♦ KISI PAR NUQTA-CHINI KARNE SE PEHLE APNI JAIZA ACHHI TARAH KARLENA CHAHIYE


Ek Naujawan nobihata jode ke ghar ke samne naye padosi aye. Uss jode ki biwi ki aadat thi ke woh har ek par tanqeedi nazar rakhti thi .

Unn ke Drawing hall se samne walon ka ghar saaf nazar aata tha. . .
Ek din jab woh dono nashta ki maiz par baithe nashta kar rahe the to biwi ne dekha ke samne walon ne kapde dho kar bahar balkoni mein phelaaye hue hain.
"Yeh log kitne kharab aur gande kapde dhote hain", biwi apne shohar se boli, "zara saaf kapde nahi dhulle. inn ki khawateen ko kapde dhone atay hi nahi hain, un ko chahiye ke apna sabun tabdeel karlen. ya kam az kam kisi se seekh hi len ke kapde kis terha dhoye jatay hain".
Shohar ne nazrain uttha kar bahar ki taraf dekha lekin khamosh raha. Har baar jab bhi unn ke padosi apne kapde dho kar phailate, uss khatoon ke unn ke kapdon aur dhulai ke bare mein yahi tasurat hote. woh humesha hi apne shohar ke samne apne khayalat ka izhaar karti ke aaj phir un logon ne kapde achhe nahi dhoye, Dil chahta hai khud ja kar unko bata du ke kis tarha yeh apne kapdon ki dhulai behtar kar satke hain waghera waghera .
Algaraz woh ghar aur unn ke kapdon ki dhulai humesha hi uss khatoon ki tanqeed ka nishana bante rehte.


Taqreeban ek maheena baad woh aurat apne padosion ke saaf suthre dhulle kapde dekh kar heran reh gayi aur apne shohar se boli,
"Dekha !" bilakhir unhon ne seekh hi liya ke kapde kaise dhoye jate hain." shukar hai ke aaj unke kapde   saaf hain lekin mujhe herat hai ke aakhir yeh aqal unko kis ne di ?" shayad unhon ne apni kaam wali tabdeel ki hai ya phir apna sabun badal diya hai aur apne shohar ke jawab ka intzaar karne ke liye chup ho gayi".
shohar ne apni biwi ki taraf ghhor se dekha aur bola ,
"Aaj subah mein jaldi uth gaya tha aur mein ne apne Drawing hall ki woh khidki saaf ki hai jahan se tum samne walon ko dekhatii thein'"
Bilkul aisa hi hamari roz marrah zindagi mein hota hai. humari apni khidki saaf nahi hoti aur hum dusron ko morod e ilzaam thehrate hain. Asal masla khud humare andar hota hai lekin hum na uss ko mante hain aur nah hi apne muaqqaf se peechhe hatte hain. kisi ko check karne ka yeh intahi behtareen tareeqa hai ke sab se pehle aap apni khidki ko dekhein, kya woh saaf hai?
kyun ke jab hum kisi ko dekhte hain aur apni raye ka izhaar karte hain to uss baat ka inhisaar uss khidki zariye ki shafafiyat par hota hai jis mein se hum kisi ko dekh rahe hote hain.
Kisi par nuqta cheeni aur tanqeed karne se pehle apna jaiza achi tarha le lena chahiye.
Apne khayalat aur ehsasat ko saaf aur shafaaf rakhen.
Subscribe Our Site to get upadates 👍




