Ek shakhs ne apne bete se waseeat karte hue kaha;" Beta ! Mere marne ke baad mere pairon me ye fate purane moze pehna dena, Meri khwahish hai
Mujhe Qabr me isi tarah utara jaye.
Baap ka marna tha ke ghusul wa kafan ki tayyari hone lagi.
Chunanche hasb wadah bete ne Aalim e deen se waseeat ka izhaar kiya,
Magar Aalim e deen ne ijazat na dete hue farmaya;
Humare deen me mayyat ko sirf kafan pehnane ki ijazat hai.
Magar ladke ne kafi israar kiya jiski bina par ulemae shahar ek jagah jama hue taake koi natijah nikal sake, magar hona kya tha... Lafzi taqraar padh gayi...
Isi dauraan ek shakhs warid e majlis hua aur bete ko baap ka khat thama diya..
Jisme baap ki waseeat yun tahreer thi....
Mere pyare bete, dekh rahe ho?
Kaseer Maal wa Dawlat, jaah wa hashm, baghaat, ghadi, kaarkhana aur tamam makanat hone ke bawajood iss baat ki bhi ijazat nahi ke Mai ek boseedah Maze apne saath le jasaku.
Ek roz tumhein bhi maut ayegi agaah hojao ke tumhein bhi ek kafan hi leke jana padega.
Lehaza koshish karna ke jo maal wa dawlat maine wirsa me chhodi hai ,uss se
✔ Istefadah karna
✔ Nek raah me kharch karna
✔ Be saharon ka sahara banna
Kyun ke jo wahid chiz qabar me tumhare saath jayegi woh tumhare aamal honge.
Visit &Subscribe: www.UrduDastaan.blogspot.in
Jazakallah
Allah hum sab ko inn baaton se naseehat hasil karne ki taufeeq de,
Aameen Summa Aameen
ﺍﯾﮏ ﺷﺨﺺ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﯿﭩﮯ ﺳﮯ ﻭﺻﯿﺖ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﮐﮩﺎ : ﺑﯿﭩﺎ ! ﻣﯿﺮﮮ ﻣﺮﻧﮯ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﯿﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﯾﮧ ﭘﮭﭩﮯ ﭘﺮﺍﻧﮯ ﻣﻮﺯﮮ ﭘﮩﻨﺎ ﺩﯾﻨﺎ , ﻣﯿﺮﯼ ﺧﻮﺍﮨﺶ ﮨﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﻗﺒﺮ ﻣﯿﮟ ﺍﺳﯽ ﻃﺮﺡ ﺍﺗﺎﺭﺍ ﺟﺎﺋﮯ .
ﺑﺎﭖ ﮐﺎ ﻣﺮﻧﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﻏﺴﻞ ﻭ ﮐﻔﻦ ﮐﯽ ﺗﯿﺎﺭﯼ ﮨﻮﻧﮯ ﻟﮕﯽ ﭼﻨﺎﻧﭽﮧ ﺣﺴﺐ ﻭﻋﺪﮦ ﺑﯿﭩﮯ ﻧﮯ ﻋﺎﻟﻢ ﺩﯾﻦ ﺳﮯ ﻭﺻﯿﺖ ﮐﺎ ﺍﻇﮩﺎﺭ ﮐﯿﺎ
ﻣﮕﺮ ﻋﺎﻟﻢ ﺩﯾﻦ ﻧﮯ ﺍﺟﺎﺯﺕ ﻧﮧ ﺩﯾﺘﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ : ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺩﯾﻦ ﻣﯿﮟ ﻣﯿﺖ ﮐﻮ ﺻﺮﻑ ﮐﻔﻦ ﭘﮩﻨﺎﻧﮯ ﮐﯽ ﺍﺟﺎﺯﺕ ﮨﮯ .
