♦ SEERAT E RASOOL SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KA EK KHUBSOORAT WAQIYA

Elaan e nabuwat ke chand roz baad nabi kareem Sallallaho Alaihe wasallam ek raat makka ki ek gali se guzar rahe the ke Unhein ek ghar me se kisi ke rone ki aawaz aayi, aawaz me itna dard tha ke Aap

Sallallaho Alaihe wasallam be ikhtiyar uss ghar me daakhil hogaye . Dekha to ek nojawan jo ke habsha ka maloom hota hai chakki pees raha hai aur zaro qataar ro raha hai Aap Sallallaho Alaihe wasallam ne usse rone ki wajah poochi to usne bataya ke mai ek ghulam hoon. sara din apne maalik ki bakriyan chrata hoon shaam ko thak kar jab ghar aata hoon to, mera maalik mujhe gandum ki ek bori peesne ke liye de deta hai jis ko peesne mein saari raat lag jati hai. Mai apni qismat par ro raha hoon ke meri bhi kya qismat hai mai bhi to ek gosht post ka insaan hoon. mera jism bhi aaraam mangta hai mujhe bhi
neend satati hai lekin mere maalik ko mujh par zara bhi taras nahi aata, kya mere muqaddar me saari Umar iss tarha ro ro ke zindagi guzaarna likha hai? ?
Nabi kareem Sallallaho Alaihe wasallam ne farmaya ke Mai tumahre maalik se keh kar tumhari mushaqqat to kam nahi karwa sakta hoon kyun ke woh meri baat nahi manega,
Haan mai tumhari thodi madad karsakta hoon ke tum so jao aur Mai tumhari jagah par chakki peesta hoon. woh ghulam bohat khush huwa aur shukriya ada karke so gaya aur Aap Sallallaho Alaihe wasallam uski jagah chakki peeste rahe, jab gandum khatam hogayi to Aap Sallallaho Alaihe wasallam usse jagaaye baghair wapas tashreef le aeye. Dosre din phir aap Sallallaho Alaihe wasallam wahan
tashreef le gaye aur uss ghulam ko sulaa kar uski jagah chuki peeste rahe, teesre din
bhi yahi maajra huwa ke Aap Sallallaho Alaihe wasallam ghulam ki jagah saari raat chuki peeste aur subah ko khamoshi se apne ghar tashreef le atay, ,
chouthi raat jab Aap Sallallaho Alaihe wasallam wahan gaye to usss ghulam ne kaha, aey Allah ke bande aap kaun ho aur mera itna khayaal kyun kar rahe ho ? Hum ghulamoo se na kisi ko koi darr hota hai aur na koi faida to phir aap yeh sab kuch kis liye kar rahe ho? ?
Aap Sallallaho Alaihe wasallam ne farmaya ke Mai yeh sab insani humdardi ke tehat kar raha hoon iske ilawa mujhe tum se koi gharz nahi,
Uss ghulam ne kaha ke aap koun ho?
Nabi kareem Sallallaho Alaihe wasallam ne farmaya kya tumhe ilm hai ke makka me ek shakhs ne nabuwat ka daawa kiya hai ?
Uss ghulam ne kaha haan mai ne suna hai ke ek shakhs jis ka naam Mohammad hai apne
aap ko Allah ka nabi kehta hai, Aap Sallallaho Alaihe wasallam ne farmaya ke Mai wahi Mohammad (Sallallaho Alaihe Wasallam) hoon .
yeh sun kar uss ghulam ne kaha ke agar aap hi woh nabi hain to mujhe apna kalma padhaiye kyun ke itna shafeeq aur meharban koi nabi hi ho sakta hai jo ghulamoo ka bhi iss qader khayaal rakhe,
Aap Sallallaho Alaihe wasallam ne unhen kalma padha kar musalman kardiya , phir duniya ne dekha ke uss ghulam ne takleifein aur moshaqqatein bardasht ki lekin daman mustafa nah chhoda. Unhen jaan dena to gawara tha lekin itne shafeeq aur meharban nabi ka sath chhodna gawara nahi tha. .
Aaj duniya unhein Bilal Habshi razi Allah anho ke naam se janti hai .
