﮦ ﻣﺎﻧﮕﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﮨﺮ ﮔﺰ ﻧﮩﯿﮟ ﻟﮓ ﺭﮨﮯ ﺗﮭﮯ۔
" ﺟﯽ ﻓﺮﻣﺎﯾﺌﮯ " ، ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ۔
" ﺁﭖ ﻃﺎﮨﺮ ﺻﺎﺣﺐ ﮨﯿﮟ؟ "
’’ ﺟﯽ ‘‘ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﻣﺨﺘﺼﺮ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﺎ۔
" ﻭﮦ ﻣﺠﮭﮯ ﺭﻓﯿﻖ ﺻﺎﺣﺐ ﻧﮯ ﺑﮭﯿﺠﺎ ﮨﮯ۔ ﻏﺎﻟﺒﺎً ﺁﭖ ﮐﻮ ﮐﺮﺍﺋﮯ ﺩﺍﺭ ﮐﯽ ﺿﺮﻭﺭﺕ ﮨﮯ۔ "
ﮨﺎﮞ ﮨﺎﮞ۔۔۔ !
" ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭼﺎﻧﮏ ﯾﺎﺩ ﺁﯾﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺩﻓﺘﺮ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺳﺎﺗﮭﯽ ﻃﺎﮨﺮ ﮐﻮ ﺑﺘﺎﯾﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﮔﮭﺮ ﮐﺎ ﺍﻭﭘﺮ ﻭﺍﻻ ﭘﻮﺭﺷﻦ ﮐﺮﺍﺋﮯ ﭘﺮ ﺩﯾﻨﺎ ﮨﮯ ﺍﮔﺮ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﯿﮏ ﺍﻭﺭ ﭼﮭﻮﭨﯽ ﺳﯽ ﻓﯿﻤﻠﯽ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻧﻈﺮ ﻣﯿﮟ ﮨﻮ ﺗﻮ ﺑﺘﺎﺋﮯ۔ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﺩﻓﺘﺮ ﮐﯽ ﺗﻨﺨﻮﺍﮦ ﺳﮯ ﺧﺮﭼﮯ ﭘﻮﺭﮮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﮯ۔ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﻓﺴﻮﺱ ﮨﻮﺍ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍﺗﻨﯽ ﺩﮬﻮﭖ ﻣﯿﮟ ﮐﺎﻓﯽ ﺩﯾﺮ ﺍﺳﮯ ﺑﺎﮨﺮ ﮐﮭﮍﺍ ﺭﮐﮭﺎ۔ "
ﺍﺳﮯ ﭼﮫ ﻣﺎﮦ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﻣﮑﺎﻥ ﮐﺮﺍﺋﮯ ﭘﺮ ﭼﺎﮨﯿﮯ ﺗﮭﺎ۔ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﺍﭘﻨﺎ ﻣﮑﺎﻥ ﻭﮦ ﮔﺮﺍ ﮐﺮ ﺩﻭﺑﺎﺭﮦ ﺗﻌﻤﯿﺮ ﮐﺮﻭﺍ ﺭﮨﮯ ﺗﮭﮯ۔ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺗﯿﻦ ﮨﺰﺍﺭ ﮐﺮﺍﯾﮧ ﺑﺘﺎﯾﺎ۔ ﻟﯿﮑﻦ ﺑﺎﺕ ﺩﻭ ﮨﺰﺍﺭ ﭘﺮ ﭘﮑﯽ ﮨﻮﮔﺌﯽ۔
ﻭﮦ ﭼﻼ ﮔﯿﺎ ﺗﻮ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﻓﺴﻮﺱ ﮨﻮﻧﮯ ﻟﮕﺎ ﮐﮧ ﮐﺮﺍﯾﮧ ﮐﭽﮫ ﮐﻢ ﮨﮯ۔ ﮔﻮ ﺍﻭﭘﺮ ﺻﺮﻑ ﺍﯾﮏ ﭼﮭﻮﭨﺎ ﺳﺎ ﮐﻤﺮﮦ، ﮐﭽﻦ ﺍﻭﺭ ﺑﺎﺗﮫ ﺭﻭﻡ ﺗﮭﺎ۔
ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺑﯿﻮﯼ ﮐﺎ ﺩﮬﮍﮐﺎ ﻟﮕﺎ ﮨﻮﺍ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺍﺳﮯ ﻣﻌﻠﻮﻡ ﮨﻮﮔﺎ ﺗﻮ ﮐﺘﻨﺎ ﺟﮭﮕﮍﺍ ﮨﻮﮔﺎ۔ ﺍﻭﺭ ﻭﮨﯽ ﮨﻮﺍ۔ ﺑﻘﻮﻝ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺩﻭ ﮨﺰﺍﺭ ﺗﻮ ﺻﺮﻑ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﯽ ﻓﯿﺲ ﮨﮯ۔ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﺱ ﻧﮯ ﮐﺎﻓﯽ ﺑﺮﺍ ﺑﮭﻼ ﮐﮩﺎ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﮟ ﭼﭗ ﭼﺎﭖ ﺳﻨﺘﺎ ﺭﮨﺎ، ﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﯽ ﻗﺴﻤﺖ ﮐﻮ ﮐﻮﺳﺘﺎ ﺭﮨﺎ ۔
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍﯾﻢ ﺍﯾﺲ ﺳﯽ ﺑﮩﺖ ﺍﭼﮭﮯ ﻧﻤﺒﺮﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ ﺗﮭﺎ۔ ﺍﺱ ﻟﯿﮯ ﻓﻮﺭﺍً ﻧﻮﮐﺮﯼ ﻣﻞ ﮔﺌﯽ، ﻧﻮﮐﺮﯼ ﻣﻠﯽ ﺗﻮ ﺷﺎﺩﯼ ﺑﮭﯽ ﻓﻮﺭﺍً ﮨﻮﮔﺌﯽ۔
ﻣﯿﺮﯼ ﺑﯿﻮﯼ ﺑﮭﯽ ﺑﮩﺖ ﭘﮍﮬﯽ ﻟﮑﮭﯽ ﺗﮭﯽ۔ ﻭﮦ ﺑﮭﯽ ﺍﯾﮏ ﺍﻧﮕﺮﯾﺰﯼ ﺍﺳﮑﻮﻝ ﻣﯿﮟ ﭘﮍﮬﺎﺗﯽ ﺗﮭﯽ، ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺗﯿﻦ ﺑﭽﮯ ﺗﮭﮯ۔ ﻣﮕﺮ ﮔﺰﺍﺭﺍ ﻣﺸﮑﻞ ﺳﮯ ﮨﻮﺗﺎ ﺗﮭﺎ۔
ﺍﮔﻠﮯ ﮨﯽ ﺩﻥ ﻭﮦ ﺻﺎﺣﺐ ﺍﻭﺭ ﺍﻥ ﮐﮯ ﺑﯿﻮﯼ ﺑﭽﮯ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﮔﮭﺮ ﺷﻔﭧ ﮨﻮﮔﺌﮯ۔ ﺍﻥ ﮐﯽ ﺑﯿﻮﯼ ﻧﮯ ﻣﮑﻤﻞ ﺷﺮﻋﯽ ﭘﺮﺩﮦ ﮐﯿﺎ ﮨﻮﺍ ﺗﮭﺎ۔ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﺑﮍﮮ ﺑﭽﮯ ﺑﮩﺖ ﮨﯽ ﻣﮩﺬﺏ ﺍﻭﺭ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﺗﮭﮯ۔ ﭼﮭﻮﭨﺎ ﮔﻮﺩ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﺎ۔
