♦ MOOR KE PARR (HEKAYAT E RUMI)

Ek taoos (moor) jungle me khada apne khubsoorat parr noch kar pheink raha tha.  Ek aqalmand
ye dekh kar bada tajjub hua aur bola,
"Aey Taoos (moor)!  Tera dil kistarah gawara karta hai ke tu apne khubsoorat paron ko yun noch kar pheink raha hai, Log to bade zauq o shauq se tere parr utha kar Quran Shareef me rakh lete hain.
aur mahbooban e jahan unke pankhe bana bana kar khubsoorat chehron ko hawa dete hain.  Ye teri badi nashukri aur ghustakhi hai ke tu Sane (banane wale)  ki aisi purnuqs wa nigaar chiz ko iss qadar be qadri se zaye kar raha hai. "
Moor ye sunn kar munh se kuchh na bola.  magar uski ankhon se khudbakhud ansun rawan hogaye.  Chunke woh dard e dil ka pata dete the.  Isliye sab ashk rezi se motassir hue.  Jab ankhon ki raah woh apni dil ki aag nikal chuka to bola..,
" Aey dana (akalmand)  insaan!  ab meri baat bhi sunn le..
Tu meri khusnuma paron ko dekhta hai magar mai apne asbon (azaon) ko ashkbaar hoon.  Na mere ghosht me maza hai na paon me. Log mere khubsoorat paron ki tareef karte hain,  aur mai apne badsoorat pairon ki wajah se sharmindah hoon.  sirf mere parr hi hain jin ke liye shikari meri talaash me rehte hain. Aur Mujhe maar girate hain.  Kaash ghosht aur paon ki tarah mere bhi parr kharaab hoon. aur meri nili gardan bhi badsoorat hoti taake mai shikarion ka nishana na banta.  Mai apni dumm ke parr isi liye noch kar phenk raha hoon taake mujhe beghair parr dekh kar shikari meri jaan lene ke darpe na hoon.
Hasil e Kalam::
Hunr aur ikhteyaar unhi ko sood mand hai jo Allah se darne wale hain warna ye hunr aur ikhteyaar insaan ke liye waisa hi wabaal bann jata hai jistadah moor ke liye uske parr.






ﺍﯾﮏ ﻃﺎﻭٴﺱ ( ﻣﻮﺭ ) ﺟﻨﮕﻞ ﻣﯿﮟ ﮐﮭﮍﺍ ﺍﭘﻨﮯ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﭘﺮ ﻧﻮﭺ ﮐﺮ ﭘﮭﯿﻨﮏ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ۔ ﺍﯾﮏ ﻋﻘﻠﻤﻨﺪ ﯾﮧ ﺩﯾﮑﮫ ﮐﺮ ﺑﮍﺍ ﻣﺘﻌﺠﺐ ﮨﻮﺍ ﺍﻭﺭ ﺑﻮﻻ ۔ ﺍﮮ ﻃﺎﻭٴﺱ ! ﺗﯿﺮﺍ ﺩﻝ ﮐﺴﻄﺮﺡ ﮔﻮﺍﺭﺍ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯﮐﮧ ﺗﻮ ﺍﭘﻨﮯ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﭘﺮﻭﮞ ﮐﻮ ﯾﻮﮞ ﻧﻮﭺ ﮐﺮ ﭘﮭﯿﻨﮏ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ،ﻟﻮﮒ ﺗﻮ ﺑﮍﮮ ﺫﻭﻕ ﻭﺷﻮﻕ ﺳﮯ ﮮﯾﺘﺮﮮ ﭘﺮ ﺍﭨﮭﺎ ﮐﺮ ﻗﺮﺁﻥ ﺷﺮﯾﻒ ﻣﯿﮟ ﺭﮐﮫ ﻟﯿﺘﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﺍﻭﺭ ﻣﺤﺒﻮﺑﺎﻥِ ﺟﮩﺎﮞ ﺍﻥ ﮐﮯ ﭘﻨﮑﮭﮯ ﺑﻨﺎ ﺑﻨﺎﮐﺮ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﭼﮩﺮﻭﮞ ﮐﻮ ﮨﻮﺍ ﺩﯾﺘﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﯾﮧ ﺗﯿﺮﯼ ﺑﮍﯼ ﻧﺎﺷﮑﺮﯼ ﺍﻭﺭ ﮔﺴﺘﺎﺧﯽ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺗﻮ ﺻﺎﻧﻊ ﮐﯽ ﺍﯾﺴﯽ ﭘﺮﻧﻘﺶ ﻭﻧﮕﺎﺭ ﭼﯿﺰ ﮐﻮ ﺍﺳﻘﺪﺭ ﺑﮯﻗﺪﺭﯼ ﺳﮯ ﺿﺎﺋﻊ ﮐﺮﺭﮨﺎ ﮨﮯ۔
ﻣﻮﺭ ﯾﮧ ﺳﻦ ﮐﺮ ﻣﻨﮧ ﺳﮯ ﮐﭽﮫ ﻧﮧ ﺑﻮﻻ ۔ ﻣﮕﺮ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﺧﻮﺩ ﺑﺨﻮﺩ ﺁﻧﺴﻮ ﺭﻭﺍﮞ ﮨﻮﮔﺌﮯ۔ ﭼﻮﻧﮑﮧ ﻭﮦ ﺩﺭﺩ ﺩﻝ ﮐﺎ ﭘﺘﮧ ﺩﯾﺘﮯ ﺗﮭﮯ۔ ﺍﺱ ﻟﺌﮯ ﺳﺐ ﺍﺷﮏ ﺭﯾﺰﯼ ﺳﮯ ﻣﺘﺎﺛﺮ ﮨﻮﺋﮯ۔ ﺟﺐ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﯽ ﺭﺍﮦ ﻭﮦ ﺍﭘﻨﯽ ﺩﻝ ﮐﯽ ﺁﮒ ﻧﮑﺎﻝ ﭼﮑﺎﺗﻮ ﺑﻮﻻ .....
ﺍﮮ ﺩﺍﻧﺎ ﺍﻧﺴﺎﻥ ! ﺍﺏ ﻣﯿﺮﯼ ﺑﺎﺕ ﺑﮭﯽ ﺳﻦ ﻟﮯ ... ،
'' ﺗﻮ ﻣﯿﺮﮮ ﺧﻮﺷﻨﻤﺎ ﭘﺮﻭﮞ ﮐﻮ ﺩﯾﮑﮭﺘﺎ ﮨﮯ ﻣﮕﺮ ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﮯ ﻋﺼﺒﻮﮞ ﮐﻮ ﺩﯾﮑﮫ ﮐﺮ ﺍﺷﮑﺒﺎﺭ ﮨﻮﮞ۔ ﻧﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﮔﻮﺷﺖ ﻣﯿﮟ ﻣﺰﺍ ﮨﮯﻧﮧ ﭘﺎﻭٴﮞ ﻣﯿﮟ۔ ﻟﻮﮒ ﻣﯿﺮﮮ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺕ ﭘﺮﻭﮞ ﮐﯽ ﺗﻌﺮﯾﻒ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﯿﮟ،ﺍﻭﺭ ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﺪﺻﻮﺭﺕ ﭘﯿﺮﻭﮞ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﺳﮯ ﺷﺮﻣﻨﺪﮦ ﮨﻮﮞ۔ ﺻﺮﻑ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺮ ﮨﯽ ﮨﯿﮟ ﺟﻦ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﺷﮑﺎﺭﯼ ﻣﯿﺮﯼ ﺗﻼﺵ ﻣﯿﮟ ﺭﮨﺘﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﺍﻭﺭ ﻣﺠﮭﮯ ﻣﺎﺭ ﮔﺮﺍﺗﮯ ﮨﯿﮟ۔ ﮐﺎﺵ ﮔﻮﺷﺖ ﺍﻭﺭ ﭘﺎﻭٴﮞ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺮ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﺍﺏ ﮨﻮﮞ۔ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﯼ ﻧﯿﻠﮕﻮﮞ ﮔﺮﺩﻥ ﺑﮭﯽ ﺑﺪﺻﻮﺭﺕ ﮨﻮﺗﯽ ﺗﺎﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﺷﮑﺎﺭﯾﻮﮞ ﮐﺎ ﻧﺸﺎﻧﮧ ﻧﮧ ﺑﻨﺘﺎ ۔ ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﯽ ﺩُﻡ ﮐﮯ ﭘﺮ ﺍﺳﯽ ﻟﺌﮯ ﻧﻮﭺ ﮐﮯ ﭘﮭﯿﻨﮏ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﮞ ۔ ﺗﺎﮐﮧ ﻣﺠﮭﮯ بغیر پر ﺩﯾﮑﮫ ﮐﺮ ﺷﮑﺎﺭﯼ ﻣﯿﺮﯼ ﺟﺎﻥ ﻟﯿﻨﮯ ﮐﮯ ﺩﺭﭘﮯ ﻧﮧ ﮨﻮﮞ۔

ﮨﻨﺮ ﺍﻭﺭ ﺍﺧﺘﯿﺎﺭ ﺍﻧﮩﯽ ﮐﻮ ﺳﻮﺩ ﻣﻨﺪ ﮨﮯ ﺟﻮ ﺍﻟﻠّٰﮧ ﺳﮯ ﮈﺭﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﮨﯿﮟ ﻭﺭﻧﮧ ﯾﮧ ﮨﻨﺮ ﺍﻭﺭ ﺍﺧﺘﯿﺎﺭ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﻭﯾﺴﺎ ﮨﯽ ﻭﺑﺎﻝ ﺑﻦ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ ﺟﺴﻄﺮﺡ ﻣﻮﺭ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﺍﺱ ﮐﮯ ﭘﺮ۔
‏( ﺣﮑﺎﯾﺖِ ﺭﻭﻣﯽ ‏)


RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...