ایک نوجوان نوبیاہتا جوڑے کے گھر کے سامنے نئے پڑوسی آئے۔اُس جوڑے کی بیوی کی عادت تھی کہ وہ ہر ایک پر تنقیدی نظر رکھتی تھی۔
اُن کے ڈائننگ ہال سے سامنےوالوں کا گھر صاف نظر آتا تھا...
ایک دن جب وہ دونوں ناشتہ کی میز پر بیٹھے ناشتہ کر رہے تھے تو بیوی نے دیکھا کہ سامنے والوں نے کپڑے دھو کر باہربالکونی میں پھیلائے ہوئے ہیں۔ ’’یہ لوگ کتنے خراب اور گندے کپڑے دھوتے ہیں‘، بیوی اپنے شوہر سے بولی ’ ذرا صاف کپڑے نہیں دُھلے۔ اِن کی خواتین کو کپڑے دھونے آتے ہی نہیں ہیں، ان کو چاہیے کہ اپنا صابن تبدیل کرلیں۔یا کم از کم کسی سے سیکھ ہی لیں کہ کپڑے کس طرح دھوئے جاتے ہیں‘‘۔ شوہر نے نظریں اُٹھا کر باہر کی طرف دیکھا لیکن خاموش رہا۔ ہر بار جب بھی اُن کے پڑوسی اپنے کپڑے دھو کر پھیلاتے، اُس خاتون کے اُن کے کپڑوں اور دُھلائی کے بارے میں یہی تاثرات ہوتے۔وہ ہمیشہ ہی اپنے شوہر کے سامنے اپنے خیالات کا اظہار کرتی کہ آج پھر ان لوگوں نے کپڑے اچھے نہیں دھوئے، دل چاہتا ہے خود جا کر ان کو بتا دوں کہ کس طرح یہ اپنے کپڑوں کی دھلائی بہتر کر سکتے ہیں وغیرہ وغیرہ۔
الغرض وہ گھر اور اُن کے کپڑوں کی دھلائی ہمیشہ ہی اُس خاتون کی تنقید کا نشانہ بنتے رہتے۔ تقریباََ ایک مہینہ بعد وہ عورت اپنے پڑوسیوں کے صاف سُتھرے دُھلے کپڑے دیکھ کر حیران رہ گئی اور اپنے شوہر سے بولی:
دیکھا! "بالآخر انہوں نے سیکھ ہی لیا کہ کپڑے کیسے دھوئے جاتے ہیں۔" شکر ہے کہ آج ان کے کپڑے صاف ہیں لیکن مجھے حیرت ہے کہ آخر یہ عقل ان کو کس نے دی؟"شاید انہوں نے اپنی کام والی تبدیل کی ہے یا پھر اپنا صابن بدل دیا ہے اوراپنے شوہر کے جواب کا انتظار کرنے کے لئے چپ ہو گئی۔"
شوہر نے اپنی بیوی کی طرف غور سے دیکھا اور بولا: ’’آج صبح میں جلدی اُٹھ گیا تھا اور میں نے اپنے ڈائننگ ہال کی وہ کھڑکی صاف کی ہے جہاں سے تم سامنے والوں کو دیکھتی تھیں‘‘۔
بالکل ایسا ہی ہماری روزمرہ زندگی میں ہوتا ہے۔ ہماری اپنی کھڑکی صاف نہیں ہوتی اور ہم دوسروں کو مورودِ الزام ٹھہراتے ہیں۔ اصل مسئلہ خود ہمارے اندر ہوتا ہے لیکن ہم نہ اُس کو مانتے ہیں اور نہ ہی اپنے موقف سے پیچھے ہٹتے ہیں۔ کسی کو چیک کرنے کا یہ انتہائی بہترین طریقہ ہے کہ سب سے پہلے آپ اپنی کھڑکی کو دیکھیں، کیا وہ صاف ہے ؟ کیونکہ جب ہم کسی کو دیکھتے ہیں اور اپنی رائے کا اظہار کرتے ہیں تواس بات کا انحصار اُس کھڑکی یا ذریعے کی شفافیت پر ہوتا ہے جس میں سے ہم کسی کو دیکھ رہے ہوتے ہیں۔ کسی پر نکتہ چینی اور تنقید کرنے سے پہلے اپنا جائزہ اچھی طرح لے لینا چاہئے۔ اپنے خیالات اور احساسات کوصاف اور شفاف رکھیں۔


RECENT STORIES

♦ QARZ ADA HOGAYI (SAHI BUKHARI SE MAKHOZ EK DILCHASP WAQIYA)

Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam ne bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne bani Israel ke ek dosray aadmi se ...