ﮐﭽﮫ ﺩﻧﻮﮞ ﺑﻌﺪ ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﻣﯿﮟ ﺩﻓﺘﺮ ﺳﮯ ﺁﯾﺎ ﺗﻮ ﻣﯿﺮﯼ ﺑﯿﻮﯼ ﻧﮯ ﺑﺘﺎﯾﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﻮ ﮐﺮﺍﺋﮯ ﺩﺍﺭ ﺧﺎﺗﻮﻥ ﺳﮯ ﻗﺮﺁﻥ ﻣﺠﯿﺪ ﭘﮍﮬﻨﮯ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺑﮭﯿﺞ ﺩﯾﺎ ﮨﮯ۔ ﺍﭼﮭﺎ ﭘﮍﮬﺎﺗﯽ ﮨﯿﮟ، ﺍﻥ ﮐﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﭽﮯ ﺍﺗﻨﯽ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﺗﻼﻭﺕ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﯿﮟ۔
ﻣﺰﯾﺪ ﮐﭽﮫ ﺩﻥ ﺑﻌﺪ ﺟﺐ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍﻥ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺑﯿﭩﮯ ﺳﮯ ﺗﻼﻭﺕ ﺳﻨﯽ ﺗﻮ ﭘﮩﻠﯽ ﻣﺮﺗﺒﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺍﮨﺶ ﺍﺑﮭﺮﯼ ﮐﮧ ﮐﺎﺵ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺑﭽﮯ ﺑﮭﯽ ﺍﺗﻨﺎ ﺍﭼﮭﺎ ﻗﺮﺁﻥ ﻣﺠﯿﺪ ﭘﮍﮬﯿﮟ۔
ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﻣﯿﮟ ﺑﺎﮨﺮ ﺟﺎﻧﮯ ﻟﮕﺎ ﺗﻮ ﺍﭘﻨﯽ ﺑﯿﻮﯼ ﺳﮯ ﭘﻮﭼﮫ ﮨﯽ ﻟﯿﺎ ﮐﮧ ﻭﮦ ﭘﺎﺭﻟﺮ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﯽ ﺗﻮ ﻟﯿﺘﺎ ﭼﻠﻮﮞ۔ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﭘﮩﻠﮯ ﺗﻮ ﺩﻭ ﻣﮩﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺗﯿﻦ ﭼﺎﺭ ﻣﺮﺗﺒﮧ ﭘﺎﺭﻟﺮ ﺟﺎﺗﯽ ﺗﮭﯽ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﻣﮩﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺑﺎﺭ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮔﺌﯽ ﺗﮭﯽ۔
ﺍﺱ ﻧﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﺎ ﮐﮧ ﭘﺎﺭﻟﺮ ﻓﻀﻮﻝ ﺧﺮﭼﯽ ﮨﮯ۔ ﺟﺘﻨﯽ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺗﯽ ﭼﮩﺮﮮ ﭘﺮ ﭘﺎﻧﭻ ﺑﺎﺭ ﻭﺿﻮ ﮐﺮﻧﮯ،ﻧﻤﺎﺯ ﺍﻭﺭ ﺗﻼﻭﺕ ﺳﮯ ﺁﺗﯽ ﮨﮯ ﮐﺴﯽ ﭼﯿﺰ ﺳﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﯽ۔ ﺍﮔﺮ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﺿﺮﻭﺭﺕ ﮨﻮ ﺗﻮ ﮔﮭﺮﯾﻠﻮ ﺍﺳﺘﻌﻤﺎﻝ ﮐﯽ ﭼﯿﺰﻭﮞ ﺳﮯ ﮨﯽ ﭼﮩﺮﮮ ﭘﺮ ﻧﮑﮭﺎﺭ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ۔