Nabi kareem Sallallaho Alaihe wasallam ki humdardi aur mohabbat ne unhein Aap Sallallaho Alaihe wasallam ka be los ghulam bana kar rehti duniya taq misaal bana diya.
Visit & Subscribe: Www.PakizahKahaniya.blogspot.in
Jazakallah..





ﺍﻋﻼﻥ ﻧﺒﻮﺕ ﮐﮯ ﭼﻨﺪ ﺭﻭﺯ ﺑﻌﺪ ﻧﺒﯽ ﮐﺮﯾﻢ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﺍﯾﮏ ﺭﺍﺕ ﻣﮑﮧ ﮐﯽ ﺍﯾﮏ ﮔﻠﯽ ﺳﮯ ﮔﺰﺭ ﺭﮨﮯ ﺗﮭﮯ ﮐﮧ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﮔﮭﺮ ﻣﯿﮟ ﺳﮯ ﮐﺴﯽ ﮐﮯ ﺭﻭﻧﮯ ﮐﯽ ﺁﻭﺍﺯ ﺁﺋﯽ ۔ ﺁﻭﺍﺯ ﻣﯿﮟ ﺍﺗﻨﺎ ﺩﺭﺩﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﺑﮯ ﺍﺧﺘﯿﺎﺭ ﺍﺱ ﮔﮭﺮ ﻣﯿﮟ ﺩﺍﺧﻞ ﮨﻮﮔﺌﮯ۔
ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﻮ ﺍﯾﮏ ﻧﻮﺟﻮﺍﻥ ﺟﻮ ﮐﮧ ﺣﺒﺸﮧ ﮐﺎ ﻣﻌﻠﻮﻡ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﭼﮑﯽ ﭘﯿﺲ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺯﺍﺭﻭ ﻗﻄﺎﺭ ﺭﻭ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﺍﺱ ﺳﮯ ﺭﻭﻧﮯ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﭘﻮﭼﮭﯽ ﺗﻮ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺑﺘﺎﯾﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﻏﻼﻡ ﮨﻮﮞ ۔
ﺳﺎﺭﺍ ﺩﻥ ﺍﭘﻨﮯ ﻣﺎﻟﮏ ﮐﯽ ﺑﮑﺮﯾﺎﮞ ﭼﺮﺍﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﺷﺎﻡ ﮐﻮ ﺗﮭﮏ ﮐﺮ ﺟﺐ ﮔﮭﺮ ﺁﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﺗﻮ، ﻣﯿﺮﺍ ﻣﺎﻟﮏ ﻣﺠﮭﮯ ﮔﻨﺪﻡ ﮐﯽ ﺍﯾﮏ ﺑﻮﺭﯼ ﭘﯿﺴﻨﮯ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺩﮮ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ ﺟﺲ ﮐﻮ ﭘﯿﺴﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺳﺎﺭﯼ ﺭﺍﺕ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ ۔ ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﯽ ﻗﺴﻤﺖ ﭘﺮ ﺭﻭ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﮞ ﮐﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﺑﮭﯽ ﮐﯿﺎ ﻗﺴﻤﺖ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺗﻮ ﺍﯾﮏ ﮔﻮﺷﺖ ﭘﻮﺳﺖ ﮐﺎ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﮨﻮﮞ ۔ ﻣﯿﺮﺍ ﺟﺴﻢ ﺑﮭﯽ ﺁﺭﺍﻡ ﻣﺎﻧﮕﺘﺎ ﮨﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﺑﮭﯽ ﻧﯿﻨﺪ ﺳﺘﺎﺗﯽ ﮨﮯ ﻟﯿﮑﻦ ﻣﯿﺮﮮ ﻣﺎﻟﮏ ﮐﻮ ﻣﺠﮫ ﭘﺮ ﺫﺭﺍ ﺑﮭﯽ ﺗﺮﺱ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﺎ ۔
