♦ JAB KISI ZARURATMAND SE WADAH KARO TO USEY JALD HI PURA KARO


Kahte hain ke Iraan ka ek Badshaah sardiyon ki shaam jab apne mahal me dakhil horaha tha to ek budhe darbaan ko dekha jo mahal ke sadar darwaze par purani aur bareek wardi me pehra de raha tha.
Badshaah ne uske qareeb apni sawari ko rukwaya aur uss zaeef darbaan se puchhne laga;
"Sardi nahi lag rahi ?"
Darbaan ne jawab diya;
"Bahut lagtu hai Huzoor. Magar kya karon , garm wardi hain nahi mere paas, isliye bardasht karna padta hai".
" Mai abhi Mahal ke andar jakar apna hi koi purana garm joda bhejta hoon tumhein".
Darbaan ne khush hokar Badshaah ko farsi salam kahe aur bahaut tashakkur ka izhar kiya,
Lekin Badshaah jaise hi garm mahal me dakhil hua, darbaan ke saath kiya hua wadah bhul gaya.
Subah darwaze par uss budhe ki akdi hui lash mili aur qareeb hi mitti par uski unglion se likhi hui ek tahreer thi.
" Badshaah salamat, Mai kayi salon se sardion me isi nazuk wardi me darbani kar raha tha magar kal raat apke garm lebas ke wade ne meri jaan nikal di."
✿ Pakizah Kahaniya ✿







ﮐﮩﺘﮯ ﮬﯿﮟ ﮐﮧ ﺍﯾﺮﺍﻥ ﮐﺎ ﺍﯾﮏ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺳﺮﺩﯾﻮﮞ ﮐﯽ ﺷﺎﻡ ﺟﺐ ﺍﭘﻨﮯ ﻣﺤﻞ ﻣﯿﮟ ﺩﺍﺧﻞ ﮬﻮ ﺭﮬﺎ ﺗﮭﺎ ﺗﻮ ﺍﯾﮏ ﺑﻮﮌﮬﮯ ﺩﺭﺑﺎﻥ ﮐﻮ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺟﻮ ﻣﺤﻞ ﮐﮯ ﺻﺪﺭ ﺩﺭﻭﺍﺯﮮ ﭘﺮ ﭘُﺮﺍﻧﯽ ﺍﻭﺭ ﺑﺎﺭﯾﮏ ﻭﺭﺩﯼ ﻣﯿﮟ ﭘﮩﺮﮦ ﺩﮮ ﺭﮬﺎ ﺗﮭﺎ۔ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﻧﮯ ﺍُﺱ ﮐﮯ ﻗﺮﯾﺐ ﺍﭘﻨﯽ ﺳﻮﺍﺭﯼ ﮐﻮ ﺭﮐﻮﺍﯾﺎ ﺍﻭﺭ ﺍُﺱ ﺿﻌﯿﻒ ﺩﺭﺑﺎﻥ ﺳﮯ ﭘﻮﭼﮭﻨﮯ ﻟﮕﺎ :
" ﺳﺮﺩﯼ ﻧﮩﯿﮟ ﻟﮓ ﺭﮬﯽ؟ "
ﺩﺭﺑﺎﻥ ﻧﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﺎ " : ﺑﮩﺖ ﻟﮕﺘﯽ ﮬﮯ ﺣﻀﻮﺭ۔ ﻣﮕﺮ ﮐﯿﺎ ﮐﺮﻭﮞ، ﮔﺮﻡ ﻭﺭﺩﯼ ﮬﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ، ﺍِﺱ ﻟﺌﮯ ﺑﺮﺩﺍﺷﺖ ﮐﺮﻧﺎ ﭘﮍﺗﺎ ﮬﮯ۔ "
" ﻣﯿﮟ ﺍﺑﮭﯽ ﻣﺤﻞ ﮐﮯ ﺍﻧﺪﺭ ﺟﺎ ﮐﺮ ﺍﭘﻨﺎ ﮬﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﮔﺮﻡ ﺟﻮﮌﺍ ﺑﮭﯿﺠﺘﺎ ﮬﻮﮞ ﺗﻤﮩﯿﮟ۔ "
ﺩﺭﺑﺎﻥ ﻧﮯ ﺧﻮﺵ ﮬﻮ ﮐﺮ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﻮ ﻓﺮﺷﯽ ﺳﻼﻡ ﮐﮩﮯ ﺍﻭﺭ ﺑﮩﺖ ﺗﺸﮑّﺮ ﮐﺎ ﺍﻇﮩﺎﺭ ﮐﯿﺎ، ﻟﯿﮑﻦ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺟﯿﺴﮯ ﮬﯽ ﮔﺮﻡ ﻣﺤﻞ ﻣﯿﮟ ﺩﺍﺧﻞ ﮬﻮﺍ، ﺩﺭﺑﺎﻥ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﮐﯿﺎ ﮬﻮﺍ ﻭﻋﺪﮦ ﺑﮭﻮﻝ ﮔﯿﺎ۔
ﺻﺒﺢ ﺩﺭﻭﺍﺯﮮ ﭘﺮ ﺍُﺱ ﺑﻮﮌﮮ ﺩﺭﺑﺎﻥ ﮐﯽ ﺍﮐﮍﯼ ﮬﻮﺋﯽ ﻻﺵ ﻣﻠﯽ ﺍﻭﺭ ﻗﺮﯾﺐ ﮬﯽ ﻣﭩّﯽ ﭘﺮ ﺍُﺱ ﮐﯽ ﯾﺦ ﺑﺴﺘﮧ ﺍﻧﮕﻠﯿﻮﮞ ﺳﮯ ﻟﮑﮭﯽ ﮔﺌﯽ ﯾﮧ ﺗﺤﺮﯾﺮ ﺑﮭﯽ :
" ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺳﻼﻣﺖ، ﻣﯿﮟ ﮐﺌﯽ ﺳﺎﻟﻮﮞ ﺳﮯ ﺳﺮﺩﯾﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺍِﺳﯽ ﻧﺎﺯﮎ ﻭﺭﺩﯼ ﻣﯿﮟ ﺩﺭﺑﺎﻧﯽ ﮐﺮ ﺭﮬﺎ ﺗﮭﺎ ﻣﮕﺮ ﮐﻞ ﺭﺍﺕ ﺁﭖ ﮐﮯ ﮔﺮﻡ ﻟﺒﺎﺱ ﮐﮯ ﻭﻋﺪﮮ ﻧﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﺟﺎﻥ ﻧﮑﺎﻝ ﺩﯼ۔ "
✿ Pakizah Kahaniya ✿





RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...