ﺍﯾﮏ ﺭﻭﺯ ﻣﯿﮟ ﮐﯿﺒﻞ ﭘﺮ ﮈﺭﺍﻣﮧ ﺩﯾﮑﮫ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﺗﻮ ﻣﯿﺮﮮ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﺑﯿﭩﮯ ﻧﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﺑﻐﯿﺮ ﭘﻮﭼﮭﮯ ﭨﯽ ﻭﯼ ﺑﻨﺪ ﮐﺮ ﺩﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﺁﮐﺮ ﺑﯿﭩﮫ ﮔﯿﺎ۔
" ﺑﺎﺑﺎ ﯾﮧ ﺑﯿﮑﺎﺭ ﻣﺸﻐﻠﮧ ﮨﮯ۔ ﻣﯿﮟ ﺁﭖ ﮐﻮ ﺍﭘﻨﮯ ﻧﺒﯽ ﺣﻀﺮﺕ ﻣﺤﻤﺪ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﮐﺎ ﺍﯾﮏ ﻭﺍﻗﻌﮧ ﺳﻨﺎﺅﮞ۔ "
ﻣﺠﮭﮯ ﻏﺼﮧ ﺗﻮ ﺑﮩﺖ ﺁﯾﺎ ﻟﯿﮑﻦ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﯿﭩﮯ ﮐﯽ ﺯﺑﺎﻧﯽ ﺟﺐ ﻭﺍﻗﻌﮧ ﺳﻨﺎ ﺗﻮ ﻣﯿﺮﺍ ﺩﻝ ﺑﮭﺮ ﺁﯾﺎ۔
" ﯾﮧ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﮐﺲ ﻧﮯ ﺑﺘﺎﯾﺎ " ، ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ۔
" ﮨﻤﺎﺭﯼ ﺍﺳﺘﺎﻧﯽ ﻣﺤﺘﺮﻣﮧ ﻧﮯ۔۔۔ ﻭﮦ ﻗﺮﺁﻥ ﻣﺠﯿﺪ ﭘﮍﮬﺎﻧﮯ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﺍﻭﺭ ﺻﺤﺎﺑﮧ ﮐﺮﺍﻡ ﮐﮯ ﻣﺘﻌﻠﻖ ﺑﺘﺎﺗﯽ ﮨﯿﮟ۔ "
ﺍﭘﻨﮯ ﮔﮭﺮ ﮐﯽ ﺍﻭﺭ ﺑﯿﻮﯼ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﯽ ﺗﯿﺰﯼ ﺳﮯ ﺑﺪﻟﺘﯽ ﺣﺎﻟﺖ ﺩﯾﮑﮫ ﮐﺮ ﻣﯿﮟ ﺣﯿﺮﺍﻥ ﮨﻮ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﺭﻭﺯ ﺑﯿﻮﯼ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﮐﮧ ﮐﯿﺒﻞ ﮐﭩﻮﺍﺩﯾﮟ۔ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﯾﮑﮭﺘﺎ ﺍﻭﺭ ﻭﯾﺴﮯ ﺑﮭﯽ ﻓﻀﻮﻝ ﺧﺮﭼﯽ ﺍﻭﺭ ﺍﻭﭘﺮ ﺳﮯ ﮔﻨﺎﮦ ﮨﮯ۔
ﭼﻨﺪ ﺭﻭﺯ ﺑﻌﺪ ﺑﯿﻮﯼ ﻧﮯ ﺷﺎﭘﻨﮓ ﭘﺮ ﺟﺎﻧﮯ ﮐﻮ ﮐﮩﺎ ﺗﻮ ﻣﯿﮟ ﺑﺨﻮﺷﯽ ﺗﯿﺎﺭ ﮨﻮ ﮔﯿﺎ، ﺍﺱ ﻧﮯ ﮐﺎﻓﯽ ﺩﻧﻮﮞ ﺑﻌﺪ ﺷﺎﭘﻨﮓ ﮐﺎ ﮐﮩﺎ ﺗﮭﺎ ﻭﺭﻧﮧ ﭘﮩﻠﮯ ﺗﻮ ﺁﺋﮯ ﺩﻥ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺟﺎﻧﺎ ﺭﮨﺘﺎ ﺗﮭﺎ۔
" ﮐﯿﺎ ﺧﺮﯾﺪﻧﺎ ﮨﮯ؟ " ، ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﭘﻮﭼﮭﺎ۔
’’ ﺑﺮﻗﻌﮧ۔۔۔۔۔ ‘‘!!