ﮐﯿﺎ ﻣﯿﺮﮮ ﻣﻘﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﺳﺎﺭﯼ ﻋﻤﺮ ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﺭﻭ ﺭﻭ ﮐﮯ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮔﺰﺍﺭﻧﺎ ﻟﮑﮭﺎ ﮨﮯ ؟؟
ﻧﺒﯽ ﮐﺮﯾﻢ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﻣﺎﻟﮏ ﺳﮯ ﮐﮩﮧ ﮐﺮ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﻣﺸﻘﺖ ﺗﻮ ﮐﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﻭﺍ ﺳﮑﺘﺎﮐﯿﻮﮞ ﮐﮧ ﻭﮦ ﻣﯿﺮﯼ ﺑﺎﺕ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﺎﻧﮯ ﮔﺎ،ﮨﺎﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺗﮭﻮﮌﯼ ﻣﺪﺩ ﮐﺮﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﮐﮧ ﺗﻢ ﺳﻮ ﺟﺎﺅ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺟﮕﮧ ﭘﺮ ﭼﮑﯽ ﭘﯿﺴﺘﺎ ﮨﻮﮞ ۔ ﻭﮦ ﻏﻼﻡ ﺑﮩﺖ ﺧﻮﺵ ﮨﻮﺍ ﺍﻭﺭ ﺷﮑﺮﯾﮧ ﺍﺩﺍ ﮐﺮﮐﮯ ﺳﻮ ﮔﯿﺎ
ﺍﻭﺭ ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﺍﺳﮑﯽ ﺟﮕﮧ ﭼﮑﯽ ﭘﯿﺴﺘﮯ ﺭﮨﮯ، ﺟﺐ ﮔﻨﺪﻡ ﺧﺘﻢ ﮨﻮﮔﺌﯽ ﺗﻮ ﺁﭖ ﺍﺳﮯ ﺟﮕﺎﺋﮯ ﺑﻐﯿﺮ ﻭﺍﭘﺲ ﺗﺸﺮﯾﻒ ﻟﮯ ﺁﺋﮯ ۔ ﺩﻭﺳﺮﮮ ﺩﻥ ﭘﮭﺮ ﺁﭖ ﻭﮨﺎﮞ ﺗﺸﺮﯾﻒ ﻟﮯ ﮔﺌﮯ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﻏﻼﻡ ﮐﻮ ﺳﻼ ﮐﺮ ﺍﺳﮑﯽ ﺟﮕﮧ ﭼﮑﯽ ﭘﯿﺴﺘﮯ ﺭﮨﮯ ۔ ﺗﯿﺴﺮﮮ ﺩﻥ ﺑﮭﯽ ﯾﮩﯽ ﻣﺎﺟﺮﺍ ﮨﻮﺍ ﮐﮧ ﺁﭖ ﺍﺱ ﻏﻼﻡ ﮐﯽ ﺟﮕﮧ ﺳﺎﺭﯼ ﺭﺍﺕ ﭼﮑﯽ ﭘﯿﺴﺘﮯ ﺍﻭﺭ ﺻﺒﺢ ﮐﻮ ﺧﺎﻣﻮﺷﯽ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﮔﮭﺮ ﺗﺸﺮﯾﻒ ﻟﮯ ﺁﺗﮯ،،
ﭼﻮﺗﮭﯽ ﺭﺍﺕ ﺟﺐ ﺁﭖ ﻭﮨﺎﮞ ﮔﺌﮯ ﺗﻮ ﺍﺱ ﻏﻼﻡ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ، ﺍﮮ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﮯ ﺑﻨﺪﮮ ﺁﭖ ﮐﻮﻥ ﮨﻮ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﺍ ﺍﺗﻨﺎ ﺧﯿﺎﻝ ﮐﯿﻮﮞ ﮐﺮ ﺭﮨﮯ ﮨﻮ ۔ﮨﻢ ﻏﻼﻣﻮﮞ ﺳﮯ ﻧﮧ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﮐﻮﺋﯽ ﮈﺭ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﻧﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﻓﺎﺋﺪﮦ ۔
ﺗﻮ ﭘﮭﺮ ﺁﭖ ﯾﮧ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﮐﺲ ﻟﯿﮯ ﮐﺮ ﺭﮨﮯ ﮨﻮ ؟؟
ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﯾﮧ ﺳﺐ ﺍﻧﺴﺎﻧﯽ ﮨﻤﺪﺩﺭﯼ ﮐﮯ ﺗﺤﺖ ﮐﺮ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﮞ ﺍﺱ ﮐﮯ ﻋﻼﻭﮦ ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﻏﺮﺽ ﻧﮩﯿﮟ، ﺍﺱ ﻏﻼﻡ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﮐﮧ ﺁﭖ ﮐﻮﻥ ﮨﻮ ،،