ﻣﮕﺮ ﻟﮍﮐﮯ ﻧﮯ ﮐﺎﻓﯽ ﺍﺻﺮﺍﺭ ﮐﯿﺎ ﺟﺴﮑﯽ ﺑﻨﺎﭘﺮ ﻋﻠﻤﺎﺀ ﺷﮩﺮ ﺍﯾﮏ ﺟﮕﮧ ﺟﻤﻊ ﮨﻮﺋﮯ ﺗﺎﮐﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﺘﯿﺠﮧ ﻧﮑﻞ ﺳﮑﮯ , ﻣﮕﺮ ﮨﻮﻧﺎ ﮐﯿﺎ ﺗﮭﺎ ..... ﻟﻔﻈﯽ ﺗﮑﺮﺍﺭ ﺑﮍﮬﺘﯽ ﮔﺌﯽ .....
ﺍﺳﯽ ﺍﺛﻨﺎﺀ ﺍﯾﮏ ﺷﺨﺺ ﻭﺍﺭﺩ ﻣﺠﻠﺲ ﮨﻮﺍ ﺍﻭﺭ ﺑﯿﭩﮯ ﮐﻮ ﺑﺎﭖ ﮐﺎ ﺧﻂ ﺗﮭﻤﺎﺩﯾﺎ ﺟﺴﻤﯿﮟ ﺑﺎﭖ ﮐﯽ ﻭﺻﯿﺖ ﯾﻮﮞ ﺗﺤﺮﯾﺮ ﺗﮭﯽ .....
ﻣﯿﺮﮮ ﭘﯿﺎﺭﮮ ﺑﯿﭩﮯ , ﺩﯾﮑﮫ ﺭﮨﮯ ﮨﻮ؟
ﮐﺜﯿﺮ ﻣﺎﻝ ﻭﺩﻭﻟﺖ , ﺟﺎﮦ ﻭ ﺣﺸﻢ , ﺑﺎﻏﺎﺕ , ﮔﺎﮌﯼ , ﮐﺎﺭﺧﺎﻧﮧ ﺍﻭﺭ ﺗﻤﺎﻡ ﻣﮑﺎﻧﺎﺕ ﮨﻮﻧﮯ ﮐﮯ ﺑﺎﻭﺟﻮﺩ ﺍﺱ ﺑﺎﺕ ﮐﯽ ﺑﮭﯽ ﺍﺟﺎﺯﺕ ﻧﮭﯿﮟ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺑﻮﺳﯿﺪﮦ ﻣﻮﺯﮦ ﺍﭘﻨﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﻟﮯ ﺟﺎﺳﮑﻮﮞ .
ﺍﯾﮏ ﺭﻭﺯ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﻣﻮﺕ ﺁﺋﮯ ﮔﯽ ﺁﮔﺎﮦ ﮨﻮﺟﺎﺅ ﮐﮧ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺍﯾﮏ ﮐﻔﻦ ﮨﯽ ﻟﯿﮑﮯ ﺟﺎﻧﺎ ﭘﮍﮮ ﮔﺎ .
ﻟﮩﺬﺍ ﮐﻮﺷﺶ ﮐﺮﻧﺎ ﮐﮧ ﺟﻮ ﻣﺎﻝ ﻭ ﺩﻭﻟﺖ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﻭﺭﺛﮧ ﻣﯿﮟ ﭼﮭﻮﮌﯼ ﮨﮯ ﺍﺱ ﺳﮯ
ﺍﺳﺘﻔﺎﺩﮦ ﮐﺮﻧﺎ✔
ﻧﯿﮏ ﺭﺍﮦ ﻣﯿﮟ ﺧﺮﭺ ﮐﺮﻧﺎ✔
ﺑﮯ ﺳﮩﺎﺭﻭﮞ ﮐﺎ ﺳﮩﺎﺭﺍ ﺑﻨﻨﺎ✔
ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﺟﻮ ﻭﺍﺣﺪ ﭼﯿﺰ ﻗﺒﺮ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺳﺎﺗﮫ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﯽ ﻭﮦ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺃﻋﻤﺎﻝ ﮨﻮﻧﮕﮯ۔۔۔