ﮐﯿﺎ؟؟
ﻣﯿﮟ ﮨﻨﺴﺎ ﺗﻮ ﻭﮦ ﺑﻮﻟﯽ،
’’ ﭘﮩﻠﮯ ﻣﯿﮟ ﮐﺘﻨﮯ ﮨﯽ ﻏﯿﺮ ﺷﺮﻋﯽ ﮐﺎﻡ ﮐﺮﺗﯽ ﺗﮭﯽ، ﺁﭖ ﻧﮯ ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺬﺍﻕ ﻧﮩﯿﮟ ﺍﮌﺍﯾﺎ ﺗﮭﺎ، ﺍﺏ ﺍﭼﮭﺎ ﮐﺎﻡ ﮐﺮﻧﺎ ﭼﺎﮨﺘﯽ ﮨﻮﮞ ﺗﻮ ﺁﭖ ﮐﻮ ﻣﺬﺍﻕ ﺳﻮﺟﮫ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ۔ ‘‘
ﻣﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﻧﮧ ﺑﻮﻻ۔
ﭘﮭﺮ ﭼﻨﺪ ﺩﻥ ﺑﻌﺪ ﺍﺱ ﻧﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﮐﺎﻓﯽ ﺳﺎﺭﮮ ﭘﯿﺴﮯ ﺩﯾﺌﮯ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﺎ ﻓﺮﯾﺞ ﮐﯽ ﺑﺎﻗﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﺍﺩﺍ ﮐﺮ ﺩﯾﮟ۔ ﺗﺎﮐﮧ ﻣﺰﯾﺪ ﻗﺴﻄﯿﮟ ﻧﮧ ﺩﯾﻨﯽ ﭘﮍﯾﮟ۔
" ﺍﺗﻨﮯ ﺭﻭﭘﻮﮞ ﮐﯽ ﺑﭽﺖ ﮐﯿﺴﮯ ﮨﻮﮔﺌﯽ؟ "
" ﺑﺲ ﮨﻮ ﮔﺌﯽ " ، ﻭﮦ ﻣﺴﮑﺮﺍﺋﯽ
" ﺟﺐ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﮯ ﺑﺘﺎﺋﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺍﺣﮑﺎﻡ ﭘﺮ ﭼﻠﻨﮯ ﻟﮕﮯ ﺗﻮ ﺑﺮﮐﺖ ﺧﻮﺩ ﺑﺨﻮﺩ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ۔ﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﻭﮦ ﮐﺮﺍﺋﮯ ﺩﺍﺭ ﺧﺎﺗﻮﻥ ﺑﺘﺎﯾﺎ ﮨﮯ ‘‘
ﺳﮑﻮﻥ ﻣﯿﺮﮮ ﺍﻧﺪﺭ ﺗﮏ ﭘﮭﯿﻞ ﮔﯿﺎ۔ﻣﯿﺮﯼ ﺑﯿﻮﯼ ﺍﺏ ﻧﮧ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﮐﺒﮭﯽ ﻟﮍﯼ، ﻧﮧ ﺷﮑﺎﯾﺖ ﮐﯽ۔ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﻮ ﻭﮦ ﮔﮭﺮ ﻣﯿﮟ ﭘﮍﮬﺎ ﺩﯾﺘﯽ ﮨﮯ۔ ﺧﻮﺩ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﻗﺮﺁﻥ ﻣﺠﯿﺪ ﺗﺠﻮﯾﺪ ﺳﮯ ﭘﮍﮬﻨﺎ ﺳﯿﮑﮫ ﺭﮨﯽ ﺗﮭﯽ، ﻭﮦ ﺧﻮﺩ ﻧﻤﺎﺯ ﭘﮍﮬﻨﮯ ﻟﮕﯽ ﺗﮭﯽ، ﺍﻭﺭ ﺑﭽﻮﮞ ﮐﻮ ﺳﺨﺘﯽ ﺳﮯ ﻧﻤﺎﺯ ﭘﮍﮬﻨﮯ ﺑﮭﯿﺠﺘﯽ۔
ﻣﺠﮭﮯ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﮨﻮﻧﮯ ﻟﮕﺎ ﮐﮧ ﻧﺠﺎﺕ ﮐﺎ ﺭﺍﺳﺘﮧ ﯾﮩﯽ ﺗﻮ ﮨﮯ۔ ﭘﯿﺴﮧ ﺍﻭﺭ ﺁﺭﺍﺋﺶ ﺳﮑﻮﻥ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﯾﺘﺎ۔ ﺍﻃﻤﯿﻨﺎﻥ ﺗﻮ ﺑﺲ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﯽ ﯾﺎﺩ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ۔
ﻣﺠﮭﮯ ﺍﺱ ﺩﻥ ﺩﻭ ﮨﺰﺍﺭ ﮐﺮﺍﯾﮧ ﺗﮭﻮﮌﺍ ﻟﮓ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ، ﺁﺝ ﺳﻮﭼﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺗﻮ ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻭﮦ ﺗﻮ ﺍﺗﻨﺎ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺁﺝ ﻣﯿﺮﺍ ﮔﮭﺮ ﺳﮑﻮﻥ ﺳﮯ ﺑﮭﺮ ﮔﯿﺎﮨﮯ





RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...