♦ JHOOT BURI CHIZ HAI


جھوٹ اس قدر ناپسندیدہ چیزہے کہ انسان کے علاوہ دیگر مخلوقات بھی اس سے نفرت کرتی ہے۔حافظ ابن قیمؒ نے ایک عجیب واقعہ لکھا ہے، وہ فرماتے ہیں کہ ایک چیونٹی ایک مرتبہ
اپنے بل سے نکلی، اسے بل سے باہر مری ہوئی ٹڈی کاایک چھوٹا سا ٹکڑا ملا، اس نے اسے اٹھانے کی کوشش کی لیکن وہ اپنی کوشش میں ناکام رہی، چنانچہ اس نے وہ ٹکڑا وہیں چھوڑا اورچلی گئی،

تھوڑی دیر کے بعد اس کے ساتھ کچھ اور چیونٹیاں بھی آگئیں تاکہ وہ سب مل کر اس ٹکڑے کو اٹھائیں اور لے جائیں۔ایک آدمی یہ منظر دیکھ رہا تھا، اس نے اس ٹکڑے کوزمین سے اٹھا کر کہیں چھپا دیا، سب چیونٹیوں نے اس ٹکڑے کو ادھر ادھر تلاش کرنا شروع کر دیا، جب انہیں وہ ٹکڑا نہ ملا تو باقی سب چیونٹیاں چلی گئیں اور اطلاع دینے والی چیونٹی وہیں گھومتی رہی، اس آدمی نے وہ ٹکڑا اس کے سامنے رکھ دیا، اس نے ٹکڑے کو پھر اٹھانے کی کوشش کی لیکن اس کی یہ کوشش بھی بے سود رہی، چنانچہ وہ پھر گئی اور ان چیونٹیوں کوبلا کر لے آئی، اس آدمی نے کئی مرتبہ ایسا کیا، بالآخر ان چیونٹیوں نے تنگ آ کر اس چیونٹی کو گھیرے میں لے لیا اور اس کے جسم کا ایک ایک عضو الگ کر دیا۔ اس آدمی نے یہ واقعہ جب اپنے استاد کو سنایا تو انہوں نے حقیقت سے پردہ اٹھاتے ہوئے کہا کہ دوسری چیونٹیوں نے اس چیونٹی کو اس لیے قتل کیا کہ اللہ تعالیٰ نے ان کی فطرت میں یہ بات ڈال دی ہے کہ جھوٹ بری چیز ہے اور جھوٹے کو سزا ملنی چاہیے، اگرچہ اس ٹکڑے کے نہ ملنے میں اس کا اپنا کوئی قصور نہیں تھا لیکن چونکہ وہ چیونٹی ان کے نزدیک جھوٹی ثابت ہوچکی تھی اس لیے انہوں نے مل کر اسے جان سے ہی ماردیا







Jhoot iss qadar napasandeedah chiz hai ke insaan ke ilawa deegar makhloqaat bhi is se nafrat karti hai. 
Hafiz Ibn qayyim ne ek ajeeb waqea likha hai, woh farmate hain ke ek choonti ek martaba apne bil se nikli, usey bil se bahar mari hui tiddi ka ek chhota sa tukda mila, usne usey uthane ki koshish ki lekin woh apni koshish me nakaam rahi, chunanche usne woh tukda wahin chhoda aur chali gayi ,
Thodi der ke baad uss ke sath kuch aur chyuntiyan bhi agayein taake woh sab mil kar uss tukde ko uthayein aur le jayein. Ek aadmi yeh manzar dekh raha tha, Usne uss tukde ko zameen se utha kar kahin chhupa diya, sab chyontiyon ne uss tukde ko idhar udhar  talaash karna shuru kar diya, jab unhein  woh tukda na mila to baqi sab chyontiyan chali gayein aur ittila dene wali choonti wahein ghhoomti rahi, Uss aadmi ne woh tukda uske samne rakh diya, Uss ne tukde ko phir uthane ki koshish ki lekin uss ki yeh koshish bhi be sood rahi, chunanche woh phir gayi aur unn chyontiyon ko bula kar le aayi, Uss aadmi ne kayi martaba aisa kiya, bil akhir un chyontiyon ne tang aa kar uss choonti ko ghere me le liya aur uss ke jism ka ek ek uzoo alag kar diya. Uss aadmi ne yeh waqiya jab apne ustaad ko sunaya to unhon ne haqeeqat se parda uthate hue kaha ke doosri chyontiyon ne uss choonti ko is liye qatal kiya ke Allah taala ne unn ki fitrat me yeh baat daal di hai ke jhoot buri cheez hai aur jhute ko saza milni chahiye, agarche uss tukde ke na milne me uss ka apna koi qasoor nahi tha lekin chunke woh choonti un ke nazdeeq jhooti saabit ho chuki thi is liye unhon ne mil kar usey jaan se hi maar diya. 




RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...