ﻧﺒﯽ ﮐﺮﯾﻢ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮐﯿﺎ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﻋﻠﻢ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻣﮑﮧ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺷﺨﺺ ﻧﮯ ﻧﺒﻮﺕ ﮐﺎ ﺩﻋﻮﯼٰ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ۔ﺍﺱ ﻏﻼﻡ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﮨﺎﮞ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺳﻨﺎ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺍﯾﮏ ﺷﺨﺺ ﺟﺲ ﮐﺎ ﻧﺎﻡ ﻣﺤﻤﺪ ﮨﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺁﭖ ﮐﻮ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﺎ ﻧﺒﯽ ﮐﮩﺘﺎ ﮨﮯ، ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﻭﮨﯽ ﻣﺤﻤﺪ ﮨﻮﮞ ۔
ﯾﮧ ﺳﻦ ﮐﺮ ﺍﺱ ﻏﻼﻡ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﮐﮧ ﺍﮔﺮ ﺁﭖ ﮨﯽ ﻭﮦ ﻧﺒﯽ ﮨﯿﮟ ﺗﻮ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭘﻨﺎ ﮐﻠﻤﮧ ﭘﮍﮬﺎﺋﯿﮯ ﮐﯿﻮﮞ ﺍﺗﻨﺎ ﺷﻔﯿﻖ ﺍﻭﺭ ﻣﮩﺮﺑﺎﻥ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﺒﯽ ﮨﯽ ﮨﻮﺳﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﺟﻮ ﻏﻼﻣﻮﮞ ﮐﺎ ﺑﮭﯽ ﺍﺱ ﻗﺪﺭ ﺧﯿﺎﻝ ﺭﮐﮭﮯ، ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﮐﻠﻤﮧ ﭘﮍﮬﺎ ﮐﺮ ﻣﺴﻠﻤﺎﻥ ﮐﺮﺩﯾﺎ،
ﭘﮭﺮ ﺩﻧﯿﺎ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﮐﮧ ﺍﺱ ﻏﻼﻡ ﻧﮯ ﺗﮑﻠﯿﻔﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﻣﺸﻘﺘﯿﮟ ﺑﺮﺩﺍﺷﺖ ﮐﯽ ﻟﯿﮑﻦ ﺩﺍﻣﻦ ﻣﺼﻄﻔﯽٰ ﻧﮧ ﭼﮭﻮﮌﺍ ۔ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﻥ ﺩﯾﻨﺎ ﺗﻮ ﮔﻮﺍﺭﺍ ﺗﮭﺎ ﻟﯿﮑﻦ ﺍﺗﻨﮯ ﺷﻔﯿﻖ ﺍﻭﺭ ﻣﮩﺮﺑﺎﻥ ﻧﺒﯽ ﮐﺎ ﺳﺎﺗﮫ ﭼﮭﻮﮌﻧﺎ ﮔﻮﺍﺭﮦ ﻧﮧ ﺗﮭﺎ ..
ﺁﺝ ﺩﻧﯿﺎ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﺑﻼﻝ ﺣﺒﺸﯽ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻨﮧ ﮐﮯ ﻧﺎﻡ ﺳﮯ ﺟﺎﻧﺘﯽ ﮨﮯ ۔
ﻧﺒﯽ ﮐﺮﯾﻢ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﮐﯽ ﮨﻤﺪﺩﺭﯼ ﺍﻭﺭ ﻣﺤﺒﺖ ﻧﮯ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﮐﺎ ﺑﮯ ﻟﻮﺙ ﻏﻼﻡ ﺑﻨﺎ ﮐﺮ ﺭﮨﺘﯽ ﺩﻧﯿﺎ ﺗﮏ ﻣﺜﺎﻝ ﺑﻨﺎ ﺩﯾﺎ ....
